Yoindia kia hai...........Abul Asad

by Abul Asad on December 14, 2011, 11:31:43 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2035 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Yanhaa aana ab ghar aane ki tarha lagta hai
Aap logon se milna, aur jumle kasna kia hai

Aap se muhabbat  baat-te rehna, aur dua-en kia hai
Yeh khobsurat si mehfil, yeh sukhan-arainyan kia hai

Honge zamane me bahut anjuman ache magar
Baat yo-india ke logon ki hai kuch aur unse alag

Zamane me dushnami aur mile aisi jagah dad ye kia hai
Agar yeh khushkismati nahi hamari to Abul aur kia hai

Abul Asad
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: December 15, 2011, 06:27:37 AM »
Reply with quote
Yanhaa aana ab ghar aane ki tarha lagta hai
Aap logon se milna, aur jumle kasna kia hai

Aap se muhabbat  baat-te rehna, aur dua-en kia hai
Yeh khobsurat si mehfil, yeh sukhan-arainyan kia hai

Honge zamane me bahut anjuman ache magar
Baat yo-india ke logon ki hai kuch aur unse alag

Zamane me dushnami aur mile aisi jagah dad ye kia hai
Agar yeh khushkismati nahi hamari to Abul aur kia hai

Abul Asad


bahut achcha kaha. YOINDIA ki tareef mein. ALLAH IS MEHFIL KO AISE HI BANAAYE RAKHE.AMIN icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 15, 2011, 07:11:51 AM »
Reply with quote
Shukriya Adil Sahab,

Aur Allah aapki dua khubool kare
Ameen
Logged
sarfira
Guest
«Reply #3 on: December 15, 2011, 07:42:18 AM »
Reply with quote
Yanhaa aana ab ghar aane ki tarha lagta hai
Aap logon se milna, aur jumle kasna kia hai

Aap se muhabbat  baat-te rehna, aur dua-en kia hai
Yeh khobsurat si mehfil, yeh sukhan-arainyan kia hai

Honge zamane me bahut anjuman ache magar
Baat yo-india ke logon ki hai kuch aur unse alag

Zamane me dushnami aur mile aisi jagah dad ye kia hai
Agar yeh khushkismati nahi hamari to Abul aur kia hai

Abul Asad
wah wah

iss mehfil ki shaan me aapne bht khoob kaha Abul sahab Usual Smile

ye mehfil isi tarah jagmagaati rahe hamesha

Usual Smile
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #4 on: December 15, 2011, 12:28:35 PM »
Reply with quote
asad sahab bahut hi khub kaha hai aapne ..yoindia ki yeh khushnuma mahfil yun hi sada-sada roshan bani rahe ,,,aap jaise chirag mudatoon tak jagmagate rahein aur iss mahfil ka noor hamesha kaayam rakhien ,,,,khuda hafiz  [/color]
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #5 on: December 15, 2011, 04:32:34 PM »
Reply with quote
Sunil Sahab,

Shukriya, aap logon ki inayat hai, hum kiya cheez hain,
aap, Hasan saheb, khwaish saheb, Sarfira Saheb, Parwaz saheb
jaise log sarhaye hai iss ko aur is mehfil ko raushan karte rehte
hain.

Aur bhi bahut mohabbat bhare naam hain jo mustaheq hain, ham to bas
aise hi bekhayali mein likhte rehte hain

Mamnuon hain aapke
Dua Goo
Abul ASad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2011, 07:11:14 AM »
Reply with quote
Asad Sahaab Aadaab!


Waah janab kia baat hai.. behad khub aur achche
ahsaasat ko bayaaN kiya hai aapne.. Usual Smile

Behad khub janab.. Khuda kare yeH anjuman humesha
roshan rahe.. Usual Smile

Aur aapke ahsasaat ko salaam.. Usual Smile Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Likhate rahiye.. aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2011, 07:15:36 AM »
Reply with quote
Asad Sahab aadaab
Bas yu hi likhte rahiye..aap bhi is jaha.n me apna ek mukaam haasil kare aur apni chamak se is mahfil ko roshni de..
Bahut khoob.
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #8 on: December 23, 2011, 09:15:34 AM »
Reply with quote
Mkv Saheb,

Tamaam Roshini to Aap, Khwaish saheb, Parwaaz Saheb, Sunil Saheb, Sophi ji, Saini Saheb Aur Sarfira Saheb jaise aftaabon se hai, mera kia hai bas aap sab
ki chamak ka Aik madham sa aqs hoon. Ye sab aap logon ka badhapan hai jo
kuch alfaaz inayat karjate mujh par warna koi na pochta hamen, kissi bhi kone men kabhi.

Ta-umr Mamnun Aap sab ka
Abul Asad
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: December 23, 2011, 10:07:51 AM »
Reply with quote
Asad Bhai
Himmat rakhe..Chalna to apko padega. apko YO ka har member aage badhne me madad karega. yahi to hamari pahchaan hai..
Ham sab ek doosre se jude hue hai..Galti se apne mera naam badi badi hastiyo.n ke saath jod diya.
mai bhi apki tarah seekh raha hu. Kuch mai apse lunga aur kuch apko dunga..
Keep writing.


Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #10 on: January 09, 2012, 12:32:41 AM »
Reply with quote
MKV Saheb,

Bahut hi acha jawaab tha aapka, padh kar dil pur sukoon hova
aap ki hausla afzai ka jawaab nahi.. shukriya
janab hame sharf hai aap jaise logon se ham kalaam hone ka
behad shukriya aap ke nafeez alfazon ka.

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:30:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.219 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer