mera 200th post- yoindia ke doston ke liye :)

by sanya310 on February 09, 2005, 10:16:39 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3401 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #30 on: February 26, 2005, 06:08:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "sanya310"
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "sanya310"

Main nikli net pe shayri dhoondne
thi ek chandni raat
bohot saari sites dekhi par
unmein na thi koi khaas baat

Aise hi maine YoIndia try kiya
register kiya apna naam
bas phir ye site ko bhool gayi
karne lagi apna kaam

ek din achanak phir yaad aayi
shayri padhne ka dil hua
phir wapas aa gayi yahan
jahan bohot kuch haasil hua

start kiya bas shayri padhke
phir reply karne ka dil kiya
phir khud ki shayri likhi
aur apna profile fill kiya

bohot se dost banaye
sharyi ko saraaha unhone meri
itna lag gaya mann yahan pe
ke baaki interests lagi khone meri

4 din mein 200 posts
ye khud hi ek suboot hai
ke shayri ke siwa hum kuch nahi kar rahe
shayri ka humpe ye bhoot hai

exams hote hue bhi
humne itni shayri padhi hai
ab hamare dimag mein
sirf shayri hi shayri chadhi hai

dar hai kahin paper pe na likh doon
ke 'hum nahi likh sakte , hum hai awaargi mein tongue3
ya phir'hamara exam bhi likhne aata hai wohi shaks!'
nahi to humein de denge detention, is khumaargi mein

bohot mazaa aaya, bohot saathi mile
jaise ek hi baag mein, kayi saare phool khile
hum pehle aise na the, aise hogaye
shayri-e-zindagi mein, hum kahin kho gaye

milte rahenge kabhi na kabhi yaaron
magar humein kahin bhool na jaana
isliye mere khaatir kabhi kabhi
meri yaad zaroor nikaalna!

milte hain phir exams ke baad
ye tha mera 200th post
tab tak ke liye khudahafiz
goodbye and take care mere dost!!

To Amit , Amit (myheart_urs), Talat, Nishita,Waheed, Piyush, Desikuri, Neha, Arunsharma, Pooja, Nikki, Samnoj, Mateen,Arifa, Pandit, Thycreator, Salma,Dhadkan, heartbreaker, Tanha dil,yogi, Meena, sonu,Sandhaya, Naveed (ye mere bhai ka naam bhi hai tongue3 ), Aryaan, Sunny, Rawat and evvvvvvvvvvryyone else  !~!  have a rawkin time!! lov Ya'll!


har dosti ka karz adaa kaun karega
hum hi na rahe to dosti kaun karega
Ae khuda salamat rakhna mere yoindia ke doston ko
warna boards ke baad meri party mein kaun itna sara khana khayega!


wow  sanya...........    tumhein  itni  mohabbat  hai yoindia ki family  se..... bahot  khusi  hue  yeh  jaankar..........


specially  for you  sanya...........

Amam Umer Tujhe Zindagi Ka Piyer Mile..
Meri Dua Hai Bichen Phool Terii Rahon Main
Kate Hayat Terii Rahaton Ki Chaon Main..
Kisi Ko Jo Na Mila Woh Tujhe Karar Mile..
Khile Teri Tamanna Kisi Kanwal Ki Terhan
Sajai Tujh Ko Labon Per Kisi Ghazal Ki Terhan
Qadam Qadam Pa Tujhe Mousame Bahar Mile ..
Sada Jiye Yeh Ada Terey Muskurane Ki
Samet Le Tera Dil Her Khushi Zamane Ki
Khuda Kare Yeh Khushi Tujh Ko Bar Bar Mile..............................  tongue3



aww so sweet waheed ty:)

itne duaen de gaya koi
zindagi khushi se bhar gaya koi
dosti ki is imtihaan mein
bilkul khara utar gaya koi
khushiyon ki bahar dekar humein
dil se dua lekar gaya koi


ur  welcome  sanya...........   wow  wonderful  ....
once  again  repeat  it  for  u  sanya..........

Aankh Ban Jaati Hai Saawan Ki Ghata Shaam Ke Baad
Loot Jata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad
Woh Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad
Koi To Tha Ki Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad...............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
doston ke liye ( Sufi aur nishita pyaari) by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2  All »
my 200th post.... by sunny_bunny in SMS , mobile & JOKES
Doston ke liye by thycreator in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3 4 »
~~~...Mere Doston Ke Liye...~~~ by Tosha in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
*Mere Dost*( Mere Yoindia Doston Ke Liye) by honeyrose in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
sanya310
Guest
«Reply #31 on: February 26, 2005, 11:25:54 AM »
Reply with quote
wah bohot achhe waheed!
shaam ke baad ati hai hamesha raat
ismein shayad koi khaas na ho baat
tumhe yaad karte hain har shaam ke baad
aur muskurate hue so jaate hai apke khayalon ke saath
Logged
nishita
Guest
«Reply #32 on: February 27, 2005, 10:13:38 AM »
Reply with quote
kya baat hai waheed and snaya
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:28:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer