Saini Sir.... (Shihab)

by majid on September 05, 2012, 10:50:39 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1370 times)
majid
Guest
Reply with quote
 Aadaab Sabhi Arbab e Sukhan Ko Mera
Aap Sab Ahle Nazar Ke Aagey, Aaj Aisi
Shakshiyat Ko Likhne Ja Raha Hoon Jo
Meri Naqis Soch Samajh Aur Alfaazon Se
Bahut Hi Upar Hain, Waise To Main Yeh
Gustakhi Kabhi Na Karta Par Unki Muhabbat
Aur Saaf Dili Ne Mujhey Majbur Kar Diya
Waise To Unme Bahut Saari Achchaiyan Hain
Par Mujhe Jo Sabse Achchi Lagti Hai Wo Ye Hai
Ki Wo Kisi Ko Bhi Neechi Nazar Se Nahi Dekhte
Unki Nazar Mein Har Insan Baraabar Hai, Ab
Mujhe Hi Le Lijiye Ki Wo Mujh Jaise Jaahil Aur
Anparh Ke Saath Bhi Is Qadar Muhabbat Aur
Adab Ke Saath Pesh Aate Hain ki Kya Kahun
Sach Kahun To Main Sath Jude Rishte Ko Samajh
Hi Nahi Paya, Ki Kya Rishta Hai, Kyon Ki Woh Kabhi
Dost Banke Milte Hain To Kabhi Bhai Banke, To Kabhi Bade Ki Tarha Dua De Jaate Hain, Yahi Wajah Hai Ki Main Unko Sir Ya Sahab Bulaata Hoon, Aur
Wo Koi Nahi Humare Kabil e Ahtram Janab Saini Sahhab Hain, Mujhe Samajh Nahi Aaya Kahan Post
Karun So Tahan Kar Diya, Sir Kuch Galti Ho To Maafi Chahunga...


Khubiyan Hi Khubiyan  Unke Anadar Hain
Tahzib -o- Ilm Ke Woh To Samundar Hain.

Hai Bas Pyaar  ,  Muhabbat Hi Naara Unka
Na Unke Haath Me Talwar Na Kanjar Hain.

Beshak  Hain ,  Aur  Bhi  Shohraa  Yahaan
Par Meri Nazar Me To Wohi Sikandar Hain.

Ye Unki Sohbat Ka Hi To Asar Hai Ki Aajkal
Likhne Lage , Mujh Jaise Bhi Bandar Hain.

Khuda Se Dua Hai Door Kar De Woh Sare
Ranj-o- Gham ,  Jo Abhi  Unke Andar Hain.


                                       Shihab


 
Khuda Aapko Chust Mast Aur Swast Rakhe

Shihab
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main.....(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Ji Hazuri....Shihab by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dil.....(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Kyon....(Shihab) by majid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dekhey....(Shihab) by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
suman59
Guest
«Reply #1 on: September 05, 2012, 11:03:07 AM »
Reply with quote
waaaah great dedicated lines on this teacher's day. nicely created lines shihab jee.  Thumbs UP Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: September 05, 2012, 11:09:42 AM »
Reply with quote
Shihaab Sahaab Aadaab !


Behad shaiN farmaya janab ke Saini sahaab ke jaisi khoob
shaksiyat yahaaN nahi hai... behad purkashish aur apnahiyat
wale khoob khush mizaaz insaan hai Saini Sahaab... Usual Smile

Saini Sahaab aapko mera Salaam ... aapka pyaar aur apnapan
milta rahe... aur yeH karwaaN aise hi chalta rahe yehi duaa..

Aapne khoob likha hai Shihaab Sahaab... sabhi ashaar kafi achche
rahe... aur is khoob dedication par humari hazaaroN dili daad
kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Bazm ki ronak badhate rahiye...
SHaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile 

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 05, 2012, 11:11:12 AM »
Reply with quote
khush raho betaa tumhaare is pyaar ko hameshaa yaad rakkhoongaa khudaa tumhe umrdaaz kare
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #4 on: September 05, 2012, 11:30:12 AM »
Reply with quote
bohut khoob  shihab tumne

keep it up !!!!
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #5 on: September 05, 2012, 11:45:05 AM »
Reply with quote
Very Good!!!!! Applause Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: September 05, 2012, 11:53:58 AM »
Reply with quote
boht khub shihab ji bilkul sahi kaha apne
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: September 05, 2012, 11:59:29 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob likha hai aapne Shihab ji.. aur bahut sahi baat kahi hai unke baare me.....!!!
Logged
Sps
Guest
«Reply #8 on: September 05, 2012, 12:22:25 PM »
Reply with quote
very very nice, commendable...Saini Sir hain hi aise..unke liye likha apone aap kabil-e-tareef ho jaata hai!!
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: September 05, 2012, 12:22:48 PM »
Reply with quote
Sihab ji aapne jo bhi saini sir ke liye likha hai ek dum sahi likha hai.... Aaj bhi mujhe yaad hai jab khud ko is mehfil layak nahi samjhta tha tab saini sir ne hii apna hath mere sar par rakh samjhaya aur phir se koshish karne ko kaha rbhi main is mehfil mein thoda bh likh pata hoon....




 Aaj bhi koi dhikkat ho to sabse pehle saini sir ko msg kar batata hun kyunki unse is trh ka attachment jud gya hai puchiye mat...... Saini sir bahut achhe guru bahut achhe insan aur ek saaf dil pure heart ke malik hain...... Unhe shat shat naman



aapne saini sir ke liye bahut bahu bahut hi umda aur khoob likha
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: September 05, 2012, 12:23:40 PM »
Reply with quote
Saini sahab ..aapne bilkul sach likha hai Shihab jee.. vo hai hi aise.
Jitna patience unme hai..shayad mushkil se mile dhoonde se
Ham bhi aapke saath duaaon me shaamil hai..

Bahut bahut umda kalaam pesh kee hai  aapne..
Ham bhi aapke bhaai to ..ham bhi Bandar hue..
Milkar uchalkood karenge..
Dher si mubaarakbaad aapko is umda peshkash par
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: September 05, 2012, 12:24:40 PM »
Reply with quote
Aadaab Sabhi Arbab e Sukhan Ko Mera
Aap Sab Ahle Nazar Ke Aagey, Aaj Aisi
Shakshiyat Ko Likhne Ja Raha Hoon Jo
Meri Naqis Soch Samajh Aur Alfaazon Se
Bahut Hi Upar Hain, Waise To Main Yeh
Gustakhi Kabhi Na Karta Par Unki Muhabbat
Aur Saaf Dili Ne Mujhey Majbur Kar Diya
Waise To Unme Bahut Saari Achchaiyan Hain
Par Mujhe Jo Sabse Achchi Lagti Hai Wo Ye Hai
Ki Wo Kisi Ko Bhi Neechi Nazar Se Nahi Dekhte
Unki Nazar Mein Har Insan Baraabar Hai, Ab
Mujhe Hi Le Lijiye Ki Wo Mujh Jaise Jaahil Aur
Anparh Ke Saath Bhi Is Qadar Muhabbat Aur
Adab Ke Saath Pesh Aate Hain ki Kya Kahun
Sach Kahun To Main Sath Jude Rishte Ko Samajh
Hi Nahi Paya, Ki Kya Rishta Hai, Kyon Ki Woh Kabhi
Dost Banke Milte Hain To Kabhi Bhai Banke, To Kabhi Bade Ki Tarha Dua De Jaate Hain, Yahi Wajah Hai Ki Main Unko Sir Ya Sahab Bulaata Hoon, Aur
Wo Koi Nahi Humare Kabil e Ahtram Janab Saini Sahhab Hain, Mujhe Samajh Nahi Aaya Kahan Post
Karun So Tahan Kar Diya, Sir Kuch Galti Ho To Maafi Chahunga...


Khubiyan Hi Khubiyan  Unke Anadar Hain
Tahzib -o- Ilm Ke Woh To Samundar Hain.

Hai Bas Pyaar  ,  Muhabbat Hi Naara Unka
Na Unke Haath Me Talwar Na Khanjar Hain.

Beshak  Hain ,  Aur  Bhi  Shohraa  Yahaan
Par Meri Nazar Me To Wohi Sikandar Hain.

Ye Unki Sohbat Ka Hi To Asar Hai Ki Aajkal
Likhne Lage , Mujh Jaise Bhi Bandar Hain. Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Khuda Se Dua Hai Door Kar De Woh Sare
Ranj-o- Gham ,  Jo Abhi  Unke Andar Hain.


                                       Shihab


 
Khuda Aapko Chust Mast Aur Swast Rakhe

Shihab


naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #12 on: September 05, 2012, 01:03:11 PM »
Reply with quote
Bahut achhi peshkash shihab ji... Usual Smile

aur jyada achhi baat ye hai ki aapne ye poetry Saini sir jaise hasti ko dedicate ki hai.. mai bhi sehmat hu aapki baat se.. Usual Smile

bahut bahut mubarak.. Usual Smile
Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #13 on: September 06, 2012, 12:21:24 AM »
Reply with quote
wah wah, kya khoob likha hai, dhero dad
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #14 on: September 06, 2012, 04:52:00 AM »
Reply with quote
Sahihab sahab.....aap ne jo bhi " SAINI JI" k parati likha hai wo solha aane satya hai...aap badhayi k pater hai ki aap ne un ka gungan es tarah se sab k samne kiya...hm sabhi bhi un ko esi nejer se dekhate hain per kabhi byan nahi ker paye....aap ne lo likha hai wo lajawab hai....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:18:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer