Dil Udaas Hai......!!

by Talat on May 05, 2009, 07:06:29 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5909 times)
Talat
Guest
Reply with quote

Shayad kuch rishte itne mazboot nahin the.....Shayad hum hi bharam main jee rahe the !!!



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
udaas by mudassirali in Shayri-E-Dard
Udaas by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
udaas by jindagi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
udaas udaas sa manzar dikhai deta hai by nadanashiq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dil Hai Udaas by amitav9 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 05, 2009, 07:47:28 PM »
Reply with quote
Talat,Insaan Jab Duniya Mein Aata Hai Usse Maa-Baap Ka rishta Bana-Banaya Milta Hai, Bhai-Behan Ka Rishta Bhi..Ek dosti Ka Woh Pehla Rishta Hota Hai Jo Woh Khud Apni Soch,Apni Pasand Se Banata Hai..Kehte Hai Ache Dost Hi Ache Insaan Ki Parakh Hoti Hai..

Aapne Bahut Bahut Khoob Likha..Talat,Par Kya Sirf Ek Choti Si Baat se Hum rishto Ko Jod aur Tod Sakte Hai...


Raahon Ki Dhool Ko Hum Sar-Maathe Se Laga Na Sake,
Dost Kehte Hai Hum Jisse Dil-O-Jaan se,
Aakhir Kyon hum Ussi se Hi Dosti Nibha Na Sake....

Apna Woh Shaks Kal Bhi Tha!!
Apna Woh Shaks Aaj bhi Hai!!
Apna Woh Shaks aane wale Kal Mein bhi Hoga!!
Fark Sirf Itna Hai Ke Waqt Ke mutaabik,
Iss Baat Ka Ehsaas Hum Shayad Unhe Dila Na Sake....

Eh Dost,Dil Ki Gehraiyon Mein Tera Naam Likha Hai,
Par Afsos Iss Baat Ka Hai,
Ke Hum Tujhe Hi Dikhla Naa Sake....

Abhi Waqt Hai, Kyon Naa Iss Dosti Ko Hum Uss Mukaam Par Le Jaaye,
Ke Chaah Kar Bhi Koi Isse Mita Naa Sake....

Ek Awaaz Laga kar to Dekho,,Woh Dost Hamesha Apke lIye Haazir Hoga!!
Woh Koi Guzra Waqt Nahi Jo Bulaane Par Waapas Aaa Naa Sake...

"Khwaish" Naa Jaane Kyon  Yuhi Likhta Chala Gaya "TALAT"
Muaf Karna,Jazbaat Ko Dil Mein Apne Hum Daba Naa Sake....
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2009, 08:25:20 PM »
Reply with quote
Thanks Khwaish for appreciation !

Aur tah-e-dil se shukriya Dost himmat-afzaai ka.....aur is khoobsurat shayari ko meri nazar karne ka...inn khoobsurat alfaaz ka   icon_flower

Aap fikar na karen, ye sirf ek mudde ko le kar poetic expression tha, imagination tha jab koi dost dosti ka bharam tod de......Ye meri haqiqat nahin hai...

Isiliye aap bilkul pareshaan na hon.....Thanks a million for being such a good friend  notworthy notworthy notworthy
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2009, 08:37:15 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Celmira and Khwaish ji... dono ne kamaal ka likha hai!!! Good work Both!!!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2009, 08:46:57 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Celmira Ji
N Khwaish Ji tera bhi kya kehna
Just Wonderful, both of you
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #5 on: May 06, 2009, 03:37:19 AM »
Reply with quote
Khoob Bahut Khoob Celmira Ji
Dil Udas hai, rishton me khatas hai
Doorian badhti ja rahi hain

sher kaha hai

TEJ RAFTAREN ABHI AUR AAYENGI
MANZILEN AB DOOR NA RAH PAYENGI
AE MERE SCIENCE-DAAN LEKIN BATA
KAB DILON KI DOORIAN MIT PAYENGI

SARVESH RASTOGI
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: May 06, 2009, 04:37:38 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohat khoob Celmira sis ... Thumbs UP

Bohat khoob khwaish ji

Aur sarvesh ji bohat khoob
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2009, 10:24:37 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Celmira and Khwaish ji... dono ne kamaal ka likha hai!!! Good work Both!!!

Bohot bohot shukriya Pooja  notworthy
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: May 06, 2009, 12:46:35 PM »
Reply with quote
bahut hi acha likha hai .. lekin bura bhi lag raha hai.. kyunki humbhi aapke dost hai aur ye likha hua humare liye bhi hai.. sorry dear huamaare hote hue aap udaas ho .. koshish rahegi aapko humesha hasaya jaye
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: May 06, 2009, 04:01:37 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Celmira Ji
N Khwaish Ji tera bhi kya kehna
Just Wonderful, both of you

Thanks a lot Rajesh
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: May 06, 2009, 04:04:16 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hia Talat aapne. It was something which really illusioned me.

Equally good poem by Khwaish Ji too as usual..
Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: May 06, 2009, 05:19:22 PM »
Reply with quote
Waah waah Talat ji kya khoob likha hai..behad acha kalaam aisa laga padhke ki thoda aur likhti aap..coz itna acha likha aapne..awesome poem Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley ..

ek koshish                                                                                                                   

dost kabhi kahin nahi jaate...
jo chale jate hain hume chhod ke...
kuch to vo hume aur kuch hum bhi unhe nahi samajh pate....
par vo jaane ke baad dil ko apni yaad de jate hain,
aur jo vo nahi rahte paas to yaad ban hume rulate hain..
aisi saugaat hume de jate hain,
har ashq ke baad naye aa jate hain,
par jab unme se kuch khushnuma yaad leke aate hain,
hum har su vasl-e-bahaar pate hain,
zindagi me zindagi ko pate hain,
aur tab aansoo bhi muskurate hain,
kyunki vo khushi ke palon me hi aate hain

Thanks so much Kaash Ji for your lovely comments....Its always so encouraging to see friends' comments ... Thanks a lot.

Bohot Khoob Kaash Ji, aapne to dosti ki sachchai likh di...sach kaha , dost bichad sakt hai, par dosti khatam nahin ho sakti....Very nice lines Kaash Ji  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: May 06, 2009, 05:29:23 PM »
Reply with quote
Shayad kuch rishte itne mazboot nahin the.....Shayad hum hi bharam main jee rahe the !!!



Bahut accha likha hai dear Talat.... Last para toh bahut sahi aur accha likha aapne. Daad hazir hai dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2009, 05:30:15 PM »
Reply with quote
Talat,Insaan Jab Duniya Mein Aata Hai Usse Maa-Baap Ka rishta Bana-Banaya Milta Hai, Bhai-Behan Ka Rishta Bhi..Ek dosti Ka Woh Pehla Rishta Hota Hai Jo Woh Khud Apni Soch,Apni Pasand Se Banata Hai..Kehte Hai Ache Dost Hi Ache Insaan Ki Parakh Hoti Hai..

Aapne Bahut Bahut Khoob Likha..Talat,Par Kya Sirf Ek Choti Si Baat se Hum rishto Ko Jod aur Tod Sakte Hai...


Raahon Ki Dhool Ko Hum Sar-Maathe Se Laga Na Sake,
Dost Kehte Hai Hum Jisse Dil-O-Jaan se,
Aakhir Kyon hum Ussi se Hi Dosti Nibha Na Sake....

Apna Woh Shaks Kal Bhi Tha!!
Apna Woh Shaks Aaj bhi Hai!!
Apna Woh Shaks aane wale Kal Mein bhi Hoga!!
Fark Sirf Itna Hai Ke Waqt Ke mutaabik,
Iss Baat Ka Ehsaas Hum Shayad Unhe Dila Na Sake....

Eh Dost,Dil Ki Gehraiyon Mein Tera Naam Likha Hai,
Par Afsos Iss Baat Ka Hai,
Ke Hum Tujhe Hi Dikhla Naa Sake....

Abhi Waqt Hai, Kyon Naa Iss Dosti Ko Hum Uss Mukaam Par Le Jaaye,
Ke Chaah Kar Bhi Koi Isse Mita Naa Sake....

Ek Awaaz Laga kar to Dekho,,Woh Dost Hamesha Apke lIye Haazir Hoga!!
Woh Koi Guzra Waqt Nahi Jo Bulaane Par Waapas Aaa Naa Sake...

"Khwaish" Naa Jaane Kyon  Yuhi Likhta Chala Gaya "TALAT"
Muaf Karna,Jazbaat Ko Dil Mein Apne Hum Daba Naa Sake....


 Clapping Smiley Clapping Smiley
Wonderful.......  Thumbs UP
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: May 06, 2009, 08:44:31 PM »
Reply with quote
Khoob Bahut Khoob Celmira Ji
Dil Udas hai, rishton me khatas hai
Doorian badhti ja rahi hain

sher kaha hai

TEJ RAFTAREN ABHI AUR AAYENGI
MANZILEN AB DOOR NA RAH PAYENGI
AE MERE SCIENCE-DAAN LEKIN BATA
KAB DILON KI DOORIAN MIT PAYENGI

SARVESH RASTOGI


Tah-e-dil se shukriya Sarvesh Ji  notworthy

Bohot Khoob Kaha Sarvesh Ji aapne


Kya Bataaun Kyun Dooriyan Hoti Hain
Kyun Aisi Majbooriyan Hoti Hain
Dil Se Dil Ki Raah Kyun Na Kam Hui
Jab Sitaaron Se Dooriyan Bhi Kam Hui !

Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:13:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer