Khaamosh hoon: deytey unhain kaandhoun pai bidaayee!!

by abdbundeli on September 12, 2008, 02:02:18 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1194 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Woh dost hain: kartey they roz rasm adaayee!
Suntaa thaa yahee roz, "Kaho, theek ho bhaayee?"
Meyraa jawaab bhi yahee hotaa thaa, "Theek hoon!"
Khaamosh hoon: deytey unhain kaandhoun pai bidaayee!!
                                               Crying
                                - abd bundeli
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad, to, meyree unhain bhi kabhi aatee hogee! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Hamaaraa muskuraanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Aashiq kaandhoun par chalaa by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
A'adatan ham ney sanwaaraa hai unhain! by abdbundeli in Ghazals « 1 2 3 4 »
Ham manaayengey unhain, baararhaa manaayengey! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 09, 2008, 01:47:12 PM »
Reply with quote
KYA BAAT KEHDI ABD TUMHE ANDAZA NAHI HAIN
BHARI HUE KANDHE MERE AUR KOI JANAZA BHI NAHI HAIN
   
                                  -SG-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 09, 2008, 01:52:27 PM »
Reply with quote
Woh dost hain: kartey they roz rasm adaayee!
Suntaa thaa yahee roz, "Kaho, theek ho bhaayee?"
Meyraa jawaab bhi yahee hotaa thaa, "Theek hoon!"
Khaamosh hoon: deytey unhain kaandhoun pai bidaayee!! Crying
                                - abd bundeli 


 

Humen bhi doston mein shamil kar dena sad5
Mere koi nahi bus doston se mera paigam dena
Aapse dosti ka rishta lagta hai humen kareeb
Dil se na udaas hona dost hum hai aapke kareeb
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2009, 09:59:08 AM »
Reply with quote
KYA BAAT KEHDI ABD TUMHE ANDAZA NAHI HAIN
BHARI HUE KANDHE MERE AUR KOI JANAZA BHI NAHI HAIN 
                                  -SG-
SG ji! Shukriyah!

Aansoo hain, aur kyaa hai jisey koyi dey sakey;
Baaqee kahaan hai kuchh bhi hamaarey bhi, aap key!
Yeh bhi bahut hai, log janaazey key saath hain;
Murdoun ko mayassar hain qafan un ki naap key!!

                            - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: April 26, 2009, 10:15:26 AM »
Reply with quote
 

Humen bhi doston mein shamil kar dena sad5
Mere koi nahi bus doston se mera paigam dena
Aapse dosti ka rishta lagta hai humen kareeb
Dil se na udaas hona dost hum hai aapke kareeb


Yeh qaraabat hi to laatee hai hamain pahloo mein;
Warnah yeh raah-e-zeest, sach hai, bahut mushkil hai!
Haath hon saath dostee key, to phir kyaa kahnaa;
Gam sabhee kam hain, kyoun ki, gamgusaar hai, dil hai!!
 
                         - abd bundeli


Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2009, 01:25:25 PM »
Reply with quote
Woh dost hain: kartey they roz rasm adaayee!
Suntaa thaa yahee roz, "Kaho, theek ho bhaayee?"
Meyraa jawaab bhi yahee hotaa thaa, "Theek hoon!"
Khaamosh hoon: deytey unhain kaandhoun pai bidaayee!!
                                               Crying
                                - abd bundeli
 


 Applause Applause Applause

Jo poochta hai koyi, surk kyu hai aaj aankhein?
Toh aankhein malke mai kehti hu, jo roj mehfil sajata tha
Aaj wo Eid ka chand sa hua?
Hazar sawalaat dil mein aata hai, magar keh na sakhungi
Her din aap mehfil mein aate rahe, yeh  khwaish, poora na ho saka.. sad5
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2009, 10:12:36 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Jo poochta hai koyi, surk kyu hai aaj aankhein?
Toh aankhein malke mai kehti hu, jo roj mehfil sajata tha
Aaj wo Eid ka chand sa hua?
Hazar sawalaat dil mein aata hai, magar keh na sakhungi
Her din aap mehfil mein aate rahe, yeh  khwaish, poora na ho saka.. sad5


Thanks a lot, Roja!

Yeh hijr-e-yaar chaar din kee baat hai, sanam!
Aayegee fir bahaar, saath hongey roz ham!
Kuchh dooriyaan bhee ain zarooree hain ishq mein;
Badhhteen hain roz chaahteyn; hoteen naheen hain kam!!

                              - abd bundeli
Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #7 on: November 19, 2009, 11:26:27 PM »
Reply with quote

Thanks a lot, Roja!

Yeh hijr-e-yaar chaar din kee baat hai, sanam!
Aayegee fir bahaar, saath hongey roz ham!
Kuchh dooriyaan bhee ain zarooree hain ishq mein;
Badhhteen hain roz chaahteyn; hoteen naheen hain kam!!

                              - abd bundeli


Buri hawawon ka saya ab jaane laga hai
Bhula hua naam "ABD" aane laga hai
Bhool gaya tha dil jo nagma-e-wafa
Usee saaj pe aaj dil gun-gunane laga hai

Hey dost, "Roja" mer sakti hai dosti ke naam pe
Dosti ka haat hum badate hai sab se
Milta nahi aasaan se saccha dost aur dosti
Hum ashq bahate reh jaate hai dost ke yaad mein

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: November 26, 2009, 10:15:42 AM »
Reply with quote
Buri hawawon ka saya ab jaane laga hai
Bhula hua naam "ABD" aane laga hai
Bhool gaya tha dil jo nagma-e-wafa
Usee saaj pe aaj dil gun-gunane laga hai

Hey dost, "Roja" mer sakti hai dosti ke naam pe
Dosti ka haat hum badate hai sab se
Milta nahi aasaan se saccha dost aur dosti
Hum ashq bahate reh jaate hai dost ke yaad mein



Lout aatey hain gaye dost usee mahfil mein!
Baat itanee hai, ki, baaqee ho kuchh jagah dil mein!
Baag beychain hai, maanaa; bahaar ayee hai:
Shaakh-e-gulbun hai to jaauungaa waheen par khil mein!!

                        - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:54:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer