आंसू बहुत कम पड़े/AansooN bahut kam pade........................SAINI

by sksaini4 on July 05, 2012, 07:39:55 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 2942 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
बेबसी  में  फंसी  ज़िंदगी  देख कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत कम पड़े |  

अपनी क़िस्मत में लाचारगी देख कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत कम पड़े ||    
 

क़त्ल -ओ -ग़ारत  ये कैसी मची चार सू भाई ने भाई पर तेग़ तानी हुई |

लाश अपने सगो की बिछी देख कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत कम  पड़े ||    
 

इक इशारे पे तैयार रहता था वो जान तक अपनी  देने को मुझको   सदा |

आज उस यार की बेरुख़ी देख कर मैं जो रोया तो आंसू  बहुत  कम पड़े ||    
 

जूझता  ज़िंदगी से रहा  मैं सदा  बीबी - बच्चों   को सपने दिखाता रहा |

आज पोशाक सब की फटी देख कर मैं जो  रोया तो आंसू बहुत कम पड़े ||    

 
छटपटाता रहा मैं भी कुछ कर  सकूं  पर किसी  ने ये मौक़ा दिया ही नहीं |

रहनुमाओं की ये संगदिली देख   कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत कम पड़े ||    
 

कल के बारे में सोचा नहीं आज तक जो मिला खा लिया खा के मैं सो गया |

अपने घर में बहुत सी कमी देख कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत  कम पड़े ||    
 

सोचता था वतन इनके शानो पे हो इल्म -ओ-फ़न  से नवाज़ू मैं एसा इन्हें |

एसे बच्चों की आवारगी देख कर मैं  जो  रोया  तो आंसू  बहुत कम पड़े ||    
 

आज हैरत में हूँ मैं यही सोच कर कैसे  रस्ते   से  भटके हैं ये नौनिहाल |

इनमें बढ़ती हुई मैकशी देख कर मैं जो  रोया  तो  आंसू  बहुत कम पड़े ||    
 

तू   अंधेरों  में  पलता  रहा   आज  तक दूसरों के दिए पर जलाता रहा |

‘सैनी’ तेरी  ये दरियादिली  देख कर मैं जो रोया तो आंसू बहुत कम पड़े ||    
 

डा० सुरेन्द्र  सैनी


Bebasee  meN  fansee  zindagee  dekh  kar  maiN  jo  royaa  to  aansoo  bahut kam pade.  
Apnee  qismat  meN   laachaargee  dekh  kar  maiN  jo  royaa  to aansoo bahut kam pade.  

Qatl-o-ghaarat  ye  kaisee  machee  chaar   soo  bhaai  ne  bhaai  par tegh taanee hui.
Laash  apne   sago   kee  bichhee dekh  kar   maiN  jo  royaa to aansoo bahut kam pade.  
 
Ik  ishaare  pe  taiyaar  rahtaa  thaa  vo  jaan  tak  apnee  dene  ko  mujhko   sadaa.
Aaj   us   yaar   kee  berukhee  dekh  kar  maiN  jo  royaa  to  aansoo bahut kam pade.  

Joojhtaa  zindagee   se  rahaa  maiN  sadaa  beebee- bachhoN  ko sapne dikhaataa rahaa.
Aaj  poshaak  sab  kee  fatee  dekh  kar  maiN  jo  royaa  to  aansoo  bahut  kam pade.  

Chhatpataataa rahaa maiN bhee kuchh kar sakooN par kisee ne ye mauqaa diyaa hee naheeN.
RahnumaaoN  kee  ye  sangdilee  dekh  kar  maiN  jo  royaa  to  aansoo  bahut kam pade.  

Kal  ke  baare  meN  sochaa  naheeN  aaj tak.jo milaa khaa liyaa khaa ke maiN so gayaa.
Apne  ghar  meN  bahut  see  kamee  dekh  kar  maiN  jo royaa to aansoo bahut kam pade.  
 
Sochtaa  thaa  vatan  inke  shaano  pe  ho  ilm-o-fan   se   nawaajoo  maiN  esaa inhe.
Ese  bachhoN    kee   aawaargee   dekh   kar  maiN  jo royaa  to aansoo bahut kam pade.  
 
Aaj  hairat    meN  hooN  maiN  yahee soch kar kaise raste se bhatke haiN ye naunihaal.
InmeN   badhtee    hui    maikashee    dekh kar maiN jo royaa to aansoo bahut kam pade.  

Too    andheroN    meN    paltaa   rahaa  aaj  tak  par diye doosroN ke jalaataa rahaa.
‘Saini’ teree  ye  dariyadilee    dekh   kar  maiN   jo royaa to aansoo bahut kam pade.  

Dr.Surendra Saini
           
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: July 05, 2012, 08:44:12 AM »
Reply with quote
Waah  Waah , Saini  saheb . Kya  ghazab  ki ghazal  kahi  hai .
Sanjeedgi  aur  afkaar  se  bharpoor .  Bahut  bahut  mubarakbaad aur 1  ...
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: July 05, 2012, 09:23:11 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Sir
Ghajal to nihaayat umda hai par
Aaj shayad kuch meethi see, tadaktee fadaktee hoti to aur maja aata.
pata to chalta ki kal aapne jam ke BD manaya.
 Applause Applause Applause
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #3 on: July 05, 2012, 09:57:37 AM »
Reply with quote

saini ji,
    bahut hi khoobsurat aur dil mein painth jaane vali gazal kahee hai aapne bahut bahut badhai. par aapke janm din yeh gazal...

kyaa baat hai janaab aapke janm din par yeh udaasi kaisee.
party-sharty ki jagah aapke man mein yeh maayoosi kaisee
kahte hain gam bantne se halka ho jaata hai, hum hain na
apne dil ki baat apnon ko batane mein laachargi kaisee.
apka
ghansham
 
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #4 on: July 05, 2012, 10:07:19 AM »
Reply with quote
bahut hee khoob, lajawaab, ati utaam, zindagi kee sachchaiyon ko kis khuoobsurati se aapne peash kiya hai, jawaab nahi, dheron daad
 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
goldy_shayar
Guest
«Reply #5 on: July 05, 2012, 10:27:51 AM »
Reply with quote
simply superb,  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
soudagar
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2012, 11:46:26 AM »
Reply with quote
Ossume creation........... Aapke vichar bahut lajawab hote hai sir aur phir unko shabdo mein tabdil karna to koi aapse sikhe..........




I salute u sir
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: July 05, 2012, 11:47:16 AM »
Reply with quote
Ossume creation........... Aapke vichar bahut lajawab hote hai sir aur phir unko shabdo mein tabdil karna to koi aapse sikhe..........




I salute u sir
Logged
Sps
Guest
«Reply #8 on: July 05, 2012, 12:16:22 PM »
Reply with quote
Beautiful....
middleclass logo ki zindagi ki yahi sachchi tasveer hai..
doosro ke aansoo pochte rahe har pal
unko khud k liye rote dekha to aansu bahot kam pade
Logged
shaukeen
Guest
«Reply #9 on: July 05, 2012, 12:51:51 PM »
Reply with quote
Beautiful :clappping:
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: July 05, 2012, 04:42:32 PM »
Reply with quote
Woooooooooooooooooow, ghazab, behtareeeeeeeeeeeeeeeen, lajawab. Maza aa gaya padh ke.
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #11 on: July 05, 2012, 05:47:50 PM »
Reply with quote
kiya khoob aj ke halat pe likha hai aapne.
dil ko chhoo lene wali ek ek baat likhee hai aapne

kash ki duniyan is dard ko samajh saken
kash ki kuchh log is ko parh kar badal saken

dil rota hai aj ke halaat dekh kar
afsos hota hai apni babasee dekh kar
Logged
roy
Guest
«Reply #12 on: July 05, 2012, 06:36:56 PM »
Reply with quote
SIR IS KAVITA KI TARIF LAWZON MAI KARUN TO VO ISKI TAUHEEN HOGI

BS APKO SALUTE SIR
 BS KEHNA CHAHUNGA K
ANKHE NUM HO GAYE YE PADKE!!

Logged
Raqeeb
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2012, 03:52:11 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Kaha Saini Sir Aapne Usual Smile  Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Aarish
Guest
«Reply #14 on: July 06, 2012, 03:55:51 AM »
Reply with quote
sir lajwab ghazal itni lambi behar main bohut umda kalaam


Kal  ke  baare  meN  sochaa  naheeN  aaj tak.jo milaa khaa liyaa khaa ke maiN so gayaa.
Apne  ghar  meN  bahut  see  kamee  dekh  kar  maiN  jo royaa to aansoo bahut kam pade.  
 
Sochtaa  thaa  vatan  inke  shaano  pe  ho  ilm-o-fan   se   nawaajoo  maiN  esaa inhe.
Ese  bachhoN    kee   aawaargee   dekh   kar  maiN  jo royaa  to aansoo bahut kam pade.  
 
Aaj  hairat    meN  hooN  maiN  yahee soch kar kaise raste se bhatke haiN ye naunihaal.
InmeN   badhtee    hui    maikashee    dekh kar maiN jo royaa to aansoo bahut kam pade.  

Too    andheroN    meN    paltaa   rahaa  aaj  tak  par diye doosroN ke jalaataa rahaa.
‘Saini’ teree  ye  dariyadilee    dekh   kar  maiN   jo royaa to aansoo bahut kam pade.  

Aur In teen ashar ke liye khususi daad qubool Kijiye aur rau bhi
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:05:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer