harashmahajan
Guest
|
«Reply #15 on: November 27, 2005, 12:54:25 PM » |
|
kaya khoob saba ji...lovely....
akhiyon se pee raha hoon mausam badal na jaaye, jhukaao na tum aankhein kahin raat dhhal na jaaye. Harsh Ji ..... its really marvelous Meh ko chhalakna hai Raat ko to dhalna hai Kare kitni bhi koshish Mausam ko to badalna hai ahaaaa...bahoot badia saba ji Ittefaakan main pee leta hoon Ehtiyaatan main pee leta hoon Jab daaman se roothein khushiyaan Intkaaman main pee leta hoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #16 on: November 27, 2005, 01:05:38 PM » |
|
Barsa jo meha uski aankho se Hone lagi nafrat in barsaato se Saawan ke baadlo ne ajab aag lagayi uth rahi hai chingariya si ab saanso se
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #17 on: November 27, 2005, 01:49:35 PM » |
|
Barsa jo meha uski aankho se Hone lagi nafrat in barsaato se Saawan ke baadlo ne ajab aag lagayi uth rahi hai chingariya si ab saanso se Rok lo in saanso ko kahin sailaab ban na jaaye Zabt ker lo aahon ko kahin maosam badal na jaaye neend bhi ab aate hue katraayegi ai saahil dard ko sambaal lo kahin ye mom sa pighal na jaaye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
captainyr
Guest
|
|
«Reply #18 on: November 28, 2005, 08:27:10 PM » |
|
very very nice :lol: :lol:
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #19 on: November 28, 2005, 08:54:54 PM » |
|
Good going saba and Harash!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #20 on: December 11, 2005, 07:35:45 PM » |
|
Barsa jo meha uski aankho se Hone lagi nafrat in barsaato se Saawan ke baadlo ne ajab aag lagayi uth rahi hai chingariya si ab saanso se Rok lo in saanso ko kahin sailaab ban na jaaye Zabt ker lo aahon ko kahin maosam badal na jaaye neend bhi ab aate hue katraayegi ai saahil dard ko sambaal lo kahin ye mom sa pighal na jaaye. Thank you Captainyr & Pooja Harsh Ji ..... Saba is back again...... Rok liya gar in saanso ko Barsaat ruk na jaaye Dard ko jo sambhal liya Har baat ruk na jaaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #21 on: December 12, 2005, 05:30:36 PM » |
|
ahaa....aap aa gayeein....Achanak gayab hi ho gayeein thien aap ....achha laga aap ko phir dekh ker....
Tooti hi kashti dole re sahil ab man kya kya bole re ye kaisi insa ki basti jo insa ko tole re
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #22 on: December 13, 2005, 07:53:42 AM » |
|
dil khayalon se kab behlta hai raat bhar kerwatein badalta hai lagta hai dost ruk gayein saanse, Dard jab mom sa pighalta hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #23 on: December 13, 2005, 08:14:22 PM » |
|
Waah Waah
Prem ki kya hai paribhasha Dil me janam leti hai ek aasha Dard deti hai sada aur hansti hai hum ko de kar ek abhilasha
Harash ji galti huyi ho to sahi kar dijiye...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #24 on: December 14, 2005, 06:19:24 AM » |
|
waah kya khoob....
kya doondenge galtiyaan teri tehreer se, har simt mili hai wafa humein teri dehleez se. har mehfil main tum nibhaoge wafa ye hai aasha Yahi hai dard-e-gum our prem ki Paribasha.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #25 on: December 14, 2005, 06:34:44 AM » |
|
Thank you :oops:
Dard mila zamane se koi baat nahi Woh nikla bewafa koi baat nahi Hum ne kiya hai intezar bheegi raaton me Raaiga gaya jo intezar to koi baat nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #26 on: December 14, 2005, 06:51:44 AM » |
|
bahoot achhay..saba ji....is tarah na kero parda..phizaan achhi hai..kya der hai tumeh ...phuhaar kachhi hai?
umeed kyuin kero wafa, be-wafa se kabhi is zamane main be-wafa toh hote hain sabhi, Intzaar kerne ka bhi ik andaaz tumne paya hai, Lagta hai teri zindagi main Ek be-wafa ka hi saya hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #27 on: December 14, 2005, 07:49:47 AM » |
|
Too good Harash Ji
Wafa aur bewafa ki baat nahi Gum yeh hai koi ab saath nahi Woh utra boondo ki tarah dil me Aisi phir dekhi kabhi barsat nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
harashmahajan
Guest
|
|
«Reply #28 on: December 14, 2005, 06:58:31 PM » |
|
bahoot achhay saba ji...
kyuin kerte ho yuin hi gum, ki koi ab tere saath nahi, Fikra toh kero ab uska jo ab hai tere saath yahin. jo utra boond ki tarah tere dil main yuin hi woh abas paani hai barsaat nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Saba_Saba
|
|
«Reply #29 on: December 17, 2005, 10:12:34 AM » |
|
Kya baat hai...... Very good reply
Woh paani sahi mera arman hai Mere khoon-e-jigar ki pehchan hai Kahu kya mai ab aap se SABA Woh insaa.n nahi woh meri jaan hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|