mkv
Guest
|
Mai ek nanha sa panchee Abhi abhi udna seekha hai Meri bhi chahat hai Door aasmaan me udne kee Mera pyara dost Jisne mujhe udna sikhaaya Na jaane kyo mujhse naaraj hai? Kab tak karoon mai uska intijaar Har samay khayaal tha usko mera Mujhe to rishto ki samajh bhi nahi hai Kya koi yu’n roothta hai? Mujhe hi kuch karna hoga Dhoond kar maafi mangni hogi Lekin aasman me kitna khatra hai? Kahi mujhe kuch ho gaya to? Maa se poochun kya jaane se pahle? Nahi . vo mujhe jaane nahi degi. Chupchaap jaana hoga. Chee..mai nahi darta..kal subah niklunga mai.. Neend bhi nahi aa rahi hai.. Suraj nikal aaya hai..accha maa..mujhe maaf karna? Neeche ..vo kahi nahi dikh raha hai Kitni der ho gayee...uska kuch pata nahi Thak gaya hu mai..pukar pukar kar Mai vapas nahi lautunga.. Koi aa raha hai meri taraf..teji se neeche.. Kya karun? Usne mujhe pakad liya hai… Ashaay hu mai dost..dekho mere antim Aansu mai saccha tha dost..kaash tum na roothtey…..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
khujli
Guest
|
|
«Reply #1 on: February 27, 2012, 12:53:14 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #2 on: February 27, 2012, 01:52:19 PM » |
|
aapkee ye lines dil ko chhoo gayee mukesh ji aur kuchh kahte naheen ban rahaa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #3 on: February 28, 2012, 12:34:55 AM » |
|
Bahut hi dil ko chune wale jazbaat Mukesh ji mubarak ho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #4 on: February 28, 2012, 06:00:34 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #5 on: February 28, 2012, 05:55:02 PM » |
|
aapkee ye lines dil ko chhoo gayee mukesh ji aur kuchh kahte naheen ban rahaa
Thanks sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
poppoetry
Guest
|
|
«Reply #6 on: February 28, 2012, 06:06:21 PM » |
|
ohhhhhhhhhhhhh.......rongte khare ho gaye ye poem parrte parrte...kya kahu...... hav no words..... ......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #7 on: February 28, 2012, 06:16:53 PM » |
|
Thanks Nikhaar Ji Aapne ise padha. thoda leek se hatkar tha.
dosto ka dil kabhi na dukhaye aur unhe maaf karna seekhe hum. bas isi khayaal ko lekar maine ye likha tha.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #8 on: February 29, 2012, 01:34:27 PM » |
|
Bahut hi dil ko chune wale jazbaat Mukesh ji mubarak ho
Shukriya Pankaj ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
N@@R
Guest
|
|
«Reply #9 on: February 29, 2012, 01:53:42 PM » |
|
Waaaaaaaaaah Bahut hi gajab ki peshkash mkv ji . . Vaise koi sch me rooth gya hai kya?
|
|
|
Logged
|
|
|
|
usha rajesh
Guest
|
|
«Reply #10 on: February 29, 2012, 02:12:17 PM » |
|
Bahut marmsparshi abhivyakti hai, mkv ji. I don't know howto express. Bas mein bhagwaan se yahi prarthana karti hoon ke aapka rootha hua wo pyara sa dost apki bhawnaaon aur dard ko samjhe aur jaldi man jaaye. Phir akela nahin dono panchi neele aasmaan mein oonchi udaan bharein.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #11 on: February 29, 2012, 05:14:18 PM » |
|
Waaaaaaaaaah Bahut hi gajab ki peshkash mkv ji . . Vaise koi sch me rooth gya hai kya?
hauslaafjaai ke liye shukriya. HA
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #12 on: March 01, 2012, 01:22:47 PM » |
|
Bahut marmsparshi abhivyakti hai, mkv ji. I don't know howto express. Bas mein bhagwaan se yahi prarthana karti hoon ke aapka rootha hua wo pyara sa dost apki bhawnaaon aur dard ko samjhe aur jaldi man jaaye. Phir akela nahin dono panchi neele aasmaan mein oonchi udaan bharein.
Vaah Vaah Usha ji aapki duayen kaamyaab ho hum yahi chahte hai. phir dono panchi.. bahut sukhad anubhav hoga..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #13 on: March 01, 2012, 02:09:27 PM » |
|
Kya baat hai MkV ji bahoot Bahoot Khoob Likha hai .. !!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dead heart
Guest
|
|
«Reply #14 on: March 01, 2012, 02:24:41 PM » |
|
Freestyle likhna ek aisi ada hai, jo bahaut kam logon kay paas hoti hai dost.. Main kitni koshish karta hoon aisa kuch likhne ki mager nahin hota.. Bahaut bahaut accha likha hai apne.. Akhri line, badi achi lagi mujhe..'Main sacha tha..' Apke saath, meri dua rahegi.. Khush rahiye..!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|