Rishta ye dosti ka........!!!

by purani_jeans_aur_guitar on August 18, 2007, 08:34:53 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1937 times)
purani_jeans_aur_guitar
Guest
Reply with quote
insaani ruh ke saaye mai basta hai
    har rishte se badhkar rishta hai ,rishta ye dosti ka

sab nigaaho ka noor-e-nazar hai
khuda ki rehmato ka asar hai ,rishta ye dosti ka

har ek lamhe mai lajawab hai
haseen khwabo se chuna khwab hai,rishta ye dosti ka

bin dhaage ke bandha yaaken hai
mehzabeeno se bada haseen hai,rishte ye dosti ka

ruhaani jajwato se bana ahsaas hai
har dil ko aziz-e-khaas hai ,rishta ye dosti ka

tishnagi ko bhujane waali barsaat hai
zindagi ko zindagi ki hi saugaat hai ,rishta ye dosti ka

har insaan ko be-shart kabool hai
khuda yahi,yahi sabka rasool hai,rishta ye dosti ka.........!!!

..............................@fahi@..................................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: August 18, 2007, 09:34:16 AM »
Reply with quote
Fahi

Too good bro =D> =D> =D>

Last 2 lines were very meaningful and with lot of impact.
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: August 18, 2007, 10:07:12 AM »
Reply with quote
thanx again rajbir bhai (can i call u bhai?).............hamesha ki tarah aur accha likhne ki inspiration dene ke liye.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: August 18, 2007, 10:41:33 AM »
Reply with quote
Fahi

Yeh bhi koi poochne ki baat hai :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: August 18, 2007, 07:02:56 PM »
Reply with quote
Excellent work Fahi !!! Usual Smile
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #5 on: August 20, 2007, 05:56:07 AM »
Reply with quote
shukriya.........

ehsaaso ko buland kar jaata hai rishta ye dosti ka
har insaa.n ko pasand aata hai rishta ye dosti ka

kehta nahi ishaaro se,na nigaaho se bolta hai
chup rehke sab keh jaata hai rishta ye dosti ka

na bandhne ki is bandhan se koi kare laakh koshish magar
bin baandhe hi bandh jaata hai rishta ye dosti ka

hoti hai jab kahi yaaro ko, zaroorat kisi roshni ki
banke shama khud jal jaata hai rishta ye dosti ka

hai wajood pe iske tiki buniyaad har rishte ki sayad
isliye bhi juda kehlaata hai rishta ye dosti ka ......!!!

............................@fahi@..................................
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2007, 06:02:02 AM »
Reply with quote
Superb fahi

Its really superb.. well decribed the meaning of Friendship..
Its really Good One

Divya
Logged
aankhain
Guest
«Reply #7 on: August 21, 2007, 05:06:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
shukriya.........

ehsaaso ko buland kar jaata hai rishta ye dosti ka
har insaa.n ko pasand aata hai rishta ye dosti ka

kehta nahi ishaaro se,na nigaaho se bolta hai
chup rehke sab keh jaata hai rishta ye dosti ka

na bandhne ki is bandhan se koi kare laakh koshish magar
bin baandhe hi bandh jaata hai rishta ye dosti ka

hoti hai jab kahi yaaro ko, zaroorat kisi roshni ki
banke shama khud jal jaata hai rishta ye dosti ka

hai wajood pe iske tiki buniyaad har rishte ki sayad
isliye bhi juda kehlaata hai rishta ye dosti ka ......!!!

............................@fahi@..................................

ap ka pehly wala dosti ka beyan b acha ha lakin ye bohat khobsoret ha . dill chah raha ha k kaho k ap bohat achy shair hain. Usual Smile =D> =D>=D>
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2007, 01:36:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "aankhain"

well.........aap ye naa hi kahe to behter hai aankhein ji ,kyunki main is layak hun bhi nahi........... ye to  sirf suruaat hai,behad lamba safar tay karna baaki hai abhi...........,thanx 4 liking it
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2007, 01:50:51 PM »
Reply with quote
Excellent Work Fahi...
Very Meaningful too...

Dono hi kalaam bahut khoob likhe hai aapne...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #10 on: August 25, 2007, 09:59:48 AM »
Reply with quote
shukriya sikha ji..........

baasindo ko raah dhikhayega sada rishta ye dosti ka
deewaar-e-majhab ko girayega sada rishta ye dosti ka

shaq ke andhero se bhari sarhado pe bhi seena taankar
ek shama-e-yakee.n jalayega sada rishta ye dosti ka

kaun hindu hai kaun muslim hai gar koi isse poochega
sabko insaa.n hi bus bataayega sada rishta ye dosti ka

be-aabroo hoker bhi jo karte rahenge iski iz-zat 'fahi'
unhe khudse bhi paak jataayega sada rishta ye dosti ka....!!!

..................................@fahi@........................................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2007, 09:41:33 AM »
Reply with quote

jajwo mai apne bharlo tum rishta ye dosti ka
abad tak kabul karlo tum rishta ye dosti ka(abad = eternity)

panno pe apne jehan ke likhkar ke iski dastaa.n
ahsaaso ki jubaani padhlo tum rishta ye dosti ka

gar lagta hai tumhe dar dil mai iske bas jaane ka
to nigaaho mai apni rakhlo tum rishta ye dosti ka

pesh aati hai gar phir bhi mushkil ise nibhane mai
to ashko mai qaid karlo tum rishta ye dosti ka

.............................@fahi@.................................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2007, 11:13:43 AM »
Reply with quote
Fahi

Wah ! wah ! wah ! =D> =D> =D>

Har ek line full of meaning !

You will go a long way bro ! D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: September 06, 2007, 08:30:51 PM »
Reply with quote
wah wah wah.. charo poems bahoot hi achi likhi hai PJAG JI!!!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:35:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer