Doston ke liye

by thycreator on April 20, 2005, 02:06:15 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5646 times)
thycreator
Guest
Reply with quote
Friends....dosti ke naam kuch lines jo ki meri nahi hai par phir bhi apke samne hai.......

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho....
.... Toh itihaas banaati hai !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
doston ke liye ( Sufi aur nishita pyaari) by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2  All »
mera 200th post- yoindia ke doston ke liye :) by sanya310 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3  All »
~~~...Mere Doston Ke Liye...~~~ by Tosha in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Doston ke liye by drpandey in Miscellaneous Shayri
Doston ney jaan dee hai, doston key waasitey! by abdbundeli in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
thycreator
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2005, 02:06:55 PM »
Reply with quote
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2005, 02:07:22 PM »
Reply with quote
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2005, 02:07:50 PM »
Reply with quote
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: April 20, 2005, 02:08:20 PM »
Reply with quote
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2005, 02:08:49 PM »
Reply with quote
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2005, 02:09:24 PM »
Reply with quote
Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2005, 02:10:14 PM »
Reply with quote
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!

n/m
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2005, 02:10:38 PM »
Reply with quote
Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! ... »
n/m
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: April 20, 2005, 02:12:35 PM »
Reply with quote
bohot khoob Amit happy9

teri dosti pe bohot naaz hai hume
mile hai ye Khuda ki maharbaani !!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2005, 02:12:36 PM »
Reply with quote
wah thy ji .......kya sama baandha hai.............................................. ......................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2005, 02:17:57 PM »
Reply with quote
Thanx Talat ji n Pandit ji....
Talat ji,
Teri dosti mein humne toh sab kuch bhula diya,
Jitna na chaha kissi ko utna tujhse pyar kiya,
Ab toh dua hai rab se bak ek hi mere dost,
Kya de tujhe jisne ki mujhe naya jeewan diya.
Logged
pandit
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2005, 02:20:35 PM »
Reply with quote
sirf talat k liye hi likhoge ki hume bhi kuch............................................. ................................
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: April 20, 2005, 02:21:19 PM »
Reply with quote
Thanks Amit... happy9 kyaa baat hai..

Teri dosti ne zindagi se pehchaan karai hai
mujhe wo toofano se phir lauta ke laayi hai
Bas itni hi dua karte hain khuda se hum
Bujhe na yeh shama kabhi jo humne jalai hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: April 20, 2005, 02:21:50 PM »
Reply with quote
Quote from: "pandit"
sirf talat k liye hi likhoge ki hume bhi kuch............................................. ................................


Aap kuch likho tab na hum kuch kahe,
Aap toh bas wah wah kiye baithe hai... :lol:
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:52:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer