Doston ke naam By J N Mayyaat

by J N mayyaat on July 20, 2011, 03:53:03 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1835 times)
J N mayyaat
Guest
Reply with quote
Hum dua karenge un doston ke lie jo jeetna chahte he haar se darne waalon ka to khuda bhi
Saath chood deta he humeshaa
Himmat se jo ladta he zindgi ki ladai maayus nahi hota jo kabhi haar ki raahen jeet ki taraf Mod deta he wo humeshaa

Khud likhna apna mukaddar dusron ka tumhe saath tumhe mile na mile
Khuda ne jab thaama he haath tumhara to kya hua agar kisi or ka saath mile na mile
Ek saccha dost jaroor kaam aaega tumhare Rishte naate ki baat karnewaala to Saath chood deta he wo humeshaa
Himmat se jo ladta he zindgi ki ladai maayus nahi hota jo kabhi haar ki raahen jeet ki taraf Mod deta he wo humeshaa

Dil se karta hu me dua mere dost door rahe tumse humeshaa maayusi or ghum
Jab mushkil me padjaao tab dilse yaad karlena yaaron koi gair nahi tumhare dost he hum
Matlabi is dunia me kisi be matlab ki talaash karna kareeb hone ke daawe karne waala to Dil tod deta he humeshaa
Himmat se jo ladta he zindgi ki ladai maayus nahi hota jo kabhi haar ki raahen jeet ki taraf Mod deta he wo humeshaa

Hum dua karenge un doston ke lie jo jeetna chahte he haar se darne waalon ka to khuda bhi
Saath chood deta he humeshaa

Written By
Nilam J Mayyaat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DOSTON K NAAM.................... by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES
Funny Section Ke Doston aur Members Ke Naam...Missing all..! by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 6 7 »
*Doston Ke Naam* by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Dil ka haal By J N Mayyaat by J N mayyaat in Shayri-E-Dard
Dua By J N Mayyaat by J N mayyaat in Miscellaneous Poetry in Punjabi
GUMboy
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2011, 07:53:36 AM »
Reply with quote
kya baat hai mayyaat ji.. Aisa laga jaise apne mere liye likha ho.. Hamari zindagi b kuch aisi hi hai..
Logged
J N mayyaat
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2011, 08:30:10 AM »
Reply with quote
kisi bewafa ko bhulane ke lie ghum ka sahaara mat le mere yaar
khshiyan dunia ke rom rom me bastin he use apnale samandar ko bharne ke lie apne aansuon ka sahaara mat le mere yaar
Nilam J Mayyaat
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2011, 12:06:34 PM »
Reply with quote
Aadaab Janab J N Mayyaat Sahaab !

Behad achche Vichaar kahe hai aapne daad and this line is
so much valueable ... Hat's Of for this one specialy Usual Smile

" Ek saccha dost jaroor kaam aaega tumhare Rishte naate ki baat karnewaala to Saath chood deta he "
 Applause Applause Applause

Likhate rahiye.... Aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile
Logged
J N mayyaat
Guest
«Reply #4 on: July 20, 2011, 12:10:15 PM »
Reply with quote
ye sacchi baat he mere dost or aazmaai hui baat he
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #5 on: July 21, 2011, 06:44:41 AM »
Reply with quote
nilam ji.. Hame gum kisi bewafa ka nahi hai.. Kyuki meri jaan bewafa nahi hai, wo to mere jine ka sahara, meri khushiya hai.. Aur rahi baat GUM Ki, GUM To hame Iss jahaa aur kismat se milaa hai, jo meri khushiya mujhse chhine huye hai..
Sunn ne me aasan lagega par bhai sehne me bahut mushkil hai..
-GUMboy...
Logged
J N mayyaat
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2011, 07:59:29 AM »
Reply with quote
ghumon ke sahaare zindagi nahi guzarti use khushion ki zaroorat he
jab saath he tere sanam ka pyaar to use himmat me badalde mere dost
tu dikhlade duniya ko tujhe kisi se darne ki kya zaroorat he
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2011, 08:37:14 AM »
Reply with quote
Darta nahi hu bhai, par kya hai na majburi hai.. Abhi safalta hath nahi aur uss wajah se wo dur hone ka dar hai.. Baaki kuch nahi..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:55:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer