RULES FOR GHAZAL (For Members.)
_______________________________________
Title: perfact ghazal likhne ka tarika read my friends main bhi sikh raha hoo,n
Post by: jeet jainam on July 26, 2015, 12:34:12 PM
________________________________________
1. Radeef = the rhyme in the Couplet (the last word)
darad minnat-kash-e davaa nah hua
maiN nah achha hua, bura nah hua
The text in red is the radeef of the sher and the ghazal
2. Qafiya = the word just before the radeef. Each couplet or sher uses a different rhyming Qaafiya
darad minnat-kash-e davaa nah hua
maiN nah achha huaa, bura nah hua
The text in black highlight is the qafiya of the sher and the ghazal
3. Matla = The first Couplet of the Ghazal which uses a qaafiya in both the misra
4. All the shers of the ghazal (except Matlaa) can only have the Qafiya in the second line of each sher.
jamaa karte ho kyuN raqiboN ko (no qaafiya)
ek tamaashaa hua gilaa na hua
ham kahaaN qismat aazmaane jaayeiN (no Qaafiya)
tu hi jub Khanjar-aazmaa na hua
See the above example. The qafiya appears only in the second line of each sher.
Each Qafiya is a rhyme that matches the original qafiya in the matla of the Ghazal (davaa, buraa, gilaa,
aazmaa)
5. Maqta = The last sher of the Ghazal, which contains the name of the poet
kuchh to paRhye keh log kahte haiN
aaj Ghalib Ghazal-saraa na hua
dosto neeche kuch aksar istemaal meiN aane wale lafz jinme “z” ya “j” ka istemaal hota hai aur jinhe hum log aksar galat likhte haiN likh raha hooN…..
galat……………………....sahi
jindagi………………... zindagi
zanzeer……………... zanjeer
samzh/samj…………….samjh
wazood……………......wajud/wajood
khanzar……………......khanjar
majboot…………….....mazboot
mazboor……………....majboor
wajan…………………...wazn
tuzhe/tuze……………..tujhe
muze……......................mujhe
jalim…………………..zalim
jajbaat/zazbaat ………..jazbaat
uzaala…………………ujaala
jakham ………………..zakhm
naraaj…………………naraaz
wazeh…………………wajeh/wajhe
najar…………………..nazar
jamaana……………….zamaana jaroori………………..zaroori
aarjoo………………...aarzoo
jehan…………………zehn
janaaja/zanaaza………janaaza
zigar…………………...jigar
najariya………………..nazariya
julfoN…………………zulfoN
gazare…………………gajare
najdeek……………….nazdeek
jameen…zameen
Achchhi jaankari....!!
-Adab