ahsaas se bhara tohfa hai jindagi

by sunildehgawani on September 13, 2011, 09:08:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 733 times)
sunildehgawani
Guest
Reply with quote
 
 
KHIDMAT-E-PESH KARTA HOON, TERA NAJRANA JINDAGI
KAHAN SE SHURU KAROON,  TERA AFSANA JINDAGI
   KABHI HAI GARDISHON KE DAUR MAIN, GAI HUI GAZAL
   KABHI SANGEET SE SAJA HUA NAGMA HAI JINDAGI
KABHI UMAR BHAR CHALTE HUE RISTON KA NAAM HAI
KABHI CHAND ROJON KI HAI, MEH MAN JINDAGI
   KABHI BAQT KA DIYA HUA ABHISHAP HOTI HAI
   TO KABHI AHISAAS SE BHARA HUA TOHFA HAI JINDAGI
KABHI TUFANE SAMANDER MAIN LAHROON KI RAWANI HAI
KABHI SAHIL PE DAGMAGATI, SAFEENA HAI JINDAGI
   KABHI PIYALON PE NACHTI HUI RANGEEN SHAM HAI
   KABHI MAUSIYOON SE BHAARA, LAMHA HAI JINDAGI  
KABHI DUKH DARD SE BHARI HUI KANTO KI SEZ HAI
KABHI FOOLON SE BHARA HUA GULDASTA HAI JINDAGI
   
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na Ji Bhara Hai Na Hoton Ki Tashnagi Kam Hai... by Aryaan in Ghazals
((Rango Se Bhara)) by honeyrose in Occassion Specific Poetry
dil bhara bhara sa,khud mai ek khalipan.. by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
Bhara Bhai............ by palkhi in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3  All »
Armaanon bhara dil... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2011, 12:33:15 PM »
Reply with quote
Sunil Jee Aadaab!


Waah waah waah janab bahut khoob... behad khubi se aapne
zindagi ka tafsira karne ki koshish ki hai...

 Applause Applause Applause Applause Applause

Sabhi khayaal behad khoob rahe.. humari dili daad O mubarakbad
kabul kijiye....


Likhate rahiye... aate rahiye..
Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez         


Humari purani kalaam yaad aa gayi hume..
Uske bhi khayaal kuch zindagi se wabastaaN hai so Aapki nazar
kar raheN hai..


Mumkeen hii nahi hai karna, Aye Zindagi tafsira tera
Tu hi bata Aye Zindagi, Isper hai kya mashwara tera

Qaid e bamashakhat ki saza, Rooh ko hai jism mein
Samjha Nahi phir Zindagii, wafaat ka yun majra tera

Kehta hai dil bagawat se kabhi , Zindagii to fuzul hai
Rehta hai kyuN musalsal, jeene per maut khatra tera

Bad hawas si hai zindagi, Aye JaaN teri furkhat mein
Nazare pesh hai jo aaj, Aashiq hai woh ad-mara tera

Waqt e muddat hai kya, zindagi tu kabtalak mehdood
Befikhri hi ho jauN maiN, Bata kab talk hai sahara tera

Pucha Nahi kisine hal o hawal, the Hayat jab ParwaaZ
Hui jo jahaN se rukhsati phir, Nikal pada Tazkira tera

         


Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2011, 11:19:40 AM »
Reply with quote
aadab,,,,kabul kijiye parwaj ji .....aapka urdu pe bahut achha command hai ....aur word bhi ekdum satik hain ,,,,aap to humse hazaro kadam aage ho ,,,agar apke naksh-e-kadam par chale to sure manzil milegi ......ek nachiz ko apne har baar hausla afjai ke sath nawaza....shukriya .....parwaz ji....god bless u ....may u fly highest in the sky ..... Clapping Smiley
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2011, 11:29:23 AM »
Reply with quote
parwaj ji ,,,bhai ka aadab kabul kijiye,,,,aap ki kalam ki bhi aawaz aapke jaisi hai ,,,aapki kalam ki urdu commnd bahut hi achhi hai ...aur ek acchi shayri main urdu jarori hai ,,,hum apne khayalat ko ...hindi se hi pesh karne ki koshish karte hain ,,,,tab usmein boh maza naihn rahta ,,,,,aape alfaz ,,,bahut gahri soch na natiza hote hain ,,,,hamaen abhi baqt lagega ....magar apki hausla afjai,,,,ne ek junnon se takrana sikhaya hai ,,,,shukriya ....parwaz....bless u all the best in your life ,,,,good luck
 Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:15:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer