Hume Dosti Nibhani na aai!!!

by Pooja on July 11, 2008, 08:45:51 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 8135 times)
punam
Guest
«Reply #45 on: July 18, 2008, 05:47:35 PM »
Reply with quote
Jab se yeh thread Pooja di start ki tab se padh toh rahi hun...
par yehan kuch kehne sahas joota nahi payi...
kyun k Pooja di..Atiq bhaiya (sayyid Randeri)..syed ji...
jaise shayaron ko wah wah karne ki kabil main nahi hun...
sab ko tahe dil se salam karti hun...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hume by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
hume bawefa by aryan_mantri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
WAFAA NIBHANI NA AYEE by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #46 on: July 18, 2008, 08:17:55 PM »
Reply with quote
Apne Andar Ki Khusboo se hi kaam le,
Man Mein Khilte hue Phool Ka hi naam le...

hamesha sirf Apno ko liye hi apna haath na badha,
Kabhi Gairo ka Bhi haath thaam le...

Dushman Bhi dost ban jaayenge "khwaish"
Sab KI Suun, har ek se mohabbat ka paigaam le...

Tujhe Rote Dekh kar, Dusra Bhi Ro Padhe,
Har ek se itna pyaar aur samaan le...

Kabh Tak Insaan Chalte rahega yuhi
Dil mein Gile aur shikwe liye...
Mita de har uss sawaal ko jo
tere apno se tujhe door karta hai,

Kat chuki hai bahut si zindagi apni,
Inn Betuki Baaton mein "Khwaish"
Ab to Vishraam le....

Apne Andar ke Khusboo se hi kaam le,
Man mein khilte hue phool ka hi naam le....




Logged
Pooja
Guest
«Reply #47 on: July 18, 2008, 08:19:31 PM »
Reply with quote
Jab se yeh thread Pooja di start ki tab se padh toh rahi hun...
par yehan kuch kehne sahas joota nahi payi...
kyun k Pooja di..Atiq bhaiya (sayyid Randeri)..syed ji...
jaise shayaron ko wah wah karne ki kabil main nahi hun...
sab ko tahe dil se salam karti hun...



tahe dil se shukaria. Punam mai apki kavitaye takriban roj he oadti hu... app bahoot acha likhti hai.. yaha bhi likhegi to mujhko dil se khushi hogi!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: July 18, 2008, 08:22:34 PM »
Reply with quote
Apne Andar Ki Khusboo se hi kaam le,
Man Mein Khilte hue Phool Ka hi naam le...

hamesha sirf Apno ko liye hi apna haath na badha,
Kabhi Gairo ka Bhi haath thaam le...

Dushman Bhi dost ban jaayenge "khwaish"
Sab KI Suun, har ek se mohabbat ka paigaam le...

Tujhe Rote Dekh kar, Dusra Bhi Ro Padhe,
Har ek se itna pyaar aur samaan le...

Kabh Tak Insaan Chalte rahega yuhi
Dil mein Gile aur shikwe liye...
Mita de har uss sawaal ko jo
tere apno se tujhe door karta hai,

Kat chuki hai bahut si zindagi apni,
Inn Betuki Baaton mein "Khwaish"
Ab to Vishraam le....

Apne Andar ke Khusboo se hi kaam le,
Man mein khilte hue phool ka hi naam le....



 Applause Applause Applause

bahoot khoob khwaish ji... bahoot intzaar karwaya apne.. bahoot acha laga apki is kavita ko pard kar!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: July 18, 2008, 08:26:21 PM »
Reply with quote

Kabh Tak Insaan Chalte rahega yuhi
Dil mein Gile aur shikwe liye...
Mita de har uss sawaal ko jo
tere apno se tujhe door karta hai,



Kab Tak Insaan Chalte Rahega Yunhi...Dil main Gile aur Shikwe Liye...Waaah Bohot Khoob..behtareen peshkash Khwaish  Clapping Smiley
Logged
syednaami
Guest
«Reply #50 on: July 18, 2008, 08:32:47 PM »
Reply with quote
Ek dost hai hamara,,
Par woh kahta nahin kuchh,,
Baat nahin koi bhi,,
Par rahta kyun hai chup..

Poochhne ko to poochh len,,
Kyun mere liye nahin alfaaz,,
Ya buri lagi unko koi baat,,
Jaante nahin hain hum asbaab..

Milte bhi roz hain,,
Par karke nazar andaaz,,
Kahte nahin hain dono,,
Kyun hum khafa hain yaar..

Hum to thhahre naasamajh,,
Par woh to hain ustaad,,
Shaagird ko daantenge to,,
Sudhar jaayengi hamari harkaat..


|Syed Naami|

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #51 on: July 19, 2008, 04:00:18 AM »
Reply with quote
muhammed saab bahut afsos ke saath yeh Baat kehni padh rahi hai ki aapne iss khoobsurat thread ko apni soch Ke Zariye kahan se kahan le gaye..

poojaji, syednaami saab, randeri saab ne bahut khoob kaha..aur hum sab ne milkar iss baat ki tareef ki par jo aap yeh likh rahe ho,yeh sab kya hai???

agar celmira ne yeh kaha ki yahan par aur bhi ache shayar hai to KYA GALAT KAHAN???

aapne jo yeh lambi explanation di,iss mein kahin bhi iss baat ko related koi jawab naa tha..aapne yeh baat ko kuch aur hi rang de diya..

umeed karta hoon ki aap yeh baat samjhe!!!

celmira  aapki jo baaton ko highlight kar muhammed saab ne jo yeh likha hai,
sirf aapko itna keh sakta hoon



"GHALIB" BURA NA MAAN VAAYAZ BURA KAHEIN

AISA BHI KOI HAI JO SIRF ACHA KAHE.......

                       MIRZA GHALIB


Maaf Kigiyega...Main aap sub Log Jitna To Shayari Main Perfect Nahi Hoon..Jo Bhi Maine Kaha.." Wo Meri Imaani Soch " Thi.
Shayad Tabhi To Sabse Alag Thi.
Main Celmira Ji Se Maafi Mangta Hun..Shayad Unhe Bura Laga Hoga.
Main Jald Hi Meri Reply Waapis Le Leta Hun.
Aur Aapka Ye Khubsoorat Thread Tha..Aur Rahegaa Bhi..INsha allah
Logged
syednaami
Guest
«Reply #52 on: July 19, 2008, 01:33:06 PM »
Reply with quote
Raza bhai,,,
SubhanAllah,,, aapka yeh qadam buhat achha laga... Mazeed guftagoo ke liye rujoo karenge...
Dua keejiye...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #53 on: July 23, 2008, 12:07:09 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

bahoot khoob khwaish ji... bahoot intzaar karwaya apne.. bahoot acha laga apki is kavita ko pard kar!!

Teh dil se shukriya aapka pooja..aapko humare poetry ka intezar tha, yeh jaankar behad khushi hui.. shukriya..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #54 on: July 23, 2008, 12:10:53 PM »
Reply with quote
Kab Tak Insaan Chalte Rahega Yunhi...Dil main Gile aur Shikwe Liye...Waaah Bohot Khoob..behtareen peshkash Khwaish  Clapping Smiley

Bahut Bahut Shukriya Celmira Aapka...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: July 25, 2008, 05:32:26 PM »
Reply with quote
Ek dost hai hamara,,
Par woh kahta nahin kuchh,,
Baat nahin koi bhi,,
Par rahta kyun hai chup..

Poochhne ko to poochh len,,
Kyun mere liye nahin alfaaz,,
Ya buri lagi unko koi baat,,
Jaante nahin hain hum asbaab..

Milte bhi roz hain,,
Par karke nazar andaaz,,
Kahte nahin hain dono,,
Kyun hum khafa hain yaar..

Hum to thhahre naasamajh,,
Par woh to hain ustaad,,
Shaagird ko daantenge to,,
Sudhar jaayengi hamari harkaat..


|Syed Naami|



BAHOOT KHOOB SAMI!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #56 on: July 26, 2008, 03:20:02 PM »
Reply with quote
Pooja jee aap ne pasand kya buhat achha laga...
Shukriya...
Logged
Roja
Guest
«Reply #57 on: July 26, 2008, 05:41:28 PM »
Reply with quote
Shayad "Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)" main yah mera pahla thread hoga, na kabhi koi mera dost bana, na he shayd maine kabhi kisi ko apna dost banaya!! Yahi wajah lagti hai ki maine is section main shayd he kabhi kuch likha ho!!

Magar ajj aise he kisi baat per man mai kuch lines aa gai, pahle socha Misc. mai likh du.. magar dosti per hai to yahi likh rahi hu.

Na jaane kaise chali yah purwaai
Hume dosti nibhani na aai

Bigade hue the kal tak sabhi dosto ke pyar se
Barso phir ek lambi tanha zindagi beetai

Loute hai to bhool gaye her ek rishte ko
Ajnabipan ki bhawna, her taraf maine paai

Chah kar bhi na jhooth hum kabhi kah sake
Na puch suchai per rah kar, kaise hai zindagi beetai

Such aor jhooth ke dorahein main itna he kaha ki na puch kuch
Bas itani si baat per, dost ne apne dil ko hai thokar lagaai

Badi himmat se kholi thi ek choti se khirki khushio ki taraf
Lo humne phir se band kar, ander se chitkani lagai

Na jaane kaise chali yah purwaai
Hume dosti nibhani na aai…….


Wah wah bahut khoob Pooja didi Applause  Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #58 on: July 26, 2008, 05:44:10 PM »
Reply with quote
Chalti hai hava par rukti nahin kabhi,,
Yeh dosti hava hai jo toot-ti nahin kabhi,,

Doston ne jab hamen itni muhabbat di,,
Bhool gaye hum ki hain hum bhi ajnabi..

Hum bar bar aaye bin manaaye yahan par,,
Yahi baat man men thi shayad ghalti hai apni..

Kuchh raaz hain agar, par ki thi dosti,,
Phir dosti men kya sachi aur kya jhooti..

Dekho zara haqeeqat aur daana bano tum,,
Thhukrao nahin dosti ko yun Dahleez se apni..

Jab khol diye saare dosti ke darvaaze,,
Ab unko band karne ki karna nahin ghalti..

Milte hain dost aap jaise khush naseebon ko,,
Aap se hai dosti hamari badi khatti meethhi si..



|Syed Naami|

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Aap ke is andaaz-e-bayaan ko dekh buhat dil bhar aaya aur kuchh kahne ki himmat jutaai,,, bas aap qabool farmaaiye...


Very good Syid ji.. Daad hazir hai kabul farmayiyega
Logged
Roja
Guest
«Reply #59 on: July 26, 2008, 05:46:37 PM »
Reply with quote
Apne Andar Ki Khusboo se hi kaam le,
Man Mein Khilte hue Phool Ka hi naam le...

hamesha sirf Apno ko liye hi apna haath na badha,
Kabhi Gairo ka Bhi haath thaam le...

Dushman Bhi dost ban jaayenge "khwaish"
Sab KI Suun, har ek se mohabbat ka paigaam le...

Tujhe Rote Dekh kar, Dusra Bhi Ro Padhe,
Har ek se itna pyaar aur samaan le...

Kabh Tak Insaan Chalte rahega yuhi
Dil mein Gile aur shikwe liye...
Mita de har uss sawaal ko jo
tere apno se tujhe door karta hai,

Kat chuki hai bahut si zindagi apni,
Inn Betuki Baaton mein "Khwaish"
Ab to Vishraam le....

Apne Andar ke Khusboo se hi kaam le,
Man mein khilte hue phool ka hi naam le....



Khwaish ji bahut dino ke baad bahut accha laga aapko padkar.
bahut accha likha hai aapne .. esp.. the following lines really very good to read.

Tujhe Rote Dekh kar, Dusra Bhi Ro Padhe,
Har ek se itna pyaar aur samaan le...

Kabh Tak Insaan Chalte rahega yuhi
Dil mein Gile aur shikwe liye...
Mita de har uss sawaal ko jo
tere apno se tujhe door karta hai,


 Applause  Applause Keep up. Thumbs UP
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:51:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer