bachpan ke din (yaden bachpan ki)

by Rahi2001 on July 03, 2010, 08:48:46 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 23626 times)
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
Reply with quote
Ek Bhare Hue Dil Ke Saath Kuch Likh Raha Hoon...
Yeh Kuch Jazbaat Hai Mere Jinhe Main Alfaazo Mein Dhaal Raha Hoon..
_________________________________________________ ________________________________________

Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye..

Woh Kadi Dhoop Mein Jaakar Maidaano Mein Khelna,
Jo Dil Mein Hai,Woh Har Ek Baat Ka Kehna,
Papa Ke Naa Padhne Par, Woh Daant Ka Sehna,
Doston Ke Ghar Ki Galiyon Mein Woh Saari-Saari  Raat Ka Rehna...

Roke Kabhi nahi Rukhte Yeh pal Jo Beet Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Sochta Hoon to Muskura Jaata Hoon,
Doston Ke Saath Woh Katti-Batti ke khel Ko Yaad Karte Reh Jaata Hoon,
Aaj Gile-Shikwo Ko Dil mein paalta Hoon,
Chaah Kar Bhi Mere Yaar Se Baat Kar ke Dil Saaf Naa Rakh Paata Hoon,

Bhai-Behan Ke Saath Choti-Choti Baaton par Ladna-Jhagdna,
Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna..

Aaj Bhi Car Ke Aaene Se Dekhta Hoon,
Bacho Ko Saath Mein Khelte Jhagadte Hue,
Sochta Hoon,"Khwaish" Aakhir Hum Hi Kyon??
Iss Duniya Ke Mele Mein Itne Akele Hue!!!!

Kaash Woh Bachpan Ke Din Main Phir Se Jee Jaau,
Iss Mashrufiyat Ki Zindagi Mein Vaapas Naa Aau,

Yeh Woh Yaadein Hai Jo Dil Se Kabhi Naa Mit Paaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Ke Daur Mein Humein Kuch Bhi Mil Jaaye,
Hum Khush Nahi Hote,
Duniyadari Aur Zimmedari Ke Jhamelo Mein Hai,
Hum Apne Aap Ko Hai Khote,
Pehle Fursat Ki Neend Thi,
Aaj Khuli Aankhon se Bhi Hai Hum Sote,
Kabhi To Dil Hi Dil Mein Hai Hum Rote,

Kabhi To Unn Bhoole-Bhichde Hue Doston Se Meri Baat Ho Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye...
_________________________________________________ _________________________________________
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bachpan by paro_ka_deva_devdas in SMS , mobile & JOKES
bachpan by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Bachpan meh.. by Anushka in Shairi - E - Zindagi
Bachpan Ke Din..... by urooj_love in Shayri-E-Dard
BACHPAN by NETRAPAL in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
nirala
Guest
«Reply #1 on: March 02, 2011, 11:27:11 AM »
Reply with quote
kya baat kahi Raahi ji.
""
yaad na dilao wo baate bachpan ki
rulati hai wo baate ladakpan ki wo chhuttpan ki

aaj ke daur me ab hum bade kahlaaye
dil chahe janaa udhar hi, kuch soch kadam fir ruk jaaye

kaise kahe yaara ki soch me ab bhi hai
wo bachpan ke din wo befikri je jeena koi kaise bhulaaye sad5
""
thanx
Logged
Baljeet Kaur
Guest
«Reply #2 on: August 08, 2012, 07:06:29 AM »
Reply with quote
Ek Bhare Hue Dil Ke Saath Kuch Likh Raha Hoon...
Yeh Kuch Jazbaat Hai Mere Jinhe Main Alfaazo Mein Dhaal Raha Hoon..
_________________________________________________ ________________________________________

Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye..

Woh Kadi Dhoop Mein Jaakar Maidaano Mein Khelna,
Jo Dil Mein Hai,Woh Har Ek Baat Ka Kehna,
Papa Ke Naa Padhne Par, Woh Daant Ka Sehna,
Doston Ke Ghar Ki Galiyon Mein Woh Saari-Saari  Raat Ka Rehna...

Roke Kabhi nahi Rukhte Yeh pal Jo Beet Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Sochta Hoon to Muskura Jaata Hoon,
Doston Ke Saath Woh Katti-Batti ke khel Ko Yaad Karte Reh Jaata Hoon,
Aaj Gile-Shikwo Ko Dil mein paalta Hoon,
Chaah Kar Bhi Mere Yaar Se Baat Kar ke Dil Saaf Naa Rakh Paata Hoon,

Bhai-Behan Ke Saath Choti-Choti Baaton par Ladna-Jhagdna,
Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna..

Aaj Bhi Car Ke Aaene Se Dekhta Hoon,
Bacho Ko Saath Mein Khelte Jhagadte Hue,
Sochta Hoon,"Khwaish" Aakhir Hum Hi Kyon??
Iss Duniya Ke Mele Mein Itne Akele Hue!!!!

Kaash Woh Bachpan Ke Din Main Phir Se Jee Jaau,
Iss Mashrufiyat Ki Zindagi Mein Vaapas Naa Aau,

Yeh Woh Yaadein Hai Jo Dil Se Kabhi Naa Mit Paaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Ke Daur Mein Humein Kuch Bhi Mil Jaaye,
Hum Khush Nahi Hote,
Duniyadari Aur Zimmedari Ke Jhamelo Mein Hai,
Hum Apne Aap Ko Hai Khote,
Pehle Fursat Ki Neend Thi,
Aaj Khuli Aankhon se Bhi Hai Hum Sote,
Kabhi To Dil Hi Dil Mein Hai Hum Rote,

Kabhi To Unn Bhoole-Bhichde Hue Doston Se Meri Baat Ho Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye...
_________________________________________________ _________________________________________

Logged
sundeep
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2012, 12:53:29 PM »
Reply with quote
Wo bachpan ke bhi kiya din the
kabhi bholi surat hum bhi rakha karte the
shaitni hum kiya karte the
Logged
Deepak bisht
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2014, 09:35:22 PM »
Reply with quote
वो बचपन के दिन
कब आए कब बीत गये !!!
बचपन बीता आई जवानी
रगो मे बहती नई रवानी
हर पल अब एक नई कहानी
हैं सब अब कारोबार के रिश्ते
कौन अब मनाए हमको
वो साथी सब छूट गये
हँसी ठहाके और हुड़दंगे
सारे हम सब भूल गये|
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:43:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer