Abra e bahaar tu bhee baras le zaraa zaraa.................Mamta Bajpai

by mamta bajpai on March 17, 2011, 07:55:59 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2214 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
Chaayee bahaar baaghoN me nikhaar dekhiye
baad e sabaa bhee mast be-shumaar dekhiye

mehafil e raNg o boo se hai aaraastaa chaman        aaraastaa=sajaa huaa
bhaNwaroN kee toliyaaN bhee haiN sarshaar dekhiye   sarshaar=mast

gulcheeN se koi kah de keh aaye naa wo yahaaN
raahoN me bichh rahe haiN gulnaar dekhiye         gulnaar=anaar ke phool

masroor ho rahee hai nazar dekh gulbadan          masroor=nashe me choor
hum hee naheeN haiN or bhee beemaar dekhiye

abra e bahaar tu bhee baras le zaraa zaraa
bheege naa jism phooloN ke sarkaar dekhiye

Mamta Bajpai

Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: March 17, 2011, 08:01:23 AM »
Reply with quote
hayyyyyyyyyy.........

so sweet and so cute.........mamta ji as usal ye best one poetry he.....but isme ek nayi baat lagi muje wo ye ki ........jese jese ye poetry me padta gaya jo apne lkiha he wesi image ankho ke samne banti gayi aur aykin maniyega badi hi sundar image bane he ....specially last para to bas mindblowing he.....behtareen peshkash mamta ji......ese hi hum sabko sundar sudnar rachna padne ka moka deti rahiyega
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: March 17, 2011, 08:09:33 AM »
Reply with quote
Chaayee bahaar baaghoN me nikhaar dekhiye
baad e sabaa bhee mast be-shumaar dekhiye

mehafil e raNg o boo se hai aaraastaa chaman
bhaNwaroN kee toliyaaN bhee haiN sarshaar dekhiye

gulcheeN se koi kah de keh aaye naa wo yahaaN
raahoN me bichh rahe haiN gulnaar dekhiye

masroor ho rahee hai nazar dekh gulbadan
hum hee naheeN haiN or bhee beemaar dekhiye

abra e bahaar tu bhee baras le zaraa zaraa
bheege naa jism phooloN ke sarkaar dekhiye

Mamta Bajpai



bahut khoob mamta ji
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #3 on: March 17, 2011, 10:25:10 AM »
Reply with quote
bht umda mamta ji....
sply 4th one...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: March 17, 2011, 02:44:38 PM »
Reply with quote
Shukriyaa Utkarsh!
jab tumhaare jaise paRhane waale or daad de kar houslaa baRhaane waale humaare paas haiN tab tak hum likhe bina kaise rah sakte haiN........humaare maamoolee se kalaam ko tumhaaree pasand anmol banaa deti hai...dil se mai bhee tumhe is zarra nawaazi kaa behad shukriyaa adaa karti hooN.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: March 17, 2011, 02:45:26 PM »
Reply with quote
Adil jee housla afzai kaa behad shukriyaa!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: March 17, 2011, 02:46:33 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Priyaa jee!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: March 21, 2011, 04:06:18 PM »
Reply with quote
BAhut Khub Mamta JI
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #8 on: March 22, 2011, 07:56:28 AM »
Reply with quote
shukriyaa Rishi!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 22, 2011, 08:02:08 AM »
Reply with quote
Chaayee bahaar baaghoN me nikhaar dekhiye
baad e sabaa bhee mast be-shumaar dekhiye

mehafil e raNg o boo se hai aaraastaa chaman        aaraastaa=sajaa huaa
bhaNwaroN kee toliyaaN bhee haiN sarshaar dekhiye   sarshaar=mast

gulcheeN se koi kah de keh aaye naa wo yahaaN
raahoN me bichh rahe haiN gulnaar dekhiye         gulnaar=anaar ke phool

masroor ho rahee hai nazar dekh gulbadan          masroor=nashe me choor
hum hee naheeN haiN or bhee beemaar dekhiye

abra e bahaar tu bhee baras le zaraa zaraa
bheege naa jism phooloN ke sarkaar dekhiye

Mamta Bajpai




Bahut Bahut Khoob Mamtaji..

Bahut Hi khoobsurat Andaaz-e-bayaan..

Bahut AChe Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
nirala
Guest
«Reply #10 on: March 22, 2011, 10:10:56 AM »
Reply with quote
kamaal hai bas kamaal
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #11 on: March 22, 2011, 10:31:29 AM »
Reply with quote
Maate---saadar charan sparsh kar ke namaskaar pranaam..
bade dino baad aya hu aasirwaad me kami na kijiyega aap.
aapne jis khubsurti ke saath pqakrhtik sundarta ko shabdo se sajaya ji karta hai ke aapki wo kalam choom lu:)Usual Smile
daad ke koi bhi shabd nakafi hain is post par. aapko humari dua hai aur prarthana ki sada khus rahem.
““
baago me jitne bhi phool hai
maa mamta ki charno ke dhool hai
””
sada khus rahiye aur iss bachche ko khoob saara aasirwaad se julzaar kijiye Usual SmileUsual SmileUsual Smile
pranaam
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2011, 06:14:03 AM »
Reply with quote
Hameshaa khush raho bachche! aap ke aasheerwaad me tinkaa bhar bhee kamee naheeN hui hai....tumhaari bhaavnaaoN kee mai bahut izzat karti hooN....yuN humaaraa manobal baRhaate raho......
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: March 23, 2011, 06:14:54 AM »
Reply with quote
Nairala jee bahut bahut shukriyaa!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #14 on: March 25, 2011, 10:14:51 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Khwaish jee!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:45:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer