Dosti ke liye pyar kurbaan

by Mayur4love on June 05, 2005, 12:00:30 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5030 times)
Mayur4love
Guest
Reply with quote
ye dill ki khata hai tum kya jaano, pyar mein jalna kise kehte hain
pyar paake jo use dost ke liye kho de, ye khuda ke bande haote hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dosti Nibhane Ke Liye............. by paro_ka_deva_devdas in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
Dosti k liye................. by sunny_bunny in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 5 6 »
Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye.. by khwahish in Ghazals
Kurbaan by songwriter_123 in Share:Patriotic Poetry
Dil kurbaan by sonalxoxo in Shayri-E-Dard
kaushal sahu
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2013, 01:43:02 PM »
Reply with quote
 Yeh pyar murauvat yeh ekhlaas wafadari
Lafjon ki tijarat hai lafjon ki kharidari.

Aisa lagta hai har imtehan ke liya
Zindagi ko hamara pata de diya hai.

Yeh kya ki chand kadam chal ke laut jayenge
Hamare saath jo chaliye to umra bhar chaliye.
 :-X
Hum jisse apne pyar ka tohfa de ne aaye the
Ushi ke hath ke pathar humari talash mei the.

Bhule hain rafta rafta unhain muddaton mei hum
Qistoon mei khudkushi ka maza hum say pucheeye.

Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
Tu Teer Aaazmaaa, Hum Jigar Aaazmayain.

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki.

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain.

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki.

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti.

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jinhein hasil nahi hain hum.

Isse Nadaani Kaho Ya Pyar, Chahe Ishq Ka Parwaaz
Yeh Diwangi Sahi, Par Sirf Dillagi Nahi.

Jinki yaad hai dil mei nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Yeh baat aur hain ki inn ki roshni tum par ayee nahi.

Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain.

Yu to pyaar karnaywaale tumhe kam na milenge
Mil jaayenge hum jaise lekin hum na milenge.

Zameen per naam likh kar mitaya na karon
Ankeh sach bolti hai pyaar chupaya na karon.

Ek kasak dil ki dil me dabi reh gayi
Jindagi mei tumhari kami reh gayi.

Na chooh sake ga koi mere daman-e-mohabbat ko
Aye kash tumne itna to aitbaar kiya hota.

Yeh kya hua aaj bhari mehfil khali khali si lagti hain
Saji hui basti hain phir bhi kuch kami si lagti hain.

Aansu aankho mei abhi kuch to bacha kar rakhne de
Teri bewafai ki nishani kuch to bacha kar rakhne de.

Hum ba-wafa the issliye nazron se gira diya,
Shayad tumhe talash kisi aur ki thi issliye hume bhula kiya.

Nazrain neechi hai aur sar jhukaye baithe hai
Arey ye wohi to hai jo hamara dil churaye baithe hai.

Chhup chhup ke tumhara deedaar karte hai
Dosti ki aad mein tum se pyaar karte hai.

Logg Kehte Hai Wah! Kya Sabnam Chai Hai
Par Unhe Kya Pata Ki Chand Ne Roo Kar Raat Bitaiye Hai.

Sunte hai ki har cheez mil jaati hai dua se
Ek din tumhe maangke dekhenge khuda se.

Kaun kehta hai ki hum tumhare hai
Hum tho unke hai jo hamare hai.

Jab dil hi nahi to dil ke saharo ka kya karon
Jab pas tu hi nahi to inn baharo ka kya karon.

Gum hi gum tha kuch dino se zindigi mai
Aab app ayae hai to khushiya bhi guzar jathi hai yahai se.

Mohabbat mein dhoka dekha hai
Mohabbat karne walon ko hum ne rotey dekha hai.

Ruk jaain agar aansoo to ban jaate hain nasoor
Accha hain ke do-char nikal aate hain her-rooz.

Teri dosti ne mera dil jala diya
Sharbath pilane ki jagah zaher pila diya.

Chand se pyaari Chandni, Chandni se pyari Raat,
Raat se pyaari Zindgi, Zindgi se pyare Aap.

Khuda kisi ko kisi pe fida na karey
Aur agar karey to khayamat tak juda na karey.

Zindagi mei jab tum na the tab tanhai ka ehsas nahi tha
Aaj kal mehfil mei bhi tanhai ka alam hota hain.

Hum hi mei na thi kuch baat aisi ki yaad tumhe aa sakein
Tum ne hummei bhula diya par hum to tumhe bhula na sakein.

Mohabbat mein jo saadiq hai woh kab faryaad karte hai
ZubaaN pe mehr-e-khamoshi hai aur dil mein yaad karte hai.

Ahsaas to hai Hame Judaee Main Jeene ka
Magar mazaa aata nahin Sabar ke ghoont Peene ka.

Gul se honsla sikho gam mei muskurane ka
Kaid hain woh katon mei phir bhi muskurate hain.

Chalte hain to lagta hain ki sadiyon ka saath hain
Aur bichhadte hi do din mei bhula detein hain.

Le chala jaan meri, ruth kar jana tera
Aese jaane se to behatar tha na aana tera.

Hum bhi dariya hain, hummei apna hunar maloom hain
Jis tarah bhi chal padenge raasta ho jayenge.

Hum to dushman ko bhi shayishta saja dete hain
Var nahi karte magar nazaron se gira dete hain.

Pyar karo kisi se to yeh janna zaroori hain
Ki rahega woh wafadar hamesha ya usse bhi koi majboori hain.

Woh daur se guzree hai dastaan-e-mohabbat hamari,
Lamho ne khataa kee thi, sadiyon ne saza paayi.

Meri bezubaan aankhon se, gire hai chend katre,
Woh samajh sake tho aansoon, na samajh sake tho paani.

Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki dua mangte hum deedar se pehle.

Unhone waada to kiya tha khwab me milneka
Ye hamari badkismati ki hame nind hi nahi aai .

Unhone humme bhule se yaad na kiya
Aur humne unki yaad mei sab kuch bhula diya .

Umr daraaz maang kar laye the chaar din,
Do kat gaye aarzoo mein, do intzaar mei guzar gaye.

Gire hue patton ko utane wala kohi nahe
Pyar karte hai sabhi nibhane wala kohi nahee.

Ahae baarish itnaa na baras ke woo aah na sakein
Unke aane ke baad itnaa baras ki woh jaa na sakein.

Dil mein basi tumhari yaadein jab gazal ban jaati hai
Aankhon ke aansoo tab syaahee ban jaate hai.

Tumse mila tha pyar, kuchh achhe naseeb they,
Hum unn dinon ameer they, jab tum kareeb they.

Agaaze-Mohabbat hai, ghabrata hai kya
Anjaame-Zindagi pe, khatam ho hi jayega.

Raaste yaad nahi, raahnuma yaad nahi,
Kuch mujhe ab teri galiyon ke siva yaad nahi.

Dil hai to dhadakane ka bahaanaa koi dhuunde
Patthar ki tarah behis-o-bejaan saa kyun hai.

Ham ne dil de bhii diyaa ahd-e-vafaa le bhii liyaa
Aap ab shauq se de den jo sazaa deni hain.

Log kehte hain ki yeh pyar kuch cheez ajeeb hai
Yahan phoolon ki chot pe kaanton ka marham lagta hai.

Aane ke waqt tum kahi ke kahi rahein
Ab aane ka kya fayada jab hum hi nahi rahein.

Tujh ko pooja teree dehleez peh sajda na kiya
Woh mera ishq tha, yeh meri khuddari hain.

Itnee khwahish na ker meri aaseri ke liye
Tu kahin mera giraftaar na samjha jaaye.

Rukhsat hua to aankh mila kar nahi gaya,
Woh kyun gaya hain yeh bhi bata kar nahi gaya.

Tum to shayar ho Qateel ho aur woh ek aam sa shakhs
Uss ne chaha bhi tumhain aur jataya bhi nahi.

Hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
Woh shakhs bhi ajeeb saza de gaya mujhe.

Uthti nahi hain aankhein kisi aur ki taraf
Pa-band kar gayee hain youn kisi ki nazar mujhe.

Khowab ho, Dil ho, Sitara ho, Koi Waada ho
Tutne wali kisi shay pe bharosa na karna.

Kehte hain haath mei taqdeer hua karti hain
Kal younhi haathon pe ek naam likha der talak.

Tumhare bas mei ho agar to bhul jao hume
Humari baat aur hain, humne to mohabbat ki hain.

Waise to zinda dil hain magar phir bhi
Ek dard hota hain humari hansi ke saath.

Kuch woh bhi na tha waqif-e-adaab-e-mohabbat
Kuch mujh ko bhi raas na aa saka pyar ka mausam.

Dhalne lagi thee raat ke tum yaad aa gaye
Uss ke baad raat baree der tak rahi.

Kuch tu hi mere qurb ka mafhoom samjh le
Hansta hua chehra to zamane ke liye hain.

Kasam na khao taghaful say baaz aane ki
Ki is dil mei ab nahi taakat sataye jaane ki.

Ab dil ke afsaanon ko bayaan karte hain aansoo
Ab hum say tere ghum ki hifazat nahi hoti.

Kal raat barasti raheen sawan ki ghataain
Aur hum bhi teri yaad mei dil khol kar royein.

Pichle baras tha khouf ki kahin tujhe kho na doun,
Ab ke baras yeh dua hain ki tera saamna na ho.

Yeh wafa ki sakht rahain, yeh tumhara paaye nazuk
Na lo intaqam mujh say youn mere saath saath chal kar.

Ghairon ki be-rukhi ka gila kab kiya tha humne
Aapnon ki shafqaton ke sataye huye hain hum.

Kuch purshish-e-yaraan ke bhi andaaz ajeeb they
Kuch hum ko bhi tere zakhum dikhane na aaye.

Apna to kisi tarah guz jaye ga yeh din
Tum jis say milo aaj usse Eid-Mubarak.

Dil na umeed to nahi, nakam hi to hai,
Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

Zakhm kuch aaise hue ki phulo per soya na gaya,
Dil ke tukadhe hue hazar par aakho se roya na gaya.

Aab iss hadh pe laya hai intazaar mujhe,
Woh aa bhi jaye lekin aaya na yaki muzhe.

Ek diya jo sare rah jalane niklay,
Aandhiya ban kar kai log buzane nikle.

Na jane ashk inn aakhon mei kyon hai aaj aaye,
Ek muddat si hui hain tujhe bhulaye.

Jo hamse tum na mile to kuch hum mar na gaye,
Afsosh hain ki Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.

Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye aashiyana ujad kar.

Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,
Dil ki galiya badi sunsan hai aap aaye kyon nahi.

Pahle to khushi mei bhi nikal aate the aasu,
Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.

Kata samaz kar hamse n daman bacha E-ye,
Gujri hui bahar ki haseen yadgar hu.

Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
Bas zara sa dil tuta hai aur koi bat nahi.

Socha bhi na tha, aise lamhon ka saamna hoga,
Manzil to samne hogi, par Raasta na hoga.

Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe,
Ho kay zameen ki khakh, Aasman se dil laga baithe.

Aaj kisii ne baaton baaton mein, jab un kaa naam liyaa,
Dil ne jaise Thokar khai, dard ne badh kar thaam liyaa.

Woh nahi milta mujhe iss kaa gilaa apni jagah,
Uss ke mere daramiyaan ka fasalaa apni jagah.

Aise hijr ke mausam pag pag aate hain,
Tere alaavaa yaad hamein sab aate hai.

Meri daastaan-e-hasarat woh sunaa sunaa ke roye,
Mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:52:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer