Aaj Rootha hua ek dost bahut yaad aaya

by -Kashish- on January 08, 2010, 10:33:32 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 14821 times)
diya786
Guest
«Reply #15 on: January 13, 2010, 10:36:42 AM »
Reply with quote
bahot acha likha hai Kashish ji

dosti me yun to roothna manana hai hota
dosti me magar roothna manana nahi hota

Shukriya Kaash ji
nice lines from ur side too
Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #16 on: January 13, 2010, 10:38:33 AM »
Reply with quote
Aakhir Hum Bhi Jaan Na Chahenge Gudiya
Aisa Aapka Kaunsa Dost Hai Jo Ab Tak
Humse Anjaan Hai...!!!
Khair

Aapne Haal e Dil Ko Bakhubi
Shabdon Mein Piroya Hai Good Job

Khush Raho...


bahut bahut shukriya Majid Bhai notworthy
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #17 on: January 17, 2010, 03:53:28 PM »
Reply with quote
Doston, aaj mujhe ek dost ki bahut yaad aa rahi hai jo mujhse naraaz ho gaya hai
galti shayad meri hi hai ...
is nazm ke zariye usse kehna chahti hoon ki uski dosti bahut khaas hai mere liye
shayad woh laut aaye mere paas.......


Aaj Rootha hua ik dost bahut yaad aaya
Achcha guzra hua kuch waqt bahut yaad aaya

Jo har lamha meri salaamati ki dua karta tha
aaj ek thokar lagi to bahut yaad aaya

Meri khushi mein apni khushi talaashta tha jo
aaj yeh ek hasi par woh bahut yaad aaya

Ek ashk se mere jaise thehar jaati thi uski duniya
aaj ek aansoo aankh mein aaya to woh bahut yaad aaya

Jise is dil ke kareeb paaya itna
aaj kuch door gaya to bahut yaad aaya

Mere wajood se hi mehak uth_ti thi duniya uski
aaj ek phool khila to woh bahut yaad aaya

Har mushkil mein jo saath tha mere saaya bankar
aaj dil zara pareshaan hua to woh bahut yaad aaya

Zindagi ki dhoop mein jo jalta tha yeh badan
aaj jab ise barsaat ne chua to woh bahut yaad aaya

Aaj Rootha hua ik dost bahut yaad aaya
Achcha guzra hua kuch waqt bahut yaad aaya........



Apne Dost Ki Yaad Me Behad Jazzbaati Alfaaz Likhe Hain aapne Kashish.. Agar Wo Aapka Khaas Dost Hai to Kabhi aapse Door Ja hi Nahi sakta..!!

Aur Mujhe Poori Ummed Hai Ab Tak Shayad wo Laut Aaya Hoga..!! Jis Dost Ko aap Itni Shiddat Se chaahti Hain.. Aakhir Wo aapse Zyada Din Door Raha Bhi Kaise sakta hai..!!  icon_thumleft

Ummid Hai Wo Laut aaya Hoga..!!



**~** Mann **~**
Logged
noor malik
Guest
«Reply #18 on: August 19, 2010, 12:36:37 PM »
Reply with quote
Doston, aaj mujhe ek dost ki bahut yaad aa rahi hai jo mujhse naraaz ho gaya hai
galti shayad meri hi hai ...
is nazm ke zariye usse kehna chahti hoon ki uski dosti bahut khaas hai mere liye
shayad woh laut aaye mere paas.......


Aaj Rootha hua ik dost bahut yaad aaya
Achcha guzra hua kuch waqt bahut yaad aaya

Jo har lamha meri salaamati ki dua karta tha
aaj ek thokar lagi to bahut yaad aaya

Meri khushi mein apni khushi talaashta tha jo
aaj yeh ek hasi par woh bahut yaad aaya

Ek ashk se mere jaise thehar jaati thi uski duniya
aaj ek aansoo aankh mein aaya to woh bahut yaad aaya

Jise is dil ke kareeb paaya itna
aaj kuch door gaya to bahut yaad aaya

Mere wajood se hi mehak uth_ti thi duniya uski
aaj ek phool khila to woh bahut yaad aaya

Har mushkil mein jo saath tha mere saaya bankar
aaj dil zara pareshaan hua to woh bahut yaad aaya

Zindagi ki dhoop mein jo jalta tha yeh badan
aaj jab ise barsaat ne chua to woh bahut yaad aaya

Aaj Rootha hua ik dost bahut yaad aaya
Achcha guzra hua kuch waqt bahut yaad aaya........


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: August 19, 2010, 12:46:08 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Kashish ji... bahut hi pyaara likha hai aapne.. aapki ye kavita hamaare dil ko gehraiyon tak chhoo gayi... bahut bahut khoob .... par ek shukayat bhi hai meri aapse aur aap jaise kuch members se... itna achcha likhte hain aap log aur YO me dikhaayi bhi nahi dete... aap nahi chahte ki aapki itni pyaari pyaari kavitaayen hum padhe aur unka aanand le...

yunhi likhte raha kijiye aur YO me regular aate raha kijiye... bahut khoob likhte hain aap... really it's too good...!!!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:18:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer