For My Dear Friend Pooja.......

by khwaish on June 10, 2008, 07:14:14 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5013 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
I hope You Get Inspired By This Lines..and live your life with a smile on your face..now and forever...

Dua Hai Meri Rab se,
Kabhi Aapko Dard Ka Ehsaas Na de,
Jo Khwaab Kabhi Haqeeqat Ka Rang Na Le Sake,
Aankhon Mein Phir Aisa Koi Khwaab Na De...

Waqt Ke Mutaabik Insaan Ki Har Zaroorat Badal Jaati Hai,
Par Tere Haq Mein Na Ho jo,
Waqt Ka Faisla!!!
Khuda Kabhi Aise Sawaal Ka Tujhe Jawaab Na De....

Majbooriyon aur Pareshaaniyon Ki Zanjeer Mein,
Qaid Hai Har Shaks iss Jahan Ka,
Par Tere Mushkilo Mein Aisa Koi Pal Na Guzre,
Jab "KHWAISH" Tera Saath Na De....

Eh Dost, Har Mushkil Ka Saama Ho Sakta Hai Yakeenan,
Par Shart Yeh Hai Ki Nazar Sirf Manzil Par Hi Ho,
Manzil Ko hataa kar Eh Dost,
Inn Aankhon Mein Kabhi Aansuo Ko Panaah Na de....

Chalte Jaana Par Har Ek Kadam Phoonk Kar Rakhna "POOJA"
Teri Raahein Khud Humsafar Ban Jaayegi,
Bas, khuda tujhe kabhi gham ki dhoop aur
Ashko Ki Barsaat Na De....

Kuch Jazbaat Aise Hote Hai Jo Dil Hi Dil Mein Hai Reh Jaate,
Jinhe Hum Alfaaso Mein Nahi Hai Keh Paate,
Yeh Jazbaat Aag bankar Dil Ko hai jaalate,
Yehi Guzaarish hai,Aisa Aag Ko Kabhi,
 Hawa Na de....

"KHWAISH" To Musaafir Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Bichad Bhi Jaaye To Kya Hua???
Par Yaad Rakhna Eh Dost,
Aisa Koi Saans Nahi jisme,
"KHWAISH" Teri Salaamati ki Dua Na De....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2008, 07:37:45 PM »
Reply with quote
kafi der se apki kavita pard rahi hu khwaish ji, samjh hi nahi aa raha hai ki kaya likhu... char saal main yah doosri baar kisi ne mere liye kuch yaha yoindia per likha.. pahli baar sirf kavita thi, per wo mujh per nahi thi.. per mujhko dedicate kar ke likhi gai thi.. magar yah apne mere liye kavita likhi hai..Heraan bhi aor khush bhi!!

dil se apki bhawnao ke liye shukaria!!

Zindagi hai, yakin karo chalti hi jayegi
kabhi barsi jo badli, kabhi yah mukurayegi
kabhi banegi damini, kabhi ulajh jayegi
na maani haar, na manu haar,
gir gir kar bhi Pooja, sambhalti he jayegi!!



Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2008, 07:47:54 PM »
Reply with quote
Yoindia ne kai saalo se bahoot sath nibhaya hai
Veer ji aor app jaise dosto ne, khoob sath nibhaya hai
Yoindia kar ke on, soi hu kitani raatein main
na samjh sake shayad koi, kaise meri tanhaai main app sabne sath nibhaya hai

jab dar jaati thi raaton main, Yoindia per atti thi
koi bhi ho online, bas usko he sathi paati thi
Likhati hu apne ansoo, jakhmo ko piroti hu
is Yoindia per her apna khwab sanjoti hu

hu kahan tanha, app sab pariwar ho mera
dil se dua meri, her ek sapna sakaar ho tera
Mere liye likha, naino main ansooo bhar ayye
koi sochein mere liye itna, shayd kuch ache karm samne ayye!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 10, 2008, 08:06:47 PM »
Reply with quote
woh likh jaata hoon jo dil mein hota hai
khushiyon ke pal mein to duniya mein,
sab khush hote hai!!
dost to woh hai jo
 gham mein bhi saath hota hai...


eh dost, khud ki ehmiyat aap khud kya samjhoge,
humne bhi dekhi hai duniya "pooja"
kaun kiske liye yahan rota hai....

yeh yoindia ki mehfil hi kuch aisi hai,
jahan par koi ajnabi apna sa ban jaata hai
chaahe koi kitna bhi door ho,
par Dost To woh Hai jo Dil Mein Basa hota hai...





Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2008, 08:46:03 PM »
Reply with quote
Bohot khoob... dosti ke ayse jazbaat dekh kar dil bhar aaya, khush naseeb he wo jise sachcha dost mile, shayad ye thread sirf pooja ji ke liye hen, magar padh kar raha nahi gaya, is liye chand alfaaz likh diye, gustakhi ho to maaaaafiiiiii.

++++++++++
------------------------------------
++++++++++
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2008, 09:05:18 PM »
Reply with quote
SUCH KAHU TO KUCH BHI SAMJH NAHI AA RAHA HAI.. PAHLE HE EMOTIONAL HO KAR BAHOOT KUCH LIKH GAI HU MAIN!!

Yah post sabhi dosto ke liye hai.. app sidhe sidhe bhi likh de. Kyun ki agar mujhe koi Ishara diya gaya hai to mai samjhne walo main se nahi hu tongue3
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2008, 09:47:06 PM »
Reply with quote
Ha..Ha..ha.. ishara khwaish ji ki janib tha, or uska maqsad yahi ke is doston ki jazbaati mehfil me hame bhi jaga mile..... khwaish ji se baat cheet ka moqa kam mila he is liye zyada ta'arruf nahi ho paya.  hello
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 11, 2008, 03:09:00 PM »
Reply with quote
khwaish ji ajkal kaafi busy chal rahehai to kam hi atte hai Yo per.. magar jaise maine pahle kaha.. her ek dost yaha akar likh sakta hai!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: June 11, 2008, 03:23:08 PM »
Reply with quote
bahut pyara kavita likha hai aapne Khwaish jee Pooja di per  Applause
aur pooja didi ne bhi bahut hi accha jawab diya hai.

very good going Sayyid jee
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: June 11, 2008, 03:45:57 PM »
Reply with quote
Khwaish bro,

Aaj tumne Pooja ke liye jo likha, woh main shayad kabhi shabdon mein na keh paoon
Magar jazbaat wahi hain jo tumne izhaar kiye
Pooja ko main 2005 se jaanta hoon aur aaj takk woh rishta bana hua hai
Kabhi bhi humare rishte mein koyi utar chadhav nahi aaya hai

Meri bhi yahi dua hai ki
Ishwar isko kabhi koyi dukh na de
Yeh sukhi rahe aur sada khush rahe


Aameen !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2008, 04:24:34 PM »
Reply with quote
khwaish ji na jaane kitani baar apki yah poem pard chuki hu... yah lines bahoot bahoot bahoot achi lagi apki:

I hope You Get Inspired By This Lines..and live your life with a smile on your face..now and forever...


Par Tere Mushkilo Mein Aisa Koi Pal Na Guzre,
Jab "KHWAISH" Tera Saath Na De....

Manzil Ko hataa kar Eh Dost,
Inn Aankhon Mein Kabhi Aansuo Ko Panaah Na de....

Chalte Jaana Par Har Ek Kadam Phoonk Kar Rakhna "POOJA"
Teri Raahein Khud Humsafar Ban Jaayegi,
Bas, khuda tujhe kabhi gham ki dhoop aur
Ashko Ki Barsaat Na De....

"KHWAISH" To Musaafir Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Bichad Bhi Jaaye To Kya Hua???
Par Yaad Rakhna Eh Dost,
Aisa Koi Saans Nahi jisme,
"KHWAISH" Teri Salaamati ki Dua Na De....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 11, 2008, 04:28:01 PM »
Reply with quote
Khwaish bro,

Aaj tumne Pooja ke liye jo likha, woh main shayad kabhi shabdon mein na keh paoon
Magar jazbaat wahi hain jo tumne izhaar kiye
Pooja ko main 2005 se jaanta hoon aur aaj takk woh rishta bana hua hai
Kabhi bhi humare rishte mein koyi utar chadhav nahi aaya hai

Meri bhi yahi dua hai ki
Ishwar isko kabhi koyi dukh na de
Yeh sukhi rahe aur sada khush rahe


Aameen !

Thanks Veer ji!!! App jaise koi ho hi nahi sakta!! Yoindia ka sath kaya hai... App ka sath, baki sab ka sath he to yo ka sath hai!! Apse bahoot sikhna hai abhi! hamesha aise he rahna!!

Dil se dua hai ki her ek ko bhagwaan hamesha khush rakhein... aor kabhi gum ki koi parchai aaye bhi to app jaisa bhai jaroor de!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 11, 2008, 04:41:53 PM »
Reply with quote
kafi der se apki kavita pard rahi hu khwaish ji, samjh hi nahi aa raha hai ki kaya likhu... char saal main yah doosri baar kisi ne mere liye kuch yaha yoindia per likha.. pahli baar sirf kavita thi, per wo mujh per nahi thi.. per mujhko dedicate kar ke likhi gai thi.. magar yah apne mere liye kavita likhi hai..Heraan bhi aor khush bhi!!

dil se apki bhawnao ke liye shukaria!!

Zindagi hai, yakin karo chalti hi jayegi
kabhi barsi jo badli, kabhi yah mukurayegi
kabhi banegi damini, kabhi ulajh jayegi
na maani haar, na manu haar,
gir gir kar bhi Pooja, sambhalti he jayegi!!





poojaji, hum to bas yehi chaahenge ki aap hamesa khush raho,chaahe kuch bhi halaat ho,aap har mushkil raahon se muskrate hue guzar jaao..aapki upar likhi hui kuch lines se kisi ka ek sher yaad aaya hai..

Sitaaro mein chand tanha jagmaata hai,
Insaan akela hokar bhi manzil ko paata hai,
Gham ke kaanto se kabhi na gabrana,
Gulab to kaanto ke beech mein
 reh kar bhi muskurata hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 11, 2008, 04:46:19 PM »
Reply with quote
Yoindia ne kai saalo se bahoot sath nibhaya hai
Veer ji aor app jaise dosto ne, khoob sath nibhaya hai
Yoindia kar ke on, soi hu kitani raatein main
na samjh sake shayad koi, kaise meri tanhaai main app sabne sath nibhaya hai

jab dar jaati thi raaton main, Yoindia per atti thi
koi bhi ho online, bas usko he sathi paati thi
Likhati hu apne ansoo, jakhmo ko piroti hu
is Yoindia per her apna khwab sanjoti hu

hu kahan tanha, app sab pariwar ho mera
dil se dua meri, her ek sapna sakaar ho tera
Mere liye likha, naino main ansooo bhar ayye
koi sochein mere liye itna, shayd kuch ache karm samne ayye!!

dil se likhe gaye lines hai yeh..bahut bahut shukriya aapka..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: June 11, 2008, 05:09:26 PM »
Reply with quote
Khwaish ji bohat hi gehera kavita likha hai aapne Clapping Smiley

Pooja sis ke liye very nice lines ..
Pooja sis jaise achi dost milna hum khush naseeb hai
waise meri duwaen hai aapke saath pooja sis aap
hamesha khush rahe...Usual Smile

Bohat khoob kaha hai Rajbir ji  ..Usual Smile


Sayyid ji bohat achi dost pe likha hai aapne..Usual Smile

Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:08:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer