SAB POOCHTE HAIN...........(GHAYEL)

by sajid_ghayel on October 16, 2008, 06:54:43 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3033 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #15 on: November 30, 2008, 08:09:13 AM »
Reply with quote
SAB POOCHTE HAIN TERA MERA RISHTA KYA HAIN
TU KAHE YA MAIN KAHU TU MERA KYA HAIN

DARD HO TUJKO TO ASHK MERE BEHTE HAIN
SAMAJ NAHI AATA YEH MAJRA KYA HAIN

TU KHAMOSH HO AUR TERI AAWAZ SUNAIEE DE
MAIN JANTA HU TERI HAR ADA KA MATLAB KYA HAIN

NA IZHARE MOHABBAT HAIN NA TUJKO PANE KI JUS_TUJOO
NA JANE TERE BARE ME DIL HAR GADI SOCHTA KYA HAIN

NA MILO TUM TO BECHAIN REHTA HAIN HAR WAQT
GHAYEL AAKHIR TUJKO YEH HUA KYA HAIN

                           -SAJID GHAYEL

 

Bahut khoob Ghayel Ji

Poochne wale to apni jalan dikhate hai
Tu kyon un sab se yun darta rahta hai
Dil khol kar poochne walon ko bata yaar
Ki tera aur uska yeh sunhela rista hai pyaar
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Poochte hain sab mujh se ! by Rishi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
log poochte hain kea tum usko yaad kerti ho by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
sajid_ghayel
Guest
«Reply #16 on: November 30, 2008, 08:35:50 AM »
Reply with quote
 

Bahut khoob Ghayel Ji

Poochne wale to apni jalan dikhate hai
Tu kyon un sab se yun darta rahta hai
Dil khol kar poochne walon ko bata yaar
Ki tera aur uska yeh sunhela rista hai pyaar

Hukm ki tere tameer hoti
Jo baat kahi tune woh baat bhi hoti
Magar aye dost jo aa jata zuban pe nam us nazneen ka
Shehar me jo reh gayee bas ek pakeeza surat, woh bhi badnam hoti

                  -SG-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: November 30, 2008, 08:56:10 AM »
Reply with quote
nice SG and RH JI
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #18 on: November 30, 2008, 09:02:09 AM »
Reply with quote
Hukm ki tere tameer hoti
Jo baat kahi tune woh baat bhi hoti
Magar aye dost jo aa jata zuban pe nam us nazneen ka
Shehar me jo reh gayee bas ek pakeeza surat, woh bhi badnam hoti

                  -SG-


Agar  baat hai uski banaami ki
To yeh hukm humne waapas ki
Koi pooche agar unse rista kya hai
To aap hi sooche ki batana kya hai

Na batane par na jane log kya samjhe
Fir jhoote hi na badnaam kar de tujhe
Par yaad rahe ki kahegi khamoshi teri
Yoh baat jo na ayee hai  jubaan par teri
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: November 30, 2008, 09:05:06 AM »
Reply with quote
bahoot sahi jawab likha hai Rajesh ji.. good work
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #20 on: November 30, 2008, 09:07:32 AM »
Reply with quote
Thanx Pooja Ji
Aap hi jaise shayaron ki prerna hai
Todha bahut likh leta hoon
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #21 on: November 30, 2008, 09:08:56 AM »
Reply with quote
Agar  baat hai uski banaami ki
To yeh hukm humne waapas ki
Koi pooche agar unse rista kya hai
To aap hi sooche ki batana kya hai

Na batane par na jane log kya samjhe
Fir jhoote hi na badnaam kar de tujhe
Par yaad rahe ki kahegi khamoshi teri
Yoh baat jo na ayee hai  jubaan par teri

Mere khamosh rehne se parda nashi
Tujpe ilzam aaye to main kya karu

Maine peene se tauba to ki thi magar
Maiqada mera ghar ho to main kya karu

                      -NM-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: November 30, 2008, 09:11:31 AM »
Reply with quote
nice sharing sg
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #23 on: November 30, 2008, 11:43:27 AM »
Reply with quote
Mere khamosh rehne se parda nashi
Tujpe ilzam aaye to main kya karu

Maine peene se tauba to ki thi magar
Maiqada mera ghar ho to main kya karu

                      -NM-



WAH WAH


PAIMANEY MEH BHI TERI SURAT NAZAR AAYE
TOH MAIN KYA KARU
TERE JANEY KEY BAAD, PAIMANEY MEH NASHA AAYE
TOH MAIN KYA KARU

TUJHEY AAJ BHI CHODD SAKTA NAHI
MAIN KYA KARU
PAIMANA  HI ABB APNA BANAYA TOH
MAIN KYA KARU



JASBIR SINGH


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #24 on: November 30, 2008, 11:54:37 AM »
Reply with quote
Mehfile mushaira me tune jab koi sher sunaya
To main kya karu

Sunne walo me mere alawa tuje koi nazar nahi aaya
To main kya karu
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #25 on: November 30, 2008, 01:01:37 PM »
Reply with quote
Mehfile mushaira me tune jab koi sher sunaya
To main kya karu

Sunne walo me mere alawa tuje koi nazar nahi aaya
To main kya karu


TUHI SIRF DIL KI BAAT JAANTA HAI
ISS MEHKHANEY MEH SIRF TU HI AATA HAI
TERE SIWA NA KOI AUR AAYE
TOH MAIN KYA KARU



JASBIR SINGH
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #26 on: November 30, 2008, 05:10:37 PM »
Reply with quote
Na unke jaisa hasee koi sakhiya, Na mujsa koi rind hua
Yeh baat nadaan teri samaj na aaye
To mai kya karu
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #27 on: November 30, 2008, 05:27:33 PM »
Reply with quote
HAR PAL TU ROTA JAYE
SAMAJ MEY TERI YEH BAAT NA AAYE
WOH TUJHEY HAR PAL RULAYE
TOH MAIN KYA KARU



JASBIR SINGH
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:39:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer