PHIR SE BACHAPAN

by ravneetpurohit on December 20, 2011, 12:59:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 896 times)
ravneetpurohit
Guest
Reply with quote
Aaj phir se us kab ki band kahani pe
kalam chalane ka man karta hein

phir se muje bachapan mein jane ka man karta hai

Aaj phir se muje choclate ke wrappers
ikkate karne ka man karta hai........
phir se mandir mein jakar do baar parsad
lene ka man karta hai....

Aaj phir se mummy se chup kar shakaar khane
ka maan karta hai..
bina kisi baat ke dar jane ka man karta hai

Aaj phir se khusboo ke hisse ki mithai kha jane ka man
karta hai........
phir se bujh chuke diwali ke diyo mein pathake
jalane ka man karta hai..

Aaj phir se dono hatho se khana khane ko
man karta hai
phir se maggi ki plate ko muh se
saaf karne ka man karta hai

Aaj phir abhijeet ke ghar carrom khelene jane
ko man karta hai
phir use mota mota chidane ko man karta hai

Aaj phir sonia ki pencil churane ka man karta hai
phir sam ka luch box interval se phle khane ko
man karta hai..

Aaj phir swati ko chida chida ke rulane ka man
karta hai...
aaj phir michal ke ghar computer games
khelne jane ko man karta hai

Aaj phir muje hath se nakh phochne ka man
karta hai
phir papa ki pocket se .50 paise churane ka
man karta hai

AAj PHIR

par jaan chuka hoon ab mein ki raah kat gai
meri wo jo likhi sone se thi,
ab baki bachi zindagi likh di meine katon se
khud hi ne

Mang nai sakta dawa
bhi mein panvo ke liye kisi se mood ke.....

moodne par bhi kaante lagte zakhmi panvo mein
ab sabhi se hi muje.

Na baccha hai aage sath kisi ka mere liye
aur thoad liye phichle
saare riste naate sabhi
se hi meine..........

Ab to mera hanse se bhi man darta hai...phie bhi aaj
mera bachappan mein
jane ko man karta hai...


phir se khatam ho chuki kahani ko shuru karne ka man karta
rote dil ko aur rulane ka man karta hai
Logged
vidhi gupta
Guest
«Reply #1 on: December 20, 2011, 01:05:22 AM »
Reply with quote
it's good
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: December 20, 2011, 03:21:49 AM »
Reply with quote
its too good Ravneet
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: December 20, 2011, 03:36:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause bahut sunder rachnaa hai ravneetji keep itup
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: December 20, 2011, 04:26:28 AM »
Reply with quote
FINE
Aaj phir se us kab ki band kahani pe
kalam chalane ka man karta hein

phir se muje bachapan mein jane ka man karta hai

Aaj phir se muje choclate ke wrappers
ikkate karne ka man karta hai........
phir se mandir mein jakar do baar parsad
lene ka man karta hai....

Aaj phir se mummy se chup kar shakaar khane
ka maan karta hai..
bina kisi baat ke dar jane ka man karta hai

Aaj phir se khusboo ke hisse ki mithai kha jane ka man
karta hai........
phir se bujh chuke diwali ke diyo mein pathake
jalane ka man karta hai..

Aaj phir se dono hatho se khana khane ko
man karta hai
phir se maggi ki plate ko muh se
saaf karne ka man karta hai

Aaj phir abhijeet ke ghar carrom khelene jane
ko man karta hai
phir use mota mota chidane ko man karta hai

Aaj phir sonia ki pencil churane ka man karta hai
phir sam ka luch box interval se phle khane ko
man karta hai..

Aaj phir swati ko chida chida ke rulane ka man
karta hai...
aaj phir michal ke ghar computer games
khelne jane ko man karta hai

Aaj phir muje hath se nakh phochne ka man
karta hai
phir papa ki pocket se .50 paise churane ka
man karta hai

AAj PHIR

par jaan chuka hoon ab mein ki raah kat gai
meri wo jo likhi sone se thi,
ab baki bachi zindagi likh di meine katon se
khud hi ne

Mang nai sakta dawa
bhi mein panvo ke liye kisi se mood ke.....

moodne par bhi kaante lagte zakhmi panvo mein
ab sabhi se hi muje.

Na baccha hai aage sath kisi ka mere liye
aur thoad liye phichle
saare riste naate sabhi
se hi meine..........

Ab to mera hanse se bhi man darta hai...phie bhi aaj
mera bachappan mein
jane ko man karta hai...


phir se khatam ho chuki kahani ko shuru karne ka man karta
rote dil ko aur rulane ka man karta hai
Logged
ravneetpurohit
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2011, 01:30:31 PM »
Reply with quote
thanx thanx everyone for you appricataion..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:38:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.168 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer