Badaltay Dair Nahi Lagti

by Abul Asad on December 06, 2011, 07:56:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 995 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Badaltay dair nahi lagti

Sadiyon se chalta yeh dastoor jahaan mein
Badle waqt to isse badaltay dair nahi lagti

Kitney shireen hain alfaz-e-sanam is waqt
Waqt ke saath inhe badaltay dair nahi lagti

Zamana hai abhi apna yanhaan iss jahaan  mein
Zamanay ko bhi har aik ke saath badaltay dair nahi lagti

Kiya jawani kiya husn lejaiye yanhaa se
Inhey budhape main badaltay dair nahi lagti

Hai jo mohabat abhi aulaad se apni itni
Unki mohabbat ko phir badaltay dair nahi lagti

Chaltay ho zameen par jo itra ke tum itna
Zindagi ko marg mein badaltay dair nahi lagti

Waqt ho gar acha to shukr karo
Isay phir badaltay dair nahi lagti

Waqt bura ho to sabr karo bass thoda
Isay bhi phir badaltay dair nahi lagti


Jaltay Jaltay sholay bhi hotay hain raaq jahaan mein
Issi raaq ko phir sholon mein badaltay dair nahi lagti

Abul Asad – Shahran Muscati
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe wo acha lagti hay bohat hi piyare lagti hay by muneeb in Ghazals
Badaltay Raang Senam Kay by Anushka in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3  All »
kyu ab apni si nahi lagti.... by Abhishekseth2003 in Shayri-E-Dard
dair-o-dar by saaz_haldwanvi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
tum dair kar do gi by assi in Ghazals
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2011, 08:48:19 AM »
Reply with quote
Badaltay dair nahi lagti

Sadiyon se chalta yeh dastoor jahaan mein
Badle waqt to isse badaltay dair nahi lagti

Kitney shireen hain alfaz-e-sanam is waqt
Waqt ke saath inhe badaltay dair nahi lagti

Zamana hai abhi apna yanhaan iss jahaan  mein
Zamanay ko bhi har aik ke saath badaltay dair nahi lagti

Kiya jawani kiya husn lejaiye yanhaa se
Inhey budhape main badaltay dair nahi lagti

Hai jo mohabat abhi aulaad se apni itni
Unki mohabbat ko phir badaltay dair nahi lagti

Chaltay ho zameen par jo itra ke tum itna
Zindagi ko marg mein badaltay dair nahi lagti

Waqt ho gar acha to shukr karo
Isay phir badaltay dair nahi lagti

Waqt bura ho to sabr karo bass thoda
Isay bhi phir badaltay dair nahi lagti


Jaltay Jaltay sholay bhi hotay hain raaq jahaan mein
Issi raaq ko phir sholon mein badaltay dair nahi lagti

Abul Asad – Shahran Muscati



nice
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 17, 2011, 05:08:17 PM »
Reply with quote
Bahayat Sahab,

Shukriya Bahut bahut, innayat sahab aapki jo apna qeemti waqt hamen diya

aate rahiye, yeh muhabbat ka silsila jari rakhiye

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:30:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer