dil taras jata hai

by husain52 on November 05, 2004, 10:03:49 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3618 times)
Hullo
Guest
«Reply #15 on: December 06, 2004, 11:18:50 AM »
Reply with quote
Manaane mein hi aapki zindagi guzar na jaye,
Kuch idhar to kuch udhar bhi dekhiyega.
Rooth-ta hai kaun dosti mein? Yaad na aaye
To dil ki awaaz se zarur poochhiyega.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ruh taras jati hai by punjabiroop in Shayri-E-Dard
taras by mrkotians in Shayari -e- Husn
tARAS KHAKE PEE GAYE............ by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taras jaoge by chatingforever in SMS , mobile & JOKES
DIL TARAS JATA HAI ...... (Jasbir Singh) by jasbirsingh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
myheart_ursonly
Guest
«Reply #16 on: December 06, 2004, 11:57:16 AM »
Reply with quote
dil ki awwaz sunein to aankhein rukti nahi...
kitna tadpaya is dil ko khud se poochiye...
jab apne hi dikhne wale dil tod dete hain...
is toote dil ke kaise jodein khud se poochiye......

_______
saathiya
Logged
Hullo
Guest
«Reply #17 on: December 06, 2004, 04:18:34 PM »
Reply with quote
Aankhon ko kabhi to rukna zaroor hoga,
Fasaanaa-e-shab-e-gam pe jhukna hoga,
Par zara dil ki firauniyat to dekhiye
Na rukta hai, na jhukta hai kisi bhi daur par.

-----------------------------------------------

Waqt ke paaband hain hum,
Varna aaj yahin ruk jaate,
Par dil se pukaara aapne,
To jannat-e-dosti paa jaate.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #18 on: December 06, 2004, 06:03:51 PM »
Reply with quote
jakhmi hue jo hoth to mehsoos ye hua
chooma tha maine dost ko deewangi ke saath...



g'nite. im already late...



_______
saathiya
Logged
Hullo
Guest
«Reply #19 on: December 07, 2004, 05:05:32 AM »
Reply with quote
Na to humein shayari ki pehchaan hai,
Aur na furkat ka khwaab...
Hum to sirf dosti ki pukaar se milne chale aaye...
Yun pukaarte rahiyega humein
To hum kahin khud se hi door chale na jaaye!
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #20 on: December 07, 2004, 06:38:54 AM »
Reply with quote
jo hum se door rehte hain unse izhar kaise karein
kya den unhein jawab ke wo sawal aise karein
mohabbat ki kya keemat ada ki hai unhone
jo jakhm mohabbat mein diye unhein bayan kaise karein



_______
saathiya
Logged
Hullo
Guest
«Reply #21 on: December 07, 2004, 07:00:31 AM »
Reply with quote
Door rehte hue bhi kuch log kareeb hote hain
Sawalon ke jawaab bhi kuch ajeeb hote hain
Jo zakhm na seh paya woh insaan hi kya
Shayari se hi ishq farmaye jo khud ko shaayar kehte hain.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #22 on: December 07, 2004, 09:09:42 AM »
Reply with quote
zakhmon ko dekh kar tum kehkahe lagana yun hi
badalte mausam ki tareh hum bhi guzar jayenge ek din yun hi
khamosh zindagi to tum akele hi basar karna
teri is khamosh ki keemat ada kar jayenge yunhi...


_______
saathiya
Logged
Hullo
Guest
«Reply #23 on: December 07, 2004, 10:30:49 AM »
Reply with quote
Zakhm jo de wahi marham bhi lagayega
Tumhare saath kadam se kadam milayega
Jo guzar jaane ki baat ki tumne
To usi pal woh bhi apni jaan gavayega.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #24 on: December 08, 2004, 07:08:31 AM »
Reply with quote
jaan dene ki baat se tumne jo mujhe rula diya
meri sachchi mohabbat ka kya khoob tumne sila diya
tera saath dene ko main umr bhar rukta
bas do lafz kehke tumne mujhe patthar ka bana diya



_______
saathiya
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:42:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer