Bhool gaye sab

by thycreator on September 04, 2005, 01:57:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 60575 times)
thycreator
Guest
Reply with quote
Ye un sabhi logon ke liye jinhone mujhe kissi samay dost kaha par ab yad bhi nahi karte........mai kuch din kya gaya yahan se......sabhi bhul gaye mujhe....... :-(

Chand din kya masroof hue jindagi mein hum,
Kehte the hame dost magar bhool gaye sab....

Samjha jinhe apna humne raah e wafa mein,
Jinhe mana jinhe jana jinpe marte rahe hum,
Aaj waqt nahi unko mujhe hi yad karne ka...

Itna aage nikal gaye sabhi jindagi ki daud mein,
Ki iss rishte ki ehmiyat ko hi thukra diya sabne,
Aaj mud ke bhi na dekhein jinhe mana tha humne rab...

Chand din kya masroof hue jindagi mein hum,
Kehte the hame dost magar bhool gaye sab....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum hume bhool gaye,bhool gaye by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
hum bhool gaye hain by romeo_must_die in Shayri-E-Dard
bhool gaye by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Sab Hume Bhool Gaye. by Azeem Azaad in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
BHOOL GAYE HO TUM by jasbirsingh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
nikki
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2005, 02:25:27 PM »
Reply with quote
its not at all true n u know that...hai na?

Dosti se badh kar kuch nahi
hum yaad rakhenge apne doston ko..ta umr takk
woh bhool jayein to aur baat hai
humein to sabki khairiyat poochni hai har pal
woh na batayein to aur baat hai

dosti mein dost-dost ko bhool jaye to batao
isse buri kya baat hai...Huh?
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2005, 03:01:38 PM »
Reply with quote
Janta hu ki ek aap hi hai jinhone itne dino ke bad yad liya mujhe warna baki toh bhul hi gaye na........ sad5

Jante hai humne bhi nahi poocha unhe itne din,
Kuch majburiyan thi jo na yahan aa sake hum............
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2005, 03:17:13 PM »
Reply with quote
chalta hai buddy....

har sakhs yahan aaj kal masroof sa hai
badla badla yoindia ka roop sa hai

koi aata hai to koi aana chod deta hai
ajeeb haalat ho gayi hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2005, 04:30:25 PM »
Reply with quote
Shayad sahi keh rahi ho aap.........

Ye dunia ka dastoor hai, shikayat kaisi,
Jo nazaron se dur hai usse muhabbat kaisi,
Poochte hai sab yahan par chadhte suraj ko,
Jo chala gaya yahan uski jarurat kaisi.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2005, 05:07:43 PM »
Reply with quote
well said buddy....very touching words...

zamaane ke dastoor ko khoob nibhaye hain humne
magar gairon hi apne paye hain humne

doston ke dum se zinda hain
dosti se saanse chati hain
roz din chadhta hai ... roz shaamein dhalti hain
Logged
sanya310
Guest
«Reply #6 on: September 04, 2005, 07:36:56 PM »
Reply with quote
ae dost dil se dua di humne
aap yunhi sadaa muskuraate raho
chaand taaron par pehra hai tumhara
yunhi sitaron ki mehfil sajaate raho
tumse dosti kar li hai humne
saamne tum hamare humesha aate raho
rakhenge yaad ta umr tumko
aap chaahe humko bhulaate raho
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: September 05, 2005, 05:00:52 AM »
Reply with quote
WOW all... n AMIT ji ..koi nahin bhula kisi ko...

Har ek shaks yahan apne dost ko yaad karte hain...
Koi jaate.y hain likh kar aur koi bina likhe he yaad kar lete hain...
aur hum shayar bhi nahin jo likh kar jataye aapko...


Dosti ke tadap ko dikhaya nahi jata,
Dil me lagi aag ko bhujaya nahi jata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Par AAP jaise DOST ko bhulaya nahi jata.

nm

fark sirf itna hai ki hum kabhi apne dost ko jatate nahin hai ke hum unko yaad karte hain aur na hi hume shayari likhne aati hai aise.. jo ke asie hum apko bhule nahin hai ...!!! but this is not true haan ... jo apne likha hai " bhool gaye sab"

arey dost  ko kabhi koi bhulta he nahin...
aur bhool jaye woh aise dosti ka rista nahin...
jo bhool gaye woh kabhi dost bana he nahin...
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #8 on: September 05, 2005, 06:17:43 AM »
Reply with quote
very nice all of u ......

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: September 05, 2005, 08:23:10 AM »
Reply with quote
Thanks mili ji.... n nice one...!!!

Teri judai bhi ajeeb si lagti hai,
Tujse baath kiye hue ek mudat si lagti hai,
jab kabhi zindagi ke bare me sochu to ,
Teri dosti ek zarurat si lagti hai.
nm (from my mob collection)

kyun amit abhi bhi naraz ho kya hmmmmm
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: September 05, 2005, 08:58:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
well said buddy....very touching words...

zamaane ke dastoor khoob nibhaye hain humne
magar gairon mein hi apne paye hain humne

doston ke dum se zinda hain
dosti se saanse chalti hain
roz din chadhta hai ... roz shaamein dhalti hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: September 05, 2005, 10:26:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Ye un sabhi logon ke liye jinhone mujhe kissi samay dost kaha par ab yad bhi nahi karte........mai kuch din kya gaya yahan se......sabhi bhul gaye mujhe....... :-(

Chand din kya masroof hue jindagi mein hum,
Kehte the hame dost magar bhool gaye sab....

Samjha jinhe apna humne raah e wafa mein,
Jinhe mana jinhe jana jinpe marte rahe hum,
Aaj waqt nahi unko mujhe hi yad karne ka...

Itna aage nikal gaye sabhi jindagi ki daud mein,
Ki iss rishte ki ehmiyat ko hi thukra diya sabne,
Aaj mud ke bhi na dekhein jinhe mana tha humne rab...

Chand din kya masroof hue jindagi mein hum,
Kehte the hame dost magar bhool gaye sab....


Achcha likha hai Amit..... par achcha nahin likha sad5

Koi nahin bhoola.....shayad tum bhool gaye ho sad5

http://www.yoindia.com/forums/116-vt5359.html?start=1150
Logged
yoindiaking
Guest
«Reply #12 on: September 05, 2005, 02:20:04 PM »
Reply with quote
aankhon ke saamne hardam,
aapko paya hai..
dil mein bhi..
aap hi ko basaya hail..
aap ke bin hum jiyenge kaise..
bhala dosti bina bhi koi jee paya hai..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: September 05, 2005, 04:29:09 PM »
Reply with quote
Hey nice everyone..........specially Nikki, Sanya n Talat..............

Mujhe malum hai ki aap sab mujhko bhule nahi kabhi,
Ye toh apko yahan lane ki sazish thi humne ki......;-)

Warna aap sab se bat kaise shuru karte wapis....hai na....happy9
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #14 on: September 05, 2005, 04:43:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
WOW all... n AMIT ji ..koi nahin bhula kisi ko...

Har ek shaks yahan apne dost ko yaad karte hain...
Koi jaate.y hain likh kar aur koi bina likhe he yaad kar lete hain...
aur hum shayar bhi nahin jo likh kar jataye aapko...


Dosti ke tadap ko dikhaya nahi jata,
Dil me lagi aag ko bhujaya nahi jata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Par AAP jaise DOST ko bhulaya nahi jata.

nm

fark sirf itna hai ki hum kabhi apne dost ko jatate nahin hai ke hum unko yaad karte hain aur na hi hume shayari likhne aati hai aise.. jo ke asie hum apko bhule nahin hai ...!!! but this is not true haan ... jo apne likha hai " bhool gaye sab"

arey dost  ko kabhi koi bhulta he nahin...
aur bhool jaye woh aise dosti ka rista nahin...
jo bhool gaye woh kabhi dost bana he nahin...


shukriya AMIT ji ...!!!

shayaad hume yahan koi yaad nahin farmaya...
bina jaane kisi ko aise he kuch lafz pesh kar diya... :oops:  :oops:  sad5

BYE n Take care...!!


Dostne dosti ke liye dost ko bhula diya,

Kya hua jo kisi majboori ke liye apne hame bhula diya,

hum to vese bhi akele the,

kya hua jo apne hame ehsas dila diya...!

nm

shukriya hume apne aisa ehsaas dilane ka
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:44:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer