CoolGirl
Guest
|
ye dostana hamara jeene ka ek bahana hai kabhi na ho hum juda aisi dosti nibhana hai
hatho mei hath lekar chale hum toh hai aise yaar koi bhi aaye saamne humko na hai kisi ka daar teri khusi mei meri khushi tere hi daam se meri hasi ab na ye sath chorna hai aisi dosti nibhana hai
ye dosti salamat rahe khuda se yehi maangna hai hum aisi misal bana ke duniya ko yehi dekhana hai dosti hai ek anmol heera woh khushnaseeb hai jisne isse paaya hai ab tere bin nahi jeena hai aisi dosti nibhana hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 27, 2007, 10:59:47 AM » |
|
Tu Meri Dosti Mera Armaan Hai Shaayad Tu Apni Ehmiyat Se Anjaan Hai
Mujhse Kabhi Rooth Kar Mat Jana Dost Kyonki Meri Duniya Tere Bin Veeran Hai
jo mila hai mujhe tujh jaisa dost uss khuda ke mujhpe baut bara ehsaan hai
yaari mein hum apni jaan lutate nahi arey yar tu hi tou humari jaan hai
aajke zamaane mein apno pe barosa nahi tu jo mere saath hai tou sara jahan dekh ke heraan hai
bas dua yehi hai ke salamat rahe ye dostana RANI ki khushiyon ka tu hi bhagban hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #2 on: August 27, 2007, 11:00:47 AM » |
|
Safar Mohabbat Ka Chalta Rahe Suraj Chahe Har Shaam Dhalta Rahe
Kabhi Na Dhalegi Apni Dosti Ki Shaam Chahe Har Rishta Rang Badalta Rahe
kabhi khatam na ho yeh dosti ka jaam her pal yaari ka nasha charta rahe
na ho kabhi hum juda hai yehi apni dua her janam mein apni dosti ka silsila rahe
ager maar bhi jayen hum tou kya ghaam hai bas saada RANI yeh dosti ka charag jalta rahe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #3 on: August 29, 2007, 07:34:54 AM » |
|
Phol sey haseen hai mera Dost Kitna mah jabeen hai mera Dost
kandhoon peh bekhri zulfein ghata jaisi nazrein uski jhukki jhukki hayaa jaisi
hoontoon peh surkhi shafaq jaisi chehrey peh chandni zia jaisi
Phol sey haseen hai mera Dost Kitna mah jabeen hai mera Dost
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #4 on: August 29, 2007, 07:35:28 AM » |
|
dosti dhalte sooraj ki kirano main hai
dosti har naye din ki umeed hai
dosti khwaab hai,dosti jeet hai
dosti pyaar hai,dosti geet hai
dosti do jahano ka sangeet hai
dosti har khushi,dosti zindagi
dosti tishnagi,dosti bandagi hai
dosti sang chalty hawaon main hai
dosti in barasti ghataon main hai
dosti doston ki wafaon main hai
haath uttha ke jo maangi gayi hai dua
dosti ka asar un duaon main ha ..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 29, 2007, 07:36:26 AM » |
|
meethi si dosti ajab sa ehsas awaz mein jaadu matwali baat kudrat ka karishma tera andaz khilkhalati hasi meri madhoshi ka raaz kiya kahun kis kadar tera hua hai asar tera ehsaas hai mere sang her pal tu na samjh khud ko tanha is kadar na tera dil tanha na tanha tera safar dosti ka jo haath thama hai sanam aapna dostana kabhi na hoga kaam pyaari hai humari dosti pyari ye gazal tere naam hai ye ek paigam yaar-e-dushman
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 03, 2007, 11:37:17 AM » |
|
Dost ke liye DOSTI hai ek Afsana Milna bichadna hai ek Dastur Purana Phir bhi sanjoye rakhna milne ka bahana Taaki barkarar rahe humara Dostana
inn dooriyon se tum bhi door na hojana iss dil mein saada rahega yaadon ka khazana kabhi pade meri zarurat to aawaaz de dena dil chahe mulakat ka tou khuwabon mein aajana
E-Khuda is chirag-e-dosti ko kabhi na bhujana mere dost ki aankhon ko kabhi na rulana meri inn duaon ko tu sun lena hamesha qayam rahe humara dostana
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 25, 2007, 06:41:37 AM » |
|
iss dilne hai tumhe apna maana dur rehke bhi hai tumhe pechana
tum sunder ho na ho sunder hai tumara maan ussi sunderta ka hai mera dil deewana
ek tasveer teri chupake rehki hai dil mei kahin laga na de nazar tumhe ye zalim zamana
tum jo roothi tou saansein rooth jayegi dekho kabhi hume tum apne dilse na bhoolana
jab kabhi tumari aankhein naam hone lage ek aanson kam hojayega dilse jab bhi yaad karna
mana aur bhi rishte honge tumhare per hume bhi apni sunheri yaadon mein rakhna
aur kuch nahi dua iss nachez ki KHUDA se bas ya rab meri dost ko duniya ki her khushi dena
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 27, 2007, 02:46:34 AM » |
|
cool_girl ... accha likha hai aap ne!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 06, 2007, 09:52:11 AM » |
|
Khamoshi ki wo dhimi si awaz hai tanhaiyon me wo ek gehra raaz hai
milte nahi hai sabko sacche dost Yahan aap jo mile to hame khud par naaz hai
lagta hai jaise ke hain pichley janam ke saathi her pal sabse special aapka hi ahsas hai
dooriyan to humare darmiyan lagti hi nahi door rehkar bhi aap mere paas hai
her aada hai aapki juda dil mein basi hai aapki saada ab tou auron se zyada aap hi khaas hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
aankhain
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 06, 2007, 08:43:54 PM » |
|
kya baat ha=D>
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 09, 2007, 07:11:42 AM » |
|
ek khushi si chaa jaati hai chere pe noor aa jaata hai
apna jo tum mujhe kehti ho humko thoda guroor aajaata hai
jab bhi dilse kerte hain tujhe yaad tab jaake lafzon mein koi suroor aajata hai
pata hai yeh hum ker sakte nahi phir b her khushi tujhe dene ka dilko huboor aajata hai
tujh pe hum yeh jaan nisar kya karen jab tere sang hi jeene ka shaoor aajata hai
jab kehti ho tum mujhe khathi meethi guddiya tou meri nighaon mein tere chera ka parda zaroor aajata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 21, 2007, 08:50:53 AM » |
|
ger tere aankhon ki udaasi ger tere labon ki woh khamoshi mere pyaar se mit jayegi tou mein shaam savere gaati rahongi bas tere liye geet gungunati rahongi
aajayega phirse woh chera ka noor gham ke badal hojayege door mere hamdam mere dost kabhi aandheri raat na woh aaegi tou mein shaam savere gaati rahongi bas tere liye geet gungunati rahongi
yeh lafz mere aanso na poch sake per sang tere aanso bahaenge jo tujhko khushi milegi tou yeh bhi sang tere muskuraenge bas isske siwa na kuch ker sakongi tou mein shaam savere gaati rahongi bas tere liye geet gungunati rahongi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 31, 2007, 09:12:35 PM » |
|
Nice CoolGirl!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
CoolGirl
Guest
|
|
«Reply #14 on: November 08, 2007, 05:55:36 AM » |
|
Aap ho aise mile jaise khushiyon ka khazana mil gaya hamari zindagi ko aaj jee lene ka bahanaa mil gaya
aisa mila hai aapka pyaar hume dil nasheen jaise khuda ki taraf se koi anmol nazrana mil gaya
hume tou aapki nazron ne pyaar ke kabil samjha hai pyaar bhara jaise hum ko afsana mil gaya
mehfil-e-dil mein aapke aane se hi ronak hai roshni ko aaj jaise uska thikana mil gaya
labon pe aisi haansi tou pehle na dekhi thi humne aaj jaise inko ek haseen khilona mil gaya
yeh sirf chand lafz nahi hai mere dil ki sadaa hai bezuban dil ko bhi aaj bholne ka bahanaa mil gaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|