****26/11...KA DARD*****(Riyaz)

by riyaz106 on November 27, 2009, 05:20:15 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2657 times)
riyaz106
Guest
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha
Kisi ko wo bhi pyare the, unhen bhi maa ne pala tha

Kisi ki maa bilakhti hai, kahin bachha sisakta hai
Kisi ne chheen li khushiyan, musalsal dil tadapta hai
Jinhone khoya apno ko, na unka haal bas puchho
Na unki raat hoti hai, na unka din nikalta hai

Kisi ki aankh ka tara, kisi ghar ka ujala tha
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha

_Riyaz 'Ashna'_
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My Shers...(Riyaz) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri
Kabhi to roshni hogi...(Riyaz) by riyaz106 in Share:Love Poetry
Is naye saal mein ..,(Riyaz) by riyaz106 in Other Languages
KHUD BHI ROYA WO BAHOT......(NM)(Riyaz) by riyaz106 in Share:Love Poetry
JAB TAK MAIN NA AAUN(NM)(RIYAZ) by riyaz106 in Share:Love Poetry « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: November 27, 2009, 09:48:29 AM »
Mashallah Bohat Achcha Likha Hai Dost, Bohat Achche,.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: November 27, 2009, 10:37:38 AM »
Shukriya Dost, Aap bhi bahut achha likhte hain. Masha Allah
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: November 27, 2009, 11:00:26 AM »
Bahut Khub Likha Hai Aur Sahi Likha Hai Riyaz Ji

Kyu Majhab Ke Nam Pe Karte Ho Begunah Pe Sitam
Band Karo Ye Ladai Ab Karo Ye Kissa Khatam
Bahut Ho chuka Ye Ek Dusre Ka Khun Bahana
Bhai Bhai Hokar Ladte Ho Kuch to Karo Ab Sharam
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: November 27, 2009, 11:24:09 AM »
Reply ka shukria Rishi bhai. Aapne sahi farmaya mazhab ke naam par khoon bahana sharm ki baat hai. Hum sab ka farz hai nafrat ki hawa ko chalne  na den aur muhabbat ko phailaen. Aapki poetry bhi bahut achhi lagi jo aapke achhe khayalat ko reflect karti hai. Thanks
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: November 27, 2009, 11:55:15 AM »
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha
Kisi ko wo bhi pyare the, unhen bhi maa ne pala tha

Kisi ki maa bilakhti hai, kahin bachha sisakta hai
Kisi ne chheen li khushiyan, musalsal dil tadapta hai
Jinhone khoya apno ko, na unka haal bas puchho
Na unki raat hoti hai, na unka din nikalta hai

Kisi ki aankh ka tara, kisi ghar ka ujala tha
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha

_Riyaz 'Ashna'

Wah! Kamaal ka likha hai aap ne Ashna Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: November 27, 2009, 11:56:37 AM »
Bahut Khub Likha Hai Aur Sahi Likha Hai Riyaz Ji

Kyu Majhab Ke Nam Pe Karte Ho Begunah Pe Sitam
Band Karo Ye Ladai Ab Karo Ye Kissa Khatam
Bahut Ho chuka Ye Ek Dusre Ka Khun Bahana
Bhai Bhai Hokar Ladte Ho Kuch to Karo Ab Sharam
Bahut khoob Rishi Ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #7 on: November 27, 2009, 01:29:42 PM »
Very Nice Riyaz Bhai
Bahoot Khoob Likha  Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: November 27, 2009, 01:53:04 PM »
Reply ka shukria Rishi bhai. Aapne sahi farmaya mazhab ke naam par khoon bahana sharm ki baat hai. Hum sab ka farz hai nafrat ki hawa ko chalne  na den aur muhabbat ko phailaen. Aapki poetry bhi bahut achhi lagi jo aapke achhe khayalat ko reflect karti hai. Thanks

Bahut Bahut Shukriya Riyaz Bhai Aur Hum Sab Chahte Hai Ki Ye Dange Fasad Band Ho Jaye Aur Sab Chain Ki Zindagi Basar Kare
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #9 on: November 27, 2009, 01:53:32 PM »
Bahut khoob Rishi Ji

Bahut Bahut Shukriya Rajesh JI
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #10 on: November 27, 2009, 09:09:19 PM »
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha
Kisi ko wo bhi pyare the, unhen bhi maa ne pala tha

Kisi ki maa bilakhti hai, kahin bachha sisakta hai
Kisi ne chheen li khushiyan, musalsal dil tadapta hai
Jinhone khoya apno ko, na unka haal bas puchho
Na unki raat hoti hai, na unka din nikalta hai

Kisi ki aankh ka tara, kisi ghar ka ujala tha
Tumhara kya bigada tha, jo unko maar dala tha

_Riyaz 'Ashna'


Bohat acha likha hai aap ne its very true bohat ache Applause Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #11 on: November 27, 2009, 09:10:51 PM »
Bahut Khub Likha Hai Aur Sahi Likha Hai Riyaz Ji

Kyu Majhab Ke Nam Pe Karte Ho Begunah Pe Sitam
Band Karo Ye Ladai Ab Karo Ye Kissa Khatam
Bahut Ho chuka Ye Ek Dusre Ka Khun Bahana
Bhai Bhai Hokar Ladte Ho Kuch to Karo Ab Sharam

Bohat khoob very nice good Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #12 on: November 28, 2009, 07:32:28 AM »
Bohat khoob very nice good Applause Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Khushi JI
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: November 28, 2009, 04:49:08 PM »
Dear Pank ji and Pari ji poetry pasand farmane kb bahut shukria.
.
Badha ke hausla mera, Bada tohfa diya tumne.
Mila hai dhup mein saya, safar aasa.n kiya tumne.

_R.Ashna_
.
Thanks
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #14 on: November 29, 2009, 08:57:40 PM »
Bohat ache very nice...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:31:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer