Kau apna hai ye waqt bata jata hai

by sahil ahmed on September 08, 2012, 09:52:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1176 times)
sahil ahmed
Guest
Reply with quote
Har lamha zindagi ko kuch sikha jata hai,
kaun apna hai ye waqt bata jata hai.

kiske dum par ki thi toofano se ladne ki himmat,
ek hawa ka jhoka bhi chiraag bujha jata hai.

wo sath reh kar to hamesha begaane hi rahe,
unka bewajah jana bhi dard badha jata hai.

kaun kehta hai dushmani kafi hai tabaahi ke liye,
ab to dost hi seene me khanjar ghusa jata hai.

kabhi behte the aansu har thokar ke baad,
ladkhadana bhi aaj chalna sikha jata hai.

nazar neechi, zuban band aur nigah khamosh hai,
ye zakhm seh kar bhi har raaz chupa jata hai,
Kaun apna hai ye waqt bata jata hai..Kaun apna hai ye waqt bata jata hai..!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt marhm ban jata hai... by munshi_ki_yaadein in Shayri-E-Dard
~*~ Waqt lag jata bahaut hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
WAQT GUZAR JATA HAI by BANSI DHAMEJA in Share:Love Poetry
KOI BATA DE MOHABBAT KE BINA AB JIYA NAHI JATA H by Asif samani jaunpuri in Shayri-E-Dard
Waqt ne Zindgi ko kai hiso me aise BaTa...... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: September 08, 2012, 10:07:32 AM »
Reply with quote
Har lamha zindagi ko kuch sikha jata hai,
kaun apna hai ye waqt bata jata hai.

kiske dum par ki thi toofano se ladne ki himmat,
ek hawa ka jhoka bhi chiraag bujha jata hai.

wo sath reh kar to hamesha begaane hi rahe,
unka bewajah jana bhi dard badha jata hai.

kaun kehta hai dushmani kafi hai tabaahi ke liye,
ab to dost hi seene me khanjar ghusa jata hai.

kabhi behte the aansu har thokar ke baad,
ladkhadana bhi aaj chalna sikha jata hai.

nazar neechi, zuban band aur nigah khamosh hai,
ye zakhm seh kar bhi har raaz chupa jata hai,
Kaun apna hai ye waqt bata jata hai..Kaun apna hai ye waqt bata jata hai..!!

naaaaaaaaaaaaaice Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: September 08, 2012, 10:46:24 AM »
Reply with quote
Sahil Sahaab Aadaab!

Behad khoob janab... badi hi khoob kalaam kahi hai..
Aik se badhkar aik khayaal aur umdaa ashaar rahe... Usual Smile

Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad kabul
kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 08, 2012, 12:20:15 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 08, 2012, 01:35:50 PM »
Reply with quote
wah bahut badhiya
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: September 08, 2012, 04:29:08 PM »
Reply with quote
Badhiya hai janaab..likhte rahiye.
dam hai aapme.
Logged
suman59
Guest
«Reply #6 on: September 09, 2012, 12:13:59 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
isha(mn)
Guest
«Reply #7 on: November 15, 2012, 11:04:14 AM »
Reply with quote
so true......
Logged
Saraab
Guest
«Reply #8 on: December 22, 2012, 05:48:58 PM »
Reply with quote
Bahot sundar creation hai Sahil Ahmed ji. Padhkar bahot acha laga.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:07:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer