Dost

by seraj325 on April 10, 2009, 04:12:10 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 890 times)
seraj325
Guest
Reply with quote
Dost
......
Dost har dil ki baat sunta hai
Dhadkane ba-sabaat sunta hai

Din ho phir ya ke raat deta hai
Gham ke toofaan me.n saath deta hai

Dost nayaab eik moti hai
Iss se gulzaar zeast hoti hai

Dost har waqt me.n sahara hai
Dost toofaan me.n kinara hai

Dost Sahra me.n eik hai ummeed
Dost hai tab hi hai ye Eid Saeed

Dost hai roshni andhere me.n
Dost khushboo subah sawere me.n

Dost dil jaa.n se pyaar karta hai
Apni khushiyaan nisaar karta hai

Dost nemat kuda ki janib se
Dost qoowat khuda ki janib se

Dost dar-asl jaan-e Mahfil hai
Dosti zindagi ka hasil hai

Dost tu Shaan-e wafa hota hai
Dost kab dil se juda hota hai

Yaad aate hain Dost hamko aaj
Dost ke dam se hi roshan hai Seraj

by me ( Seraj )
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost hi dost ka saath deeya karte hain by sarafz in Shayri-E-Dard
DOST by Deewana29 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Do dost...... by Amit Janglan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
dost ban ban kar.... by mnajmi in Shayri-E-Dard
DOST by VIKRANT in Shayri-E-Dard
jannatjahan
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2009, 06:46:28 AM »
Reply with quote
Dost hi zindagi aabad karta hai
dost hi zindagi gulzaar karta hai
khuda ke baad dost hi hai jahan me,
jo khusiyon se khali daaman bharta hai.

Bahut achha likha hai siraj aapne ... keep writing Thumbs UP
Logged
seraj325
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2009, 10:36:39 AM »
Reply with quote
Shukriya Jannat
Sach hai ke dost zindagi ko Jannat bana deta hai.
..
Aap ne bhi bahot khoob likha hai
waah
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2009, 12:17:24 PM »
Reply with quote
Shukriya Jannat
Sach hai ke dost zindagi ko Jannat bana deta hai.
..
Aap ne bhi bahot khoob likha hai
waah
Thanks seraj
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2009, 01:13:21 PM »
Reply with quote
Very Nice Written Seraj!

Well supported Jannat!
Logged
seraj325
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2009, 04:29:52 AM »
Reply with quote
Shukriya Sophi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: April 12, 2009, 07:14:49 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Seraj... bas ek guzarish hain aapse agar aap jaise shayer, aur Yoindians ke kalam bhi padhe aur unki islah kare ya hausla afzaiee kare to bada ehsan hoga.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 12, 2009, 07:21:17 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Seraj... bas ek guzarish hain aapse agar aap jaise shayer, aur Yoindians ke kalam bhi padhe aur unki islah kare ya hausla afzaiee kare to bada ehsan hoga.

Sabse Pehle To bahut Khoob Seraj Bhai.. Applause Applause Applause

Sajid Bhai Aapne Dil Ki Baat Kahin,Main Khud Sirf Seraj Bhai Se nahi Balki Baaki Aise Kayi Shayar\Shayara Se Guzaarish Karta Hoon,Ke Sab,Ek Dusre Ke Kalam Bhi pade Aur Comments De,Agar Hum sab Likhte Chale Jaayenge,Aur Koi Padhne wala Hi Na Ho,To Kya Haasil!!
Logged
seraj325
Guest
«Reply #8 on: April 12, 2009, 02:02:35 PM »
Reply with quote
Shukriya Sajid _ Ghayal ji
aur

Khwaish ji
................
Haan ye sach hai ke koi agar apne kalaam post kare tu doosro.n ke kalaam bhi padhe..
Agar sab post hi karte rahe.n ge aur koi padhega nahin tu post karne ka kya faayda.
.....
Maen aesa na kar saka kyoon ki waqt ki kami hai....
Aur isi liye beech me.n post karna band kar diya tha..
Roja ji ke kahne se phir aaya ..
par phir sirf post hi kar saka..
Aur bhi kaii masroofiyaat hain mere saath tu chahte huye bhi nahi.n ho pata aesa.
..................
Tu....Aaiinda hum khyaal rakhen ge iss baat ka.
Jazakallah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:31:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer