Roja, sirf aur sirf aap k leeyaen...

by anjaan dharkan on August 26, 2008, 08:09:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3369 times)
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
Reply with quote
Thank you roja. aapne meree aankhaen khol deen, aur mujhe ehsaas dillaya, k main abhi zinda hoon. meray leeyaen ek dar band huwa tho meree dunya khatam nahee, ek naye sirray se abaad huwee hai. thank you behna...

aapke leeyaen...

Dil bhara bhara sa, aur sharer pura khalee hai.
Mann har cheez se ghaafil, aur aankhon mein paanee hai.
Rothay aaen hain urson se, kuch maqsad tha shahid aansuon ka. Rothay rothay maqsad ko hee bhool gaye, ronay aur aarzuon ka.
Samhalay nahi samhal tha wo dardh jo kabhie mehsoos kiya tha.
Uss dardh kee waja bhula dee jissne dil ko kabhie maiyoos kiya tha.
Aaj shahid sabar ne rasta yaad kiya, meree puranee galee ka.
Wo bandish jo khud pe dale theeh, aaj utt hee hai tho phir uks dehka hai menay upnee hasee ka.
Aaj ek ursay baad, hum phir khush huway hain
Raath jo tumhara khuwaab na aaya, tho hum mutmaeen ho k soayn hain.
Ub na behj na, tumhe tumharay imaan kee kasam, upnee saanson ko mere saans ko choohnay.
Phir na kabhie upnee yaad ko mere or behj na, ub k  baad sehna nahi chahtay hain hum, jo dhuk deeyay hain toonay!

Haan, kabhie jo tum baat karogay, tho hum bhi huss k jawaab deyngay.
Aur agar kissee muadzay se tumhe bhi mujhse muhabbat huwee, tho hum dubara se tumharay khuwaab dehkaengay.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SIRF EK...... by siddiqa in Shayri-E-Dard
sirf tum .......... by sammu1984 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mai.........sirf mai.... by akela in Shairi - E - Zindagi
Sirf ayr sirf usi ko yaad karti hoon.... by maya01 in Shayri-E-Dard
tu sirf aur sirf humara hai.......... by SURESH SANGWAN in Shayri for Khumar -e- Ishq
syednaami
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2008, 08:41:36 PM »
Reply with quote
AD saahiba,

     Hum yun to nahin jaante kya kuchh jo hua, par andaaza kar liya ki kya kuchh hua hoga.

 Khair, duniya milne bichhadne ka naam hai, koi ek pal to koi kuchh ghadiyan, to kuchh log kuchh mahine saal aor kuchh log umar bhar ka saath dete hain. Kuchh logon ko hum chhod dete hain kuchh log hamen chhod ke chale jaate hain. Bas farq sirf yeh hota hai ki woh bichhde kyun aor kaise, par jab bhi koi bichhadta hai to kisi ko sadma to kisi ko dukh aor dard to hota hi hai.

     Par duniya ka karvaan chalta rahta hai. Ek chhod ke chala gaya to dusra aakar uski jagah bana hi leta hai. Waqt ka marham na sirf har ghao bhar deta hai par samjha bhi jata hai ki aage kya karna hai.

        Jis shakhs ne aap ko nayi raah dikhla kar aankhon se adhera hataya us ki azmat ko salaam karta hun.
    Bas, apni qismat ko apne haathon ki lakeeron ka khel mat samjho ek shayr yaad aaya.

          Haathon ki lakeeron pe itna aitbaar mat kar,
          Qismat to unki bhi hoti hai jinke haath nahin hote. -

Bas nayi raahen nayi manzilen hamesha aap ke liye khuli padi hain. Khud pe inhsaar karo aur Allah se bhalai aur karam ki dua karte raho.

SN**

Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: August 27, 2008, 02:54:49 AM »
Reply with quote
Dear Anjani,

I fully agree with Syednaami ji. Just cheer up... love9

Bahut accha likha hai aapne. Thank you very much.. Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2008, 03:18:33 AM »
Reply with quote
Thank you so much Roja jee.
Logged
Singh is king
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2008, 07:18:05 AM »
Reply with quote
log kahte hai sona jitna tapta hai utna nikhrata hai

samjh lijiye wo jo upar hai aapko sona bana kar nikharana chahta hai

bas aap hare nahi. 

baki raha dard our takleef to use bhi tohfa samjh lijiye jo har kisi
ko to nahi mila jitna aapko ya hame mila hai.

best wishes for u. bahot dino se aap ki koi najam nahi suni.
is bar kuch khaas hogi kyoki.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2008, 08:01:05 AM »
Reply with quote
SIRF AUR SIRF ROJA KE LIYE TITLE THA TO USE PM KAR DIYA HOTA
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #6 on: August 27, 2008, 02:59:23 PM »
Reply with quote
sorry guys, it wasnt FOR roja, it was a dedication to her. mera matlab kuch aisa nahi thah. agar aapko bura laga, tho plz muhje maaf karna... (janashenn, aur sajid)

Roja, thx once again... for your comforting words, syed bhai aap bhi, thx for your kind words, and singh is king, you too. thank you very much...
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2008, 03:47:02 PM »
Reply with quote
sorry guys, it wasnt FOR roja, it was a dedication to her. mera matlab kuch aisa nahi thah. agar aapko bura laga, tho plz muhje maaf karna... (janashenn, aur sajid)

Roja, thx once again... for your comforting words, syed bhai aap bhi, thx for your kind words, and singh is king, you too. thank you very much...

Welcome Anjani. Sada Khush raho ..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: August 30, 2008, 09:01:25 AM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooooob ANJANI.. Really Great.. Aur Yeh ROJA Meri Bahan Hai Hi Bahut Pyaari.. isne Baar Mujhe bhi Samjhaya Tha.. Jab main Toot Kar Bikhar gaya tha.!!

Aur Anjani.. Tumne bahut Khoooooooob Likha Hai...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2008, 11:46:00 AM »
Reply with quote
Jee Sidra Sahiba....
Ye aapne Thik kiya ki Yeh Kalaam aapne " AWaam " K Saamne Rakh diya........Dar-asl Fayada Muje Hua Ki Itna badhiya kalaam padne ko mila
kuch Tarteeb me Farq Hai Lekin andaaz va alfaaz To Waaqaee Bahut Khoob Hai

aap k har kalaam me Ek Lafz " Shahid " hota hai To Uska Matlub kya hei ??   
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #10 on: September 01, 2008, 09:48:40 PM »
Reply with quote
mann shab, thx sahi kaha aapne.. roja hai hee aisee...

Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2008, 11:18:54 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob likha hai aap ne dhadkan ji

or rahi roja ji ki baat to un ka to koi jawab hai hi nahi
hamesha sabhi ke liye aacha sochna or aache se samjhana
yahi to aache baat hai un ki.

roja ji ek baar fir aap ki taarif sun ke man bahut khus hua
always like a rose


Baadal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 24, 2009, 03:09:28 PM »
Reply with quote
Shukriya Doston Ke us Waqt Aapne Sidraah Ka saath Diya Use Hausla Diya,.

Ab Shayad Sidraah ko Gilaa Nahi Zindagi Se,.

Iam I Right Sidraah,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #13 on: April 25, 2009, 02:48:30 AM »
Reply with quote
Shukriya Doston Ke us Waqt Aapne Sidraah Ka saath Diya Use Hausla Diya,.

Ab Shayad Sidraah ko Gilaa Nahi Zindagi Se,.

Iam I Right Sidraah,.

poohchna zaruri samhajte hain aap? Winking

waise aapka pehla comment q delete kiya??
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: April 25, 2009, 12:23:17 PM »
Reply with quote
poohchna zaruri samhajte hain aap? Winking

waise aapka pehla comment q delete kiya??

Us Waqt Maine Soche bagair Comment Diya Tha,.
Ilsiye Delete Kar Diya,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:33:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer