~~Aaj dosto se juda ho rahi hun~~

by honeyrose on June 14, 2008, 03:19:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 9661 times)
honeyrose
Guest
Reply with quote
Aaj dosto se juda ho rahi hun
Jaane kyun itni udaas ho rahi hun
Kal ka suraj hoga aapke saath
Humen na paaoge tum aapne saath
 
Aaj dosto se juda ho rahi hun
Kuchh baatein aapse kahne aaye hun
Kuchh na kahe paaon mein aaj ki raat
Humhe na dekhoge tum aapne saath
 
Aapka haseen chehra na dekh paoogi
Dosto ke nazar se door jaaogi
Dil mein aapne yaadein chhod jaaogi
Dosto ko aapne dil mein chhupa jaaogi
 
Aaj dosto se juda ho rahi hun
Yaadon ki tasveer le jaa rahi hun
Dard akele dil mein sahe rahi hun
Dosti ki khushiyan le jaa rahi hun
 

Aaj dosto se juda ho rahi hun
Phir aapse bichhdne ka waqt aaya
Door jaane ka waqt paas laya
Dosto ne humhe jeena sikhaya
Dard mein bhi sahena sikhaya
 
Aaj aapki muhabbat saath le jaa rahi hun sad5

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ALVIDA DOSTO by gum in Shayri-E-Dard
Hellow dosto by NETRAPAL in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
~*~ Bouray hum hein dosto ~*~ by ajnabii in Ghazals
***har khushi juda si lag rahi hai*** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
syednaami
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2008, 09:14:55 PM »
Reply with quote
Hamen bhi saath le jao apne, -
Jahan bhi ja rahi ho, -
Dosti ki hai to aazmao, -
Kyun akeli ja rahi ho, -
Dost kaha hai to samjhao, -
Kyun tadpa rahi ho, -
Kitna dur doston se jaogi, -
Lot kar to aa rahi ho, -
Yeh bata do sab ko abhi, -
Kyun kahan kab jaa rahi ho. -


(Syed Naami)


----------------------------
Arey kahin jaa rahe ho kya aap...
jaldi jaldi yeh kahan jaane ka program hai...
Waise yeh kavita buhat umda aur dosti ka dard dikha rahi hai...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2008, 03:50:52 AM »
Reply with quote
Quote
Aaj dosto se juda ho rahi hun
Kuchh baatein aapse kahne aaye hun
Kuchh na kahe paaon mein aaj ki raat
Humhe na dekhoge tum aapne saath
 
Aapka haseen chehra na dekh paoogi
Dosto ke nazar se door jaaogi
Dil mein aapne yaadein chhod jaaogi
Dosto ko aapne dil mein chhupa jaaogi
 
Aaj dosto se juda ho rahi hun
Yaadon ki tasveer le jaa rahi hun
Dard akele dil mein sahe rahi hun
Dosti ki khushiyan le jaa rahi hun

Honeyrose jee bahut bahut accha likha hai aapne.
toda dard b mehsoos hua padkar.... hum yahi chahenge k yeh poem hai.
aur aap kahi nahi jaa rahi hai. Fantastic creation Jee
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2008, 03:54:29 AM »
Reply with quote
For You Honeyrose Jee

Kahan milegi aisi dosti aur ye yarana
Aisa hasta khelta pyar ka tarana
Jahan bhi jayenge yaad aayega hame
Yeh haseen fasana

Yaad aayega yaadon ke saat
Her sukh her dukh bantna
Unke saat hasna, khelna, Ladna, jagadna
Aur woh rootna ... manana

Yaaron in saare haseen lamhe ko apne dil mein rakhkar
Usse zindagi ber serhana
Kyu ki lautkar wapis nahi aayega yeh waqt
Aur bhagwan ka diya hua ye anmol nazrana

Toh jee lo jee ber ke in
Haseen pyar bhare palon ko Honey
Aur de do dosti ki ek aisi misaal
Jisse yaad karega ye sara YoIndians
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2008, 04:05:34 AM »
Reply with quote
Hamen bhi saath le jao apne, -
Jahan bhi ja rahi ho, -
Dosti ki hai to aazmao, -
Kyun akeli ja rahi ho, -
Dost kaha hai to samjhao, -
Kyun tadpa rahi ho, -
Kitna dur doston se jaogi, -
Lot kar to aa rahi ho, -
Yeh bata do sab ko abhi, -
Kyun kahan kab jaa rahi ho. -


(Syed Naami)


----------------------------
Arey kahin jaa rahe ho kya aap...
jaldi jaldi yeh kahan jaane ka program hai...
Waise yeh kavita buhat umda aur dosti ka dard dikha rahi hai...

.


 Shukriya aapka Syed.. Thumbs UP
Kamaal ka likha hai aapne meri aankhen bhar aaye aaj tearyeyed

 
Wada karte hai jaldi laut aayenge
Aapka pyar bhara dosti humare dil mein rahege

Kuchh der ka fasla hai jaldi laut aayenge
Itna pyar dohge toh aansu nikal jaayenge

Dosto ke daaman mein hum sar chhupa lenge
Iss duniya mein dost aate jaate rahenge

Par aap jaise dost hum khush naseebi se milenge..
Yeh dosti ka pal kaise bhool jaayenge..

honeyrose  aapke dil mein rahene aaongi
 

------------------------------------------------------
Waise kuchh mahine ke liye jaa rahi hun dosto
Aapne ghar jaa rahi hun aapno se milne
Ek taraf khushi hai dusri taraf gham hai
Aap dosto se bichadne ka par jaldi aaongi..

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2008, 04:12:31 AM »
Reply with quote
For You Honeyrose Jee

Kahan milegi aisi dosti aur ye yarana
Aisa hasta khelta pyar ka tarana
Jahan bhi jayenge yaad aayega hame
Yeh haseen fasana

Yaad aayega yaadon ke saat
Her sukh her dukh bantna
Unke saat hasna, khelna, Ladna, jagadna
Aur woh rootna ... manana

Yaaron in saare haseen lamhe ko apne dil mein rakhkar
Usse zindagi ber serhana
Kyu ki lautkar wapis nahi aayega yeh waqt
Aur bhagwan ka diya hua ye anmol nazrana

Toh jee lo jee ber ke in
Haseen pyar bhare palon ko Honey
Aur de do dosti ki ek aisi misaal
Jisse yaad karega ye saza YoIndians

..


Sonia kamaal ka likha hai aapne aaj
yeh padke mere aankhon mein aansu aagaye hain tearyeyed
bhagwan se duwa karti hun aap ke hamara
dost hamesha rahe.. . Thumbs UP 
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2008, 05:06:39 AM »
Reply with quote
Jahan bi aap jaoge Net toh hogana Honeyrose Jee.

Hum yahi chahenge ke aap yu hi roj aaya karo.

Bahut hi accha likha hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2008, 07:44:51 PM »
Reply with quote
For You Honeyrose Jee

Kahan milegi aisi dosti aur ye yarana
Aisa hasta khelta pyar ka tarana
Jahan bhi jayenge yaad aayega hame
Yeh haseen fasana

Yaad aayega yaadon ke saat
Her sukh her dukh bantna
Unke saat hasna, khelna, Ladna, jagadna
Aur woh rootna ... manana

Yaaron in saare haseen lamhe ko apne dil mein rakhkar
Usse zindagi ber serhana
Kyu ki lautkar wapis nahi aayega yeh waqt
Aur bhagwan ka diya hua ye anmol nazrana

Toh jee lo jee ber ke in
Haseen pyar bhare palon ko Honey
Aur de do dosti ki ek aisi misaal
Jisse yaad karega ye saza YoIndians


Wah,,, Sonia01 jee,,, aap ne to mahfil ka rukh hi badal diya... Beautiful...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2008, 07:57:24 PM »
Reply with quote
.


 Shukriya aapka Syed.. Thumbs UP
Kamaal ka likha hai aapne meri aankhen bhar aaye aaj tearyeyed

 
Wada karte hai jaldi laut aayenge
Aapka pyar bhara dosti humare dil mein rahege

Kuchh der ka fasla hai jaldi laut aayenge
Itna pyar dohge toh aansu nikal jaayenge

Dosto ke daaman mein hum sar chhupa lenge
Iss duniya mein dost aate jaate rahenge

Par aap jaise dost hum khush naseebi se milenge..
Yeh dosti ka pal kaise bhool jaayenge..

honeyrose  aapke dil mein rahene aaongi
 

------------------------------------------------------
Waise kuchh mahine ke liye jaa rahi hun dosto
Aapne ghar jaa rahi hun aapno se milne
Ek taraf khushi hai dusri taraf gham hai
Aap dosto se bichadne ka par jaldi aaongi..



Aap ka bhi buhat buhat dhanyavaad,,, jo aapne hamaari sarahana ki aur apne jazbaat bayaan kiye...
Waise hamen buhat yaad ayegi aapki... yeh kami rahegi...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: June 16, 2008, 01:05:08 PM »
Reply with quote
Aap ka bhi buhat buhat dhanyavaad,,, jo aapne hamaari sarahana ki aur apne jazbaat bayaan kiye...
Waise hamen buhat yaad ayegi aapki... yeh kami rahegi...

..

Shukriya Syed mein bhi sab dosto ko yaad karugi..


Saath beetaye woh waqt yaad aaye 
Aapka hosla aur dosti ka ehsaas yaad aaye 

Humare aur aapke beech ye khilte khushiyan yaad aaye 
Hazaron dost milege humen par aapsa koi nahi milenga 

Joh aankhon mein aansu banke hifaazat kare aise dost kaha milenge
Saath beetaye woh har lamha kaise bhool jaayenge
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: June 19, 2008, 11:02:03 PM »
Reply with quote
Buhat kamaal ka likha aapne...
Aap ki buhat yaad aayegi... Yo suna suna lagega buhat...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2008, 01:54:20 AM »
Reply with quote
Shukriya Syed mein bhi sab dosto ko yaad karugi..

Saath beetaye woh waqt yaad aaye 
Aapka hosla aur dosti ka ehsaas yaad aaye 

Humare aur aapke beech ye khilte khushiyan yaad aaye 
Hazaron dost milege humen par aapsa koi nahi milenga 

Joh aankhon mein aansu banke hifaazat kare aise dost kaha milenge
Saath beetaye woh har lamha kaise bhool jaayenge


Jaldi aajao. Jaise Syedjee ne kaha.. Yo sahi main soona soona lagega bib aapke.
Khushi se apna vacation bitakar aana jee. wave love9
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:21:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer