ParwaaZ
Guest
|
Ahel e bazm ko aadaab O tasleem!
Kai dino se kuch likh nahi paa raheN hai so soche ke apni koi purani kalaam hi post kar deN....
Lijiye yeH kalaam aap sabki nazar......
Hum Sitaare Ko nishaaN banaye baithe hai Dil ki hasrat ko hum JaaN banaye baithe hai
Ye dil besabra hai jawaab -e- talab unke Woh khamoshi ko zubaaN banaye baithe hai
Dard -e- diL per DawaaoN ka asar hota nahiN Dil yeh bimar KhamakhaaN banaye baithe hai
Humne chahaa mohobbat mein khuda dekheN Log hai daulat pe iimaaN banaye baithe hai
Din ko Chain nahi raatoN ko khayaal unke Aur woh izhaar ko ahsaaN banaye baithe hai
Ek Zarra Si baat per huye hai itne khafaa Besabab hi dil bad-gumaaN banaye baithe hai
Woh shikwe shikayateN woh jafa kii baateN Itne faasle darmiyaaN banaye baithe hai
Kis qadar chur hai nashe mein sab jahaaNwale Khud ko khud se anjaaN banaye baithe hai
ParwaaZ manzil hai samne chand kadmoN par Laut jaane ka kyuN armaaN banaye baithe hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:4 days, 18 minutes.
Solitude..!!
Posts: 465 Member Since: Jun 2011
|
|
«Reply #1 on: September 09, 2011, 06:35:53 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 10, 2011, 02:40:30 AM » |
|
bahot achi post Mahamahim-- thanx ki aapne apni ye kalaam humare saath share kia-- be happy always haste rahiye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #4 on: September 10, 2011, 03:31:24 AM » |
|
waaah-- aaj ka din acha hai Parwaaz ji.
aapka likha kalaam padhne ko mil gaya jo bht hi muskil se milta hai yo par.
bahut khoob khayal kahe hain aapne-- mind blowing ji.
khus rahiye aabaad rahiye
sukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 10, 2011, 03:57:27 AM » |
|
Parwaaz saheb, bahut khushi hui aap ka kalaam parh kar.Khoobsurat peshkash.Her sher umda.Khaas taur se ye sher bahut paand aaya : 'woh shikwe shikayaten wo jafa ki baatein itne faasle darmyaan banaaye baihhe hain' Guzarish hai ki aap aayenda bhi apni khoobsurat takhleeqaat,nai ya puraani, yoindia per share karte raheine.Kair andesh HASAN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 10, 2011, 10:38:27 PM » |
|
G P jee Aadaab!
Thanks for this nice appriciation... Keep reading...
Keep Visiting... Khuda Hafez
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 10, 2011, 11:10:18 PM » |
|
bahot achi post Mahamahim-- thanx ki aapne apni ye kalaam humare saath share kia-- be happy always haste rahiye S Fira Jee Aadaab!
Shukriyaa Janab.. aapko yeh kalaam pasand aayi aur aapne houNsla afzai ki...
Aage bhi saath banaaye rakhiye... Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye.. Khuda hafez ... Has to luN par muskurahat kahaaN se lauN Bhul gaya jo maiN woH aadat kahaaN se lauN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 11, 2011, 03:07:55 AM » |
|
Parwaaz bhai Aadaab Bahut bahut shukriya is sharing ke liye. Bahut khoob.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #11 on: September 13, 2011, 12:25:27 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
marhoom bahayaat
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 17, 2011, 07:56:24 AM » |
|
Ahel e bazm ko aadaab O tasleem!
Kai dino se kuch likh nahi paa raheN hai so soche ke apni koi purani kalaam hi post kar deN....
Lijiye yeH kalaam aap sabki nazar......
Hum Sitaare Ko nishaaN banaye baithe hai Dil ki hasrat ko hum JaaN banaye baithe hai
Ye dil besabra hai jawaab -e- talab unke Woh khamoshi ko zubaaN banaye baithe hai
Dard -e- diL per DawaaoN ka asar hota nahiN Dil yeh bimar KhamakhaaN banaye baithe hai
Humne chahaa mohobbat mein khuda dekheN Log hai daulat pe iimaaN banaye baithe hai
Din ko Chain nahi raatoN ko khayaal unke Aur woh izhaar ko ahsaaN banaye baithe hai
Ek Zarra Si baat per huye hai itne khafaa Besabab hi dil bad-gumaaN banaye baithe hai
Woh shikwe shikayateN woh jafa kii baateN Itne faasle darmiyaaN banaye baithe hai
Kis qadar chur hai nashe mein sab jahaaNwale Khud ko khud se anjaaN banaye baithe hai
ParwaaZ manzil hai samne chand kadmoN par Laut jaane ka kyuN armaaN banaye baithe hai
wah ji huzur ek behtrin kalaam pesh kiya.daad daad daad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
yasmeen khan
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 11, 2011, 06:34:42 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #14 on: October 11, 2011, 06:52:54 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|