Wo zarre zarre se jis ka jamaal Z'aahir hai.

by Ghulam Haider on July 08, 2013, 05:40:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2439 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Wo zarre zarre se jis ka jamaal Z'aahir hai.
Shuo'or hai to usi ki canaa ki khaaTir hai.
-----------------------------------------
NahiN shuo'or use jo khuda shanaas nahiN,
Kare jo Hamd khuda ki wo hi to shaae'r hai.
-----------------------------------------
Bashar ki fikr hai maHdood or wo la maHdood,
Haqeeqat us ki samajhne se a'ql qaaSir hai.
-----------------------------------------
Na us se pehle tha kuchh bhi na us ke ba'd hai kuchh,
Binaa bar ieN wo hi avval hai wo hi aakhir hai.
-----------------------------------------
Wo aisa noor hai jis ko na koie dekh sake,
Chhupa na jis se ho kuchh bhi wo aisa naaZir hai.
-----------------------------------------
Kisi bhi cheez ko keh de agar wo kun, fa yakoon,
Wo apne amr se har shai pe itna qaadir hai.
-----------------------------------------
Kabhi wo khud ko akela samajh nahiN sakta,
Jise yaqeeN ho khuda har jagah pe HaaZ'ir hai.
-------------------------------------------
Khuda ne di hai mujhe apni Hamd ki taufeeq,
Hazaar shukr ke mera Z'meer Taahir hai.
------------------------------------------
Har ek umeed jahaN TooT.ti naZar aayi,
WahaN laga mujhe Allah mera naaSir hai.
------------------------------------------
Ek imtiHaan e musalsal hai aadami ki Hayaat,
Wo kaamyaab hai jo har qadam pe Saabir hai.
------------------------------------------
Jahaan e faani se kya dil lagaiye Haider,
Ye zindagi hai safar or bashar musaafir hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zarre Zarre Mein Usi Ka Noor Hai by Bhupinder Kaur in Share:Love Poetry
zarre zarre me hindustaan by yatin21 in Share:Patriotic Poetry
zarre zarre me hindustaan-full version by yatin21 in Share:Patriotic Poetry
Zarre-Zarre mein dikhta Uska Akas.!!-----------------------"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Zarre-zarre mein bajee shahnaayi! by abdbundeli in Ghazals
aqsh
Guest
«Reply #1 on: July 08, 2013, 08:05:01 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Subhan allah. kaise tareef karoon mai is hamd ki koi alfaaz hi nahi hai. allah aapko jazaye khair se nawaaze.aameen..
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2013, 08:15:13 PM »
Reply with quote
Waah-Waah,Bahut Khoob
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #3 on: July 08, 2013, 08:39:07 PM »
Reply with quote
Bashar ki fikr hai maHdood or wo la maHdood,
Haqeeqat us ki samajhne se a'ql qaaSir hai.
 Applause Clapping Smiley Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #4 on: July 08, 2013, 10:36:06 PM »
Reply with quote
waah waah janaab Masha Allah kya khoob likha hai aapne, bahut bahut khoob. Khususann 2nd, 3rd, 7th, 9th aur 10th sher bahut pasand aaye. Bahut bahut mubarakbaad.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: July 08, 2013, 11:54:35 PM »
Reply with quote

Marhaba,Ghulam Haider saheb. Is khubsurat Hamd ki kya tareef
karooh aur kaise karoon . Lajawaab takhleeq hai. 'Bashar  ki
fikr hai mahdood aur wo lamahdood ...' masha Allah  kya  kya
ashaar hain.Zaat e Ilaahi ka khubsurat  bayaan.  Khuda  aapko
iska bahut bahut nek ajr ata kare .Ameen
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2013, 12:33:58 AM »
Reply with quote
Wo aisa noor hai jis ko na koie dekh sake,
Chhupa na jis se ho kuchh bhi wo aisa naaZir hai.

aur Maqte par khusoosi daad deta hun..

Bahut umda kalaam haidar saheb
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2013, 12:59:07 AM »
Reply with quote
Wo zarre zarre se jis ka jamaal Z'aahir hai.
Shuo'or hai to usi ki canaa ki khaaTir hai.
-----------------------------------------
NahiN shuo'or use jo khuda shanaas nahiN,
Kare jo Hamd khuda ki wo hi to shaae'r hai.
-----------------------------------------
Bashar ki fikr hai maHdood or wo la maHdood,
Haqeeqat us ki samajhne se a'ql qaaSir hai.
-----------------------------------------
Na us se pehle tha kuchh bhi na us ke ba'd hai kuchh,
Binaa bar ieN wo hi avval hai wo hi aakhir hai.
-----------------------------------------
Wo aisa noor hai jis ko na koie dekh sake,
Chhupa na jis se ho kuchh bhi wo aisa naaZir hai.
-----------------------------------------
Kisi bhi cheez ko keh de agar wo kun, fa yakoon,
Wo apne amr se har shai pe itna qaadir hai.
-----------------------------------------
Kabhi wo khud ko akela samajh nahiN sakta,
Jise yaqeeN ho khuda har jagah pe HaaZ'ir hai.
-------------------------------------------
Khuda ne di hai mujhe apni Hamd ki taufeeq,
Hazaar shukr ke mera Z'meer Taahir hai.
------------------------------------------
Har ek umeed jahaN TooT.ti naZar aayi,
WahaN laga mujhe Allah mera naaSir hai.
------------------------------------------
Ek imtiHaan e musalsal hai aadami ki Hayaat,
Wo kaamyaab hai jo har qadam pe Saabir hai.
------------------------------------------
Jahaan e faani se kya dil lagaiye Haider,
Ye zindagi hai safar or bashar musaafir hai.

gr88888888888888888888 hamd,sir with rau
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: July 09, 2013, 07:15:52 PM »
Reply with quote
superb
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: July 10, 2013, 02:01:02 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Subhan allah. kaise tareef karoon mai is hamd ki koi alfaaz hi nahi hai. allah aapko jazaye khair se nawaaze.aameen..
Shukriya janab "aqsh" ji. Allah Haqeer ki adnaa si kaavish qabool farmaye.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2013, 02:02:33 AM »
Reply with quote
Waah-Waah,Bahut Khoob
Mehrbaani hai janab "Advo.RavinderaRavi" ji.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2013, 02:03:55 AM »
Reply with quote
Bashar ki fikr hai maHdood or wo la maHdood,
Haqeeqat us ki samajhne se a'ql qaaSir hai.
 Applause Clapping Smiley Applause
Mamnoon hooN aap ke janab "Iqtedar" SaaHib.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: July 10, 2013, 02:06:47 AM »
Reply with quote
waah waah janaab Masha Allah kya khoob likha hai aapne, bahut bahut khoob. Khususann 2nd, 3rd, 7th, 9th aur 10th sher bahut pasand aaye. Bahut bahut mubarakbaad.
Aap ki zarrah nawaazi ke liye sipaas guzaar hooN janaab "Iftakhar Ahmad" SaaHib. Allah is koshish ko sharaf e qabooliyyat se nawaaze.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: July 10, 2013, 02:12:37 AM »
Reply with quote

Marhaba,Ghulam Haider saheb. Is khubsurat Hamd ki kya tareef
karooh aur kaise karoon . Lajawaab takhleeq hai. 'Bashar  ki
fikr hai mahdood aur wo lamahdood ...' masha Allah  kya  kya
ashaar hain.Zaat e Ilaahi ka khubsurat  bayaan.  Khuda  aapko
iska bahut bahut nek ajr ata kare .Ameen

Khuda ka shukr hai ke us ne haqeer ko apni Hamd ke qaabil samjh aur ye chand asha'ar ho gaye. Allah ham sab ko apni ma'rifat se nawaaze aur apne deen e mubeen par a'mal karne ki taufeeq de. Aap ki dili moHabbat ke liye teh e dil se shukr guzaar hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: July 10, 2013, 02:17:38 AM »
Reply with quote
gr88888888888888888888 hamd,sir with rau
Biradaram "marhoom bahayaat", aap ka be Hadd shukriya ke aap ne mere kalaam ko is qaabil samjha. Allah is Hamd ko qabool farmaye. Aap ki dili moHabbat ke liye aik baar phir shukr guzaar hooN
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 05:09:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer