MAIN JAB UHDAAS HOTA HOOHN [Asghr]

by Asghr on February 18, 2009, 07:32:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1849 times)
Asghr
Guest
Reply with quote
MAIN JAB B UHDAAS HOTA HOOHN WO MUJH KO HANSAA DAITA HAI
MERI JAAN HAI WO JO ISS MEHFIL MAIN MUJH KO DUA DAITA HAI
HAR JATA HOOHN GHUM-E-ZEEST KI TALKHIYON SE JAB
CUPKE SE AAH KAR WO MERA HOSLA BADAA DAITA HAI
AUR SABI DOSTOOHN SE MUNFARID HAI ANDAZ UHS KA
WO MERI GAZAL K JWAAB MAIN BAUT KUCH SUNA DAITA HAI
MAIN LAKH CHUPAHON UHS KI DOSTI ZAMANE SE
APNE ISHAAR KI ZUBANI WO YEH RAAZ BATAA DAITA HAI
ASGHR KHUSH NASEEB HAI JISE AISA PYARA DOST MILA
VARNA AAJ KA INSAAN DUKH K SIWA KYA DAITA HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
>>>>Main Deewana Na Hota <<<< by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
MOHABAT MAIN YEH HALAT HAI [Asghr] by Asghr in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
SHAYRI SUNAAYE JATA HOOHN[Asghr] by Asghr in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
DUNIYA MAIN KOI SWALI NA HO [Asghr] by Asghr in Miscellaneous Shayri
JEE RAAH HOOHN [Asghr] by Asghr in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 18, 2009, 09:20:59 PM »
Reply with quote
Waah Asghr Ji....aapne bohot hi khoobsurat ghazal likhi hai.....har lafz sheerin, zehan main ghulta hua sa....Bohot Khoob........ !! Applause Applause Applause

Kuch lines maine bhi likhne ki koshish ki hai....aakhiri sher aapki khoobsurat ghazal ko dedicate kiya hai !!

Ye dua hai yunhi muskurata rahe,
Wo hansta rahe, khilkhilata rahe

Kabhi ghum se us ka na ho waasta,
Wo khushion ke deepak jalata rahe

Uske pehlu main roshan rahe zindagi,
Ghar uska sada jagmagata rahe

Uska har khwaab pahunche taabeer ko
Khushnuma khwaab har pal sajata rahe

Bada dilkash andaaze-e-tahreer hai,
Wo lafzon ka jaadu chalata rahe
!!
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: February 18, 2009, 09:45:01 PM »

JADOO TAU AAP K ALFAZ MAIN HAI DUA HAI AAP ISSI TARAH LIKHTI REHAIN, MUJE APNI DUAAON MAIN YAAD RAKHNA.ASGHR
Logged
Asghr
Guest
«Reply #3 on: February 18, 2009, 09:51:09 PM »
Reply with quote
AAP KA SHUKRIYA ADA KARNE K LIYE ALFAZ NAHIN HAIN MAIN APNI GAZAL AAP KI NAZR KAR DAITA HOOHN.ASGHR
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 18, 2009, 10:39:43 PM »
Reply with quote
JADOO TAU AAP K ALFAZ MAIN HAI DUA HAI AAP ISSI TARAH LIKHTI REHAIN, MUJE APNI DUAAON MAIN YAAD RAKHNA.ASGHR

Shukriya Asghr Ji .....aap ki zarra-nawazi hai.....!!

AAP KA SHUKRIYA ADA KARNE K LIYE ALFAZ NAHIN HAIN MAIN APNI GAZAL AAP KI NAZR KAR DAITA HOOHN.ASGHR

Sach kahun to aapki ghazlon main kuch khaas hota hai jo likhne pe majboor kar deta hai.....Iss izzat afzaai ka bohot bohot shukriya Asghr Ji, bas aap yunhi likhte rahiyega...
Logged
pandit
Guest
«Reply #5 on: February 18, 2009, 10:46:08 PM »
Reply with quote
Waah Ashgr jee..
kyaa baat hai...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: February 18, 2009, 11:56:30 PM »
Reply with quote
Wah Wah!! Bahut Bahut Khoob Asghr Bhai..asaan Se Alfaazo mein Itni Khoobsurat Ghazal..Bahut Ache.. Applause Applause Applause
Bahut Bahut Khoob Talat..Hamesha Ki Tarah!! Applause Applause Applause

Ek Koshish Mere Taraf Se Bhi,

Main Jab Udaas Hota Hoon,Woh Mujhko Hasaa Deta Hai,
Phir Chupke Se Mere Gham Par
Apne AanKhon Ko Woh Rula Deta Hai...

Rishta Dosti Ka Koi Khoon Ka Rishta To Nahi,
Par Kya Kahoon,Meri Khushi Ke Liye,
Woh Apne Aap Ko Luta Deta Hai..

Apne Dard Ko Chupane Ke Liye,
Ek Jhooti Muskaan Chehre Par Saja Leta Hoon Main,
Aene Ki Tarah Hai Woh Dost,
Mera Chehra Dekh Kar Sab Pehchaan Leta Hai...

Khushiyon Mein to Duniya Ka har shaks Saath Deta hai,
Mushkilo Mein Bhi Woh Apne Aap ko Mujhse Juuda Leta Hai....

Umar Dosti Ki Kaayam Rahe Qayamat Tak,
Woh Har Pal,Har Lamha Khush Rahe,
"Khwaish" Dil se ussse Dua Deta Hai....

Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: February 19, 2009, 03:00:13 AM »

Bahut khoob Khwaish ji... padkar dil khush ho gaya..... Usual Smile
Logged
hina ki talsah
Guest
«Reply #8 on: February 19, 2009, 08:51:00 AM »
Reply with quote
HEY THANKS FOR REMINDIN ME YAAR
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 19, 2009, 12:42:14 PM »
Reply with quote
Wah Wah!! Bahut Bahut Khoob Asghr Bhai..asaan Se Alfaazo mein Itni Khoobsurat Ghazal..Bahut Ache.. Applause Applause Applause
Bahut Bahut Khoob Talat..Hamesha Ki Tarah!! Applause Applause Applause

Ek Koshish Mere Taraf Se Bhi,

Main Jab Udaas Hota Hoon,Woh Mujhko Hasaa Deta Hai,
Phir Chupke Se Mere Gham Par
Apne AanKhon Ko Woh Rula Deta Hai...

Rishta Dosti Ka Koi Khoon Ka Rishta To Nahi,
Par Kya Kahoon,Meri Khushi Ke Liye,
Woh Apne Aap Ko Luta Deta Hai..

Apne Dard Ko Chupane Ke Liye,
Ek Jhooti Muskaan Chehre Par Saja Leta Hoon Main,
Aene Ki Tarah Hai Woh Dost,
Mera Chehra Dekh Kar Sab Pehchaan Leta Hai...

Khushiyon Mein to Duniya Ka har shaks Saath Deta hai,
Mushkilo Mein Bhi Woh Apne Aap ko Mujhse Juuda Leta Hai....

Umar Dosti Ki Kaayam Rahe Qayamat Tak,
Woh Har Pal,Har Lamha Khush Rahe,
"Khwaish" Dil se ussse Dua Deta Hai....

Bohot bohot Shukriya Khwaish...aur aapne bhi kitna khoobsurat contribution diya hai is thread ko, dosti ke jazbe ko Bohot Khoob  Applause Applause Applause

Dosti ka ye jazba, yunhi rahe salamat,
Dost na ho juda, aa bhi jaaye jo qayamat

Uski hansi chehre se utarne na paaye kabhi,
Jisne dosti ko sada samjha hai bas ibaadat

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #10 on: February 19, 2009, 12:54:09 PM »
Reply with quote
Waah waah Kya Dhoom Machaaya Hai Aap Sabne,.
Great Job,.

Ashgr Bhaiya,.
Talat Didi,.

Khawaish Bhaiya./
Logged
smardia
Guest
«Reply #11 on: February 19, 2009, 12:54:42 PM »
Reply with quote
Well done..all of you...sab ne khoob likha hai... Applause Applause Applause
MAIN JAB B UHDAAS HOTA HOOHN WO MUJH KO HANSAA DAITA HAI
MERI JAAN HAI WO JO ISS MEHFIL MAIN MUJH KO DUA DAITA HAI
HAR JATA HOOHN GHUM-E-ZEEST KI TALKHIYON SE JAB
CUPKE SE AAH KAR WO MERA HOSLA BADAA DAITA HAI
AUR SABI DOSTOOHN SE MUNFARID HAI ANDAZ UHS KA
WO MERI GAZAL K JWAAB MAIN BAUT KUCH SUNA DAITA HAI
MAIN LAKH CHUPAHON UHS KI DOSTI ZAMANE SE
APNE ISHAAR KI ZUBANI WO YEH RAAZ BATAA DAITA HAI
ASGHR KHUSH NASEEB HAI JISE AISA PYARA DOST MILA
VARNA AAJ KA INSAAN DUKH K SIWA KYA DAITA HAI
Logged
Asghr
Guest
«Reply #12 on: February 19, 2009, 01:14:37 PM »
Reply with quote
Waah waah Kya Dhoom Machaaya Hai Aap Sabne,.
Great Job,.

Ashgr Bhaiya,.
Talat Didi,.

Khawaish Bhaiya./
Shukriya Jaanasheen bhai aap k liye sdaa dua lab peh rehti hai.Asghr
Logged
Asghr
Guest
«Reply #13 on: February 19, 2009, 01:16:39 PM »
Reply with quote
Well done..all of you...sab ne khoob likha hai... Applause Applause Applause
Shukriya Smardia.Asghr
Logged
Asghr
Guest
«Reply #14 on: February 19, 2009, 01:20:55 PM »
Reply with quote
Roja ji you people are lovely i run out of words i dont know how to say thank you.asghr
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:56:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer