aakhir kau sune SISKI qahqahoN ke darmiyaaN...!!

by ghayal_shayar on March 14, 2009, 04:51:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1283 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Bahut dino baad mefil me aana hua hai, itne dino na rehne ke liye maafi ka talabgaar huN, haazir hun ek aur adnaa sa kalaam le kar, bahut aakrosh hai isme, isiliye agar kisi ko thes pahuNche ya kalaam pasand nahiN aaye to maafi ka talabgaar rahuNga...!!


dhamakoN se dosti si ho gayi hai mujhe,, zindagi maut se baddtar lage hai mujhe,, kaisi ye duniya hai?? kaisa ye manjar,, ehsashoN ke gulistaaN ho chale jo banjar,, do pal ki zindagani aur chaar pal ka rona,, ajab ye kahaanni aur gazab ye khilona.....



DhamaakoN ke baad bhi hoti hai chuppi yahaaN,
Aakhir kaun sune siskii qahqahoN ke darmiyaaN.

Naaz jis zameeN pe karta tha ye saara jahaaaN,
Kal vahaaN dikhi mujhe bas chand ujri bastiyaaN.

Muskura ke chal raha jo har musafir is safar me,
Hai ab bhi yaad use un dhamaakoN ki kahaaniyaaN.

Dhahak uth.ta hai ye dil, jab dekhta hooN kabhi,
Lahoo ke sailaab pe lehraati noteoN ki kashtiyaaN.

Kuch aisi ho chali hai reet apne vatan ki yaaroN,
Bana rahe hum apnoN ke cheetharoN ke bostaaN.

Har murde me dikhne laga hai ab apna aks mujhe,
Har insaan ka jism-o-dil ho chuka ab “ghayal” yahaaN.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nazdeekiyaan Laaye Yoon Apnay Darmiyaan .... by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
ki korbe sune by ami_ac in Bengali
saason ke darmiyaan by @kaash in Shayari -e- Husn
EK SISKI...JO MERE DIARY K PANNON ME QAID REH GYI...K@HIN@@R by Kohinoor in General Stories
Taish- SISKI qahqahoN ke darmiyaaN...!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
Roja
Guest
«Reply #1 on: March 21, 2009, 02:53:11 AM »
Reply with quote
Bahut khoob bahut khoob Ghayal_shayar ji... Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2009, 01:27:29 PM »
Reply with quote
shukriya roza ji...!! bas yuNhi padhne ki jehmiyateN uthaati raheN aap...!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 01, 2009, 01:28:07 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Shayar JI
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: April 01, 2009, 01:29:10 PM »
Reply with quote
abha ji, ise padh lijiye aur ab v agar shaq ho to yakeenan, kisi ne sahi kaha hai shaq ek aisa marz hai jiski koi davaa nahin hai...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: April 01, 2009, 01:29:41 PM »
Reply with quote
shukriya celmira ji padhne ka....!!
Bohot Khoob Shayar JI
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:11:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer