15th Yaum-e-Shahadat Of Babri Masjid,.

by Jaanasheen on December 06, 2007, 03:49:18 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 28557 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: June 28, 2008, 07:45:03 PM »
Bohot khoob Azeem and Muhammed !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghar se Masjid hai bahut door by clicksahil in Shayri-E-Dard
Mandir-Masjid by lalit.sharma83 in Devotional poetry in Punjabi
maykada masjid nahi.................... by mazHur in Ghazals
Masjid Kabhi Mandir by mazHur in Ghazals
shahadat ko vayarth na by saahill in Shairy-E-Watan
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: June 29, 2008, 08:47:59 AM »
Shukriya celmira,.
Aap Kuch Likhte To Achcha Lagta,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #17 on: June 30, 2008, 05:19:19 AM »
Hai Ye Mulk Mera Bhi Tumharaa Bhi,.
Sirf Dilon Ka Yahaan Batwaara Hai,.
Hai Samander Ek Hi Duniya Mein,.
Bas Judaa Zameen se har Kinaara Hai,.
Hai ye Duniya Mukhtasar Doston, Khushi Se Jeelo,.
Maut Ke Baad Yahaan, Kya Tumhaara Kya Hamaara hai,.

Bhai Azeem Bahot Khoob Likhna Hai apka,
Fir  kuch Sufiyana Andaj Dekhne Ko Mila hai,
Aapke Kalaam Me..
Bahot Hi Khoob Bhai,&
Shukriya Celmira Ji...


Aur Raza Ka To Ye Kehna Hai Ki :
 
Khuda Ne Kahaan Sarhade Banayi Hai,
Yeto Insaan Ki Khinchi Hue Lakire Hai,
Duniya Ke Liye Hum Nahi Bane Hai,
Hamaare Liye Duniya Banayi Gayi Hai..


Aur Takhliq Ka Mauzu Nikla To,

Dard-e-Dil Ke Waaste Paida Kiya Insaan Ko,
Warna Ta'ate Khuda Ke Liye Kuch Kam Na The Karro-Bayaa'n.






 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #18 on: June 30, 2008, 01:09:53 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
waise Mujhe Nahi Lagta ke Miane Sufiyana Andaaz Ikhtiyaar Kiya hai,.
Magar Khushi Hui Ke aapko pasand Aaya,.
And Nice One again Bhaijaan,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #19 on: July 01, 2008, 06:11:36 AM »
Bhai Azeem,
Bura Laga Ho To Maaf Karna..Bhai,
Mera Kehne Ka Matlaub Kuch aur Hai,
Muje Kuch Alfaz Bahot Hi Pasand Hote Hai,
Jisko Maine Sufiyana Kitabo'n Me Padha Hai,
Bus Usi Ki Zalak,
Kuch Dur se Muje Dikhai Deti Hai Aap Ki Nazam Me,
Jaise..

Baadshaah : Riyasat Ka Hota Hai
Sufiyana Defination   : Duniya daar Aiso Ishrat Me Rehata Hai..

Shaah : Gulaam Hota Hai - Faqir Hota Hai - Dil Ka Wo Narm Hota Hai.
Sufiyana Defination : Khuda Ka Banda - Dil Ko Buri Bato Se Kabu Me Rakhne wala -
                      Allah Ka Dost - Wali - Dilo Par Hukumat Karta Hai.

Waise Hi..Dil ek Hai..Na Ahmedabadi - Na Banglori. Koi Bhi Nahi Kahega Ye wo Ye wo Hai... Na Kala Dil - Na Gora Dil - Dil ek Hi hai.

Samandar LeLo..Kala - Rata - Nila - Hara - arabi - indian - african..Magar Root Ya Uski Jad Ek Hi...Kya Samandar Bas Wohi Ek..

Ye Duniya ek...Char din Mukhtasar..Na Kali Duniya Na sufed Duniya..

Maut K Baad Kya Tumhara Kya Hamara : Yaane Sab Fanaa.
To Fanaa ek Baar..
To Kayamat Ek Baar..

To....Hamara Rub Khuda Bhi Ek...
K Jisne Har Har Chiz Banayi Ek..
Aaftaab Banaya Ek,
Mahtaab Ek,
Insaan Ek,
To...........Khuda Hamara....sab Kuch Hamara..
To Unka Kya Hai Yahaa'n...Huh???


Bhai Azeem Ye Baate dekhne KO Mili aapke Is Kalaam Me To Main Bol Uttha Waqaiee sufiyana andaaj Hai..!!!                                     
                                     

 
     
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: July 02, 2008, 12:40:09 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
mere Is Kalaam ko Do Nazariye se dekhne Ke Liye,.

Aur kamaal Ki defination Di Hai aaapne,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: July 02, 2008, 12:51:42 PM »
Sab Ka Malik Ek Hai, Rab Ek Hai Hamaara,.
Kheenchi Gayi Sarhadein, Jaane Kyun Hua Batwaara,.

Dikhti Nahi Shayad Hume Zameen Padosi Mulk Ki,.
Magar Aasmaan Wohi Hai Aur Wohi Hai Har Sitaara,.

Kyun Ladaai Hai Aapas Mein, Kyun Mazhab Ki Jung Hai,.
Bhool Gaye Hum Lahoo Ka Rang, Bhool gaye Bhaichaara,.

_________________________________-Azeem-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #22 on: July 02, 2008, 01:45:52 PM »
Kya Hamara kya tumhara
Insaan ko jab Khuda ne hai utaara
Phir kyun apne hi aangan men
Bhed bhaao ko pukaara
Kisi ne masjid ko hai mismaara
to kisi ne Mandir ko hai ujaada

Saazish thi koi badi
Koi samajh na paaya
Koi sabr se tha mahroom
To kisi ko josh men paaya
Baabri ho gayi qurbaan
Aur desh pure ko bachaaya


Baabri kah gayi mit-te mit-te
Na lado insaanon madir masjid pe
Bhaichaare ko na karo tabaah
Gar chaahte ho desh ki falaah


(SN)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: July 02, 2008, 01:50:46 PM »
Nice One Syed naami Bhai,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #24 on: July 03, 2008, 04:10:04 AM »
Bhai Azeem Aapne To Is Ash'ar se apna Aqeeda Zahir Kar diya.

"Sab Ka Malik Ek Hai, Rab Ek Hai Hamaara,."

Subhan Allah

Bhai Aapne Isharo Me Padosi Mulk Se Bhi Dosti-Bhaichare Ki Baat Kahi Hai..

" Dikhti Nahi Shayad Hume Zameen Padosi Mulk Ki,."

Puri Nazam Saaf-saaf Lafzo Me Bahot Khoob Hai..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #25 on: July 03, 2008, 04:26:56 AM »
Kya Hamara kya tumhara
Insaan ko jab Khuda ne hai utaara


Bahot Hi Umda Aur Aqeede Wali baat Kahi Hai Bhai Syednaami Aapne..

Saazish thi koi badi
Koi samajh na paaya


Beshak Shahi Kaha Aapne..

Baabri kah gayi mit-te mit-te

Ye Paygaam-e-Baabri Ne Mustaqbil Ki Jaanib Ishara Kiya Hai..

Bhai Syednaami Nice One..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #26 on: July 03, 2008, 07:27:52 PM »
Kya Hamara kya tumhara
Insaan ko jab Khuda ne hai utaara


Bahot Hi Umda Aur Aqeede Wali baat Kahi Hai Bhai Syednaami Aapne..

Saazish thi koi badi
Koi samajh na paaya


Beshak Shahi Kaha Aapne..

Baabri kah gayi mit-te mit-te

Ye Paygaam-e-Baabri Ne Mustaqbil Ki Jaanib Ishara Kiya Hai..

Bhai Syednaami Nice One..

Raza bhai,,, bas yun samajhiye ki goron ki lagaai aag ab tak sulag rahi hai...
Aur jahan amn tha koi ghair na tha wahan firangi shar pasandon ne nafraton ke beej bone se lekar usko tanaavar darakht hone tak koi kasar nahin chhodi...
Aap ka mamnoon hun jo mere alfaaz ko apne alfaaz se sajaya...
Shukriya...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #27 on: July 04, 2008, 04:27:10 AM »
Raza bhai,,, bas yun samajhiye ki goron ki lagaai aag ab tak sulag rahi hai...
Aur jahan amn tha koi ghair na tha wahan firangi shar pasandon ne nafraton ke beej bone se lekar usko tanaavar darakht hone tak koi kasar nahin chhodi...
Aap ka mamnoon hun jo mere alfaaz ko apne alfaaz se sajaya...
Shukriya...


shukriya syednaami Bhai..
Main Teen Topic..Baabri.,Tipu.,Naat Sharif.,
Baar-Baar Soch Samaj K Padhta Hun.,

Aap Ne So-Fi-Sadi Durust Baat bataee..!


 
Logged
diya786
Guest
«Reply #28 on: July 04, 2008, 04:37:38 AM »
bahut accha likha hai jaanasheen ji, muhammed sahab, syaed sahab
padh kar laga ki sabhi ke mutallik sochne wale log abhi bhi hain is jahan mein
mohabbat dene wale abhi bhi hain
its great and very toching also
muhammad sahab aapki definations ke liye bahut bahut shukriya
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #29 on: July 04, 2008, 05:26:23 AM »
shukriya Diya786 sahiba..

Na Gora Na Kalaa.,
Na Hindu Na Musalmaan.,
Na Kafila Na Kaum.,

To Kaun The Woh..??

To Kis Ko Maara Gaya..??

Na Hisaab Na Shumaar.,

Kisi Ko Nahi.,

Zaalimo Ne Hadd karr Di.,

Insaniyat Ka Khoon Karr Diya..
Insaniyat Ka Zanazaa Nikal Diya..



Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 01:53:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer