Eh Dost Teri Bahut Yaad Aayi.....

by khwaish on February 19, 2008, 05:27:02 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 14751 times)
captainyr
Guest
«Reply #15 on: February 21, 2008, 05:44:53 AM »
Reply with quote
Bahot khub Pooja ji
Regards
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri yaad bohat aayi... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
teri yaad aayi by sanya310 in Shayri-E-Dard
Fir teri yaad aayi.... by natural in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost Teri Yaad Bahut Aati Hain..!!..Miraj(Miru) by Miraj. in Shayri-E-Dard
punam
Guest
«Reply #16 on: February 21, 2008, 02:14:42 PM »
Reply with quote
Kya baat hai dost ho toh aisa..kitu ji..i mean to say aap jaisa..

bahot hi acha likha hai aap ne..full emotion ..
waise aap senti kuch kam bhi toh nahi ho na...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: February 21, 2008, 08:29:44 PM »
Reply with quote
Bahot khub Pooja ji
Regards

bahoot bahoot shukaria.. bahoot dino Yo ki yaad aai apko.. ab atte rahiyega!!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #18 on: February 24, 2008, 11:55:17 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai khawish ji yeh kuch meri taraf sey.. Roll Eyes

Ek dost ki yaad to bohat aati hai humhe..
Woh beetha har lamha yaad aati hai humhe..

Kuch khaas hai usmein jo na kaha sake hum..
Meri dil ki dadhkan ko chupke sey chura lete hai woh

Humhe diwana banakar kahin ko jate hai woh..
Unse judi hai kuch haseen pal..

Ankhon mein nami hoti hai kabhi pal doh pal
Ek dost ki yaad to bohat aati hai humhe..
Logged
Roja
Guest
«Reply #19 on: February 24, 2008, 12:11:47 PM »
Reply with quote
Ek umar thi jab saath khela karte the
Phir ek umar aayi jab aankhon mein sapne liye chala karte the

Aaj Ek raah par kadam ladkadaye
aas paas to koi nahi tha,Dekha peeche mud kar to,
eh Dost Tu bhi na nazar aaye...

Zindagi mein Kabhi-Kabhi kuch baaton se pareshaan ho jate the
phir milkar ek dusre ko samjhaate the...
aaj bhi woh pal yaadein ban kar dil mein reh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi ghar par choti-choti baaton se ladkar tere paas aa jaata tha
tere ghar ki darwaaze ke paas jo seedhiya thi wahi baith jaata tha,
wahi baithkar tujhe dil ki har baat keh jaata tha,
har baat pe tera woh kehna ke...
"Apne aap ko inta senti kyon kar leta hai,
Badon ki baaton ko itna dil pe kyon le leta hai"
DOST, aaj bhi woh baat shayad choti hi hoti hai
par koi samjhaane wala nahi,isliye yeh aankhein roti hai..

aaj bi jab takhta hoon uss jageh ko to,
aaj bi apni parchai mujhe waha dikhti hai
par tujhe jab dhoondta hoon to tasveer dhoondli si kyon lagti hai...
ab apni khamoshi bhi kuch keh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi pocket-money milti thi to bade bade sapne dekha karte the
dus din bhi nahi guzre ke jeb apni khaali kar diya karte the
sirf Bike mein Petrol ke paise bachakar saath phir liya karte the
jab bhi kahin jaana ho to apne purse ek dusre se chupa liya karte the

aaj dekh zindagi ka manzar kuch aur kehta hai
aankhein wahi hai ,aankhon mein sapne wahi hai
par tabdilli zindagi ki tasveer badal deta hai...

kuch pal ko yaad kar yeh aankh aaj bhi muskuraati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

yaad hai mujhe , jab bichadte waqt tune kaha tha
"eh dost hamesha dua karna,kuch sapno ko mujhe hai haqeeqat mein badalna"
aaj bhi woh pal, woh ghadiya aankhon mein tehar jaati hai
EH Dost, teri bahut yaad aati hai...

kuch dost aise hote hai jinhe yaadein nahi bhool pati hai
woh dost anmol hote hai, jab dil se dosti ki jati hai..
aaj bhi dekhta hoon dosto ko saath rehte hue
kabhi gale milte,kabhi ladte jhagadte hue
in doston ko saath dekh,aankhein meri bhar jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

aaj jab uss dost ne mujhe phone karke rote hue kaha
"yaar, zindagi bahut tez guzar jaati hai
kabhi-kabhi mehfil mein bhi tanhai nazar aati hai"
uski iss baat par ussi ke alfaaz usse dohraaye
"APNE AAP KO ITNA SENTI KYON KAR LETA HAI..."

MAIN HAIRAAN HOON,TU BHI AANKHON MEIN AANSU BHAR LETA HAI...

AAP SAB SE EK BAAT KEHTA HOON
SACHE DOST BANANA BAHUT MUSHKIL HAI
AUR NIBHANA USSE BHI MUSHKIL,
PAR, SACHE DOSTO KO BHOOL PANA SABSE MUSHKIL

aaj zubaan par mere woh baat phir aayi
EH DOST TERI BAHUT YAAD AAYI....
"

Really wonderful wordings... full of emotions.
Khwaish ji aap apne dil ki baat ko bahut accha bayan kiya hai.
Haan i agree with you... dost banana mushil
dosti nibana mushil... bahut khoob ... daad hazir hai

Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: February 24, 2008, 12:17:15 PM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai khawish ji yeh kuch meri taraf sey.. Roll Eyes

Ek dost ki yaad to bohat aati hai humhe..
Woh beetha har lamha yaad aati hai humhe..

Kuch khaas hai usmein jo na kaha sake hum..
Meri dil ki dadhkan ko chupke sey chura lete hai woh

Humhe diwana banakar kahin ko jate hai woh..
Unse judi hai kuch haseen pal..

Ankhon mein nami hoti hai kabhi pal doh pal
Ek dost ki yaad to bohat aati hai humhe..

Hmm yeh dosti pyar main badal diya hai aapne honey.
Nice lines but friendship se juda hua sa nahi mujhe lag raha hai.
dosti se jyada pyar nazar aa raha hai.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #21 on: February 24, 2008, 01:17:45 PM »

Well Roja dear kabhi kabhi dosti
Mein bhi aisa pyaar hota hai
Joh bohat khaas hota hai hum

Dosto key liye jaan bhi dete hai..
Ek aisa pyaar joh humare dil mein
Hamesha ek tasveer aur
Yakeen bankar rahe thi hai.. Usual Smile
Logged
punam
Guest
«Reply #22 on: February 25, 2008, 11:58:38 AM »
Reply with quote
sab ne bahot acha likha..
Logged
punam
Guest
«Reply #23 on: February 25, 2008, 11:59:36 AM »
Reply with quote
baithi thi likhne kuch ek dost k tareef me
jab likhne kalam uthayi
jo dil ne kaha wahi meri kalam hi likh payi...

ruthta nahi wo yun muskurata rehta hai
bas woh mera har ek gham apne palkon par rakh kar
mujhe kuch bhi nahi kehta hai...

mere khushi ke liye woh chupkar mera hisse ka
har ek gham khud sehta hai
mere saare gham apne samaj kar apne aap ko
jalate rehta hai...

mujhe apne se zyaada chahne wala
dosti ka rista kya khoob nibhata hai..
jo bhi likhun jeetna bhi likhun
kam pad hi jaata hai...

koi sabd hi nahi mil rahe kya likhun main
roj badal jaati hai zindagi...
yuh samaj lo ab hamesha muskurati hai zindagi....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #24 on: February 25, 2008, 12:03:05 PM »

Wah wah wah...bahut khoob punam...bahut acha
likha hai..khaas kar yeh line bahut achi thi...

"woh mera har ek gham apne palkon par rakh kar
mujhe kuch bhi naa kehta hai"

bahut ache punam...
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: February 26, 2008, 05:17:49 PM »
Reply with quote
baithi thi likhne kuch ek dost k tareef me
jab likhne kalam uthayi
jo dil ne kaha wahi meri kalam hi likh payi...

ruthta nahi wo yun muskurata rehta hai
bas woh mera har ek gham apne palkon par rakh kar
mujhe kuch bhi nahi kehta hai...

mere khushi ke liye woh chupkar mera hisse ka
har ek gham khud sehta hai
mere saare gham apne samaj kar apne aap ko
jalate rehta hai...

mujhe apne se zyaada chahne wala
dosti ka rista kya khoob nibhata hai..
jo bhi likhun jeetna bhi likhun
kam pad hi jaata hai...

koi sabd hi nahi mil rahe kya likhun main
roj badal jaati hai zindagi...
yuh samaj lo ab hamesha muskurati hai zindagi....

Bahut khoob punam...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #26 on: March 03, 2008, 07:35:39 PM »
Reply with quote
Ek umar thi jab saath khela karte the
Phir ek umar aayi jab aankhon mein sapne liye chala karte the

Aaj Ek raah par kadam ladkadaye
aas paas to koi nahi tha,Dekha peeche mud kar to,
eh Dost Tu bhi na nazar aaye...

Zindagi mein Kabhi-Kabhi kuch baaton se pareshaan ho jate the
phir milkar ek dusre ko samjhaate the...
aaj bhi woh pal yaadein ban kar dil mein reh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi ghar par choti-choti baaton se ladkar tere paas aa jaata tha
tere ghar ki darwaaze ke paas jo seedhiya thi wahi baith jaata tha,
wahi baithkar tujhe dil ki har baat keh jaata tha,
har baat pe tera woh kehna ke...
"Apne aap ko inta senti kyon kar leta hai,
Badon ki baaton ko itna dil pe kyon le leta hai"
DOST, aaj bhi woh baat shayad choti hi hoti hai
par koi samjhaane wala nahi,isliye yeh aankhein roti hai..

aaj bi jab takhta hoon uss jageh ko to,
aaj bi apni parchai mujhe waha dikhti hai
par tujhe jab dhoondta hoon to tasveer dhoondli si kyon lagti hai...
ab apni khamoshi bhi kuch keh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi pocket-money milti thi to bade bade sapne dekha karte the
dus din bhi nahi guzre ke jeb apni khaali kar diya karte the
sirf Bike mein Petrol ke paise bachakar saath phir liya karte the
jab bhi kahin jaana ho to apne purse ek dusre se chupa liya karte the

aaj dekh zindagi ka manzar kuch aur kehta hai
aankhein wahi hai ,aankhon mein sapne wahi hai
par tabdilli zindagi ki tasveer badal deta hai...

kuch pal ko yaad kar yeh aankh aaj bhi muskuraati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

yaad hai mujhe , jab bichadte waqt tune kaha tha
"eh dost hamesha dua karna,kuch sapno ko mujhe hai haqeeqat mein badalna"
aaj bhi woh pal, woh ghadiya aankhon mein tehar jaati hai
EH Dost, teri bahut yaad aati hai...

kuch dost aise hote hai jinhe yaadein nahi bhool pati hai
woh dost anmol hote hai, jab dil se dosti ki jati hai..
aaj bhi dekhta hoon dosto ko saath rehte hue
kabhi gale milte,kabhi ladte jhagadte hue
in doston ko saath dekh,aankhein meri bhar jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

aaj jab uss dost ne mujhe phone karke rote hue kaha
"yaar, zindagi bahut tez guzar jaati hai
kabhi-kabhi mehfil mein bhi tanhai nazar aati hai"
uski iss baat par ussi ke alfaaz usse dohraaye
"APNE AAP KO ITNA SENTI KYON KAR LETA HAI..."

MAIN HAIRAAN HOON,TU BHI AANKHON MEIN AANSU BHAR LETA HAI...

AAP SAB SE EK BAAT KEHTA HOON
SACHE DOST BANANA BAHUT MUSHKIL HAI
AUR NIBHANA USSE BHI MUSHKIL,
PAR, SACHE DOSTO KO BHOOL PANA SABSE MUSHKIL

aaj zubaan par mere woh baat phir aayi
EH DOST TERI BAHUT YAAD AAYI....
"

Really wonderful wordings... full of emotions.
Khwaish ji aap apne dil ki baat ko bahut accha bayan kiya hai.
Haan i agree with you... dost banana mushil
dosti nibana mushil... bahut khoob ... daad hazir hai

THANX A MILLION FOR APPRECIATING ROJA..AAP BHI KUCH LIKHTE TO ACHA LAGTA!!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #27 on: March 17, 2008, 02:31:29 PM »
Reply with quote
khwahish ji,
kammmaaaaal kar diya aapane to apane "business" ki masrufiyat me jinhe bhula baithe the aapane to bas ankhon se aansu hi nakal diye yaar........
bike wali baat mere khayal se sab dodston me common hai........ ha  ha  ha.... very nice
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #28 on: March 17, 2008, 06:43:18 PM »
Reply with quote
khwahish ji,
kammmaaaaal kar diya aapane to apane "business" ki masrufiyat me jinhe bhula baithe the aapane to bas ankhon se aansu hi nakal diye yaar........
bike wali baat mere khayal se sab dodston me common hai........ ha  ha  ha.... very nice

BAHUT BAHUT SHUKRIYA BEKARARJI...KHUSHI HIU AAPKO YEH LIKHA PASAND AAYA... Usual Smile
KUCH PAL HI AISE HOTE HAI JINHE YAAD KAR AANKHON MEIN AANSU AA HI JAATE HAI..
THANX A LOT FOR APPREIATING..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #29 on: March 21, 2008, 01:56:09 PM »
Reply with quote
Nice One Khawsish Ji,.
Yunhi Likhaa Kariye,. Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:43:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer