sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
होठों पे मुस्कान लिए चलता हूँ |
सीने में तूफ़ान लिए चलता हूँ ||
कुछ भी न हो पास अगर तो क्या ग़म |
आँखों में ईमान लिए चलता हूँ ||
वक़्त कभी भी धोखा दे सकता है |
मैं एसे इम्कान लिए चलता हूँ ||
सबको ख़ुशी देना है मक़ि्सद मेरा |
जल्वों का सामान लिए चलता हूँ ||
आप समझ ले ये कि शायर हूँ मैं |
ग़ज़लों का दीवान लिए चलता हूँ ||
लोग मुझे चाहे जो कह सकते हैं |
ख़ुद में मैं इंसान लिए चलता हूँ ||
जब लेने आयेगा वो चल दूंगा |
मौला का फ़र्मान लिए चलता हूँ ||
पाई है दुन्या में जो भी शोहरत |
अब वो ही पहचान लिए चलता हूँ ||
आज कहीं तो ‘सैनी मिल जाएगा |
मिलने का अरमान लिए चलता हूँ ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
HothoN pe muskaan liye chaltaa hooN. Seene meN toofaan liye chaltaa hooN.
Kuchh bhee n ho paas agar to kyaa gham. AankhoN meN eemaan liye chaltaa hooN.
Waqt kabhee bhee dhokhaa de saktaa hai. MaiN ese imkaan liye chaltaa hooN.
Sabko khushee denaa hai maqsid meraa. JalvoN kaa saamaan liye chaltaa hooN.
Aap samajh le ye ki shaayar hooN maiN. GhazaloN kaa deewaan liye chaltaa hooN.
Log mujhe chaahe jo kah sakte haiN. Khud meN maiN insaan liye chaltaa hooN.
Jab lene aayegaa vo chal doongaa. Maulaa kaa farmaan liye chaltaa hooN.
Payee hai dunyaa meN jo bhee shohrat. Ab vo hee pahchaan liye chaltaa hooN.
Aaj kaheeN to ‘saini’ mil jaayegaa. Milne kaa armaan liye chaltaa hooN.
Dr. Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sanjeev kash
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 07, 2012, 05:57:52 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 07, 2012, 06:11:19 AM » |
|
BAHUT ACHHI GHAZAL HAI ,SAINI SAHEB . MUBARAK HO.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
roy
Guest
|
|
«Reply #3 on: June 07, 2012, 06:58:45 AM » |
|
DIL KO CHUU GAYI YE PANKTIYA SAINI SIR.....
BAS YE KEHNA CHAHUNGA........ :
khuda bi jab APko lene yaha ayega, vo bhi apki pankhtiya pad, ke keh jayega...
bandha hun mai apne asoolon mai SAINI , par tere liye ek kam kiye chalta hun ROY jaise kadar dano K DIL mai, teri KALA KA BASAR DIYE CHALTA HUN
or sir mera "Yoindia Shayariadab KA PEHLA RAU APKO JATA HAI" .....love ur poetry sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Iftakhar Ahmad
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 07, 2012, 07:00:17 AM » |
|
Bahut khoob Saini Jee ek Rau aur dheron daad.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 07, 2012, 07:24:23 AM » |
|
Again i salute u sir.........abhi mobile se ol hone ki wajh se apne khyal is rachna ke liye vyakt nhi kr pa rha uske liye mafi chahunga...... Salute u sir incredible rachna
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 17 hours and 30 minutes.
Posts: 18608 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #7 on: June 07, 2012, 07:42:49 AM » |
|
thx sanjeev ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #9 on: June 07, 2012, 09:56:35 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
himanshuIITR
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 07, 2012, 11:15:54 AM » |
|
sir is creation ne to aaj face book par bhee dhoom machaa rakhee hai one rau
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
soudagar
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 07, 2012, 04:43:48 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #14 on: June 07, 2012, 05:52:15 PM » |
|
होठों पे मुस्कान लिए चलता हूँ |
सीने में तूफ़ान लिए चलता हूँ ||
कुछ भी न हो पास अगर तो क्या ग़म |
आँखों में ईमान लिए चलता हूँ ||
वक़्त कभी भी धोखा दे सकता है |
मैं एसे इम्कान लिए चलता हूँ ||
सबको ख़ुशी देना है मक़ि्सद मेरा |
जल्वों का सामान लिए चलता हूँ ||
आप समझ ले ये कि शायर हूँ मैं |
ग़ज़लों का दीवान लिए चलता हूँ ||
लोग मुझे चाहे जो कह सकते हैं |
ख़ुद में मैं इंसान लिए चलता हूँ ||
जब लेने आयेगा वो चल दूंगा |
मौला का फ़र्मान लिए चलता हूँ ||
पाई है दुन्या में जो भी शोहरत |
अब वो ही पहचान लिए चलता हूँ ||
आज कहीं तो ‘सैनी मिल जाएगा |
मिलने का अरमान लिए चलता हूँ ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
HothoN pe muskaan liye chaltaa hooN. Seene meN toofaan liye chaltaa hooN.
Kuchh bhee n ho paas agar to kyaa gham. AankhoN meN eemaan liye chaltaa hooN.
Waqt kabhee bhee dhokhaa de saktaa hai. MaiN ese imkaan liye chaltaa hooN.
Sabko khushee denaa hai maqsid meraa. JalvoN kaa saamaan liye chaltaa hooN.
Aap samajh le ye ki shaayar hooN maiN. GhazaloN kaa deewaan liye chaltaa hooN.
Log mujhe chaahe jo kah sakte haiN. Khud meN maiN insaan liye chaltaa hooN.
Jab lene aayegaa vo chal doongaa. Maulaa kaa farmaan liye chaltaa hooN.
Payee hai dunyaa meN jo bhee shohrat. Ab vo hee pahchaan liye chaltaa hooN.
Aaj kaheeN to ‘saini’ mil jaayegaa. Milne kaa armaan liye chaltaa hooN.
Dr. Surendra Saini
waaaaahhhhhhhhhhhhhh waaahhhhhhhhhhhhhhhh lajawaaaaaaabbbbbbbbbbbbbb behad umdaaaaaaaaaaaa hats off to u sirji ! uff 2 lines likhne ka mann hua tha jawaab me bt-- bhul gaya lekin aapko ek rau dena bilkul nahi bhula iss bar ek adab rau ke saath apka fan aapko daad dene ki himakat kar raha khus rahie muskurate rahie
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|