A Salute To Shaheed Tippu Sultan,.

by Jaanasheen on May 26, 2008, 02:07:22 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 39754 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #45 on: June 11, 2008, 11:42:14 AM »

  Carvaa'n Ka Carvaa'n Goom Ho Jaye
  Yeh Ho Nahi Sakta,
  Amir-e-Carvaa'n Tu Kahin Kis Kadar Raah Bhula Hain,
  Idhar Udhar Ki Baat Na karr,
  Muze Ye Bata,
  Ki Carvaa'n Kyoon loota..?
  Muze Rehzano se Garz Nahi,
  Teri Rehbari Ka Suwaal Hain..!!
                               - Raza


Nice One Bhaijaan
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #46 on: June 11, 2008, 02:27:09 PM »


          Mardan-e-Hind

Bab-e-Azaadi ka pahela Varq  Kahun   Tuze,
Barg-e-Sagir-e-Hind  ka  Nasib  Kahun  Tuze,
Fakhr-un-nisa  Fatima ka Fakhr Kahun Tuze,
Ya’ne Ali hayder ka Para–e-Jigar Kahun Tuze….

Shano-shauqat Sirat-o-Surat Vo Andaje Khaaki,
Ya’ne   Misl-e-Aftaab-o-Mahetaab Kahun Tuze…

Heela Kar Rakh di Bunyaade Kasr-e-Shahii ko,
Ya’ne  Jazba-e-Mard-e-Muzahid Kahun Tuze…

Gurur-e-Takhte shahi  Ko Dhul  Chatai  Bar-bar,
Ya’ne  Garzata-Sokhta Sher-e-Babbar Kahun Tuze…

Wo Jango Ju Wo Mahir-e- Fann-e-Harab-o-Zarb,
Ya’ne  Hind Ka Shamshir-e-be-Niyam  Kahun Tuze…

Harr Kaum-o-Millat ke Dard Se Sada  Gamzadah Raha,
Ya’ne Sadaqat-o-Adalat-o-Shuja’at ka Paikar Kahun Tuze…

Be Intehaa’n Kaum-o-Millat  ki Mohabbat  Ka Markaz,
Ya’ne Amir-e-Carva, Rahabar-o-Rehnuma Kahun Tuze…

Hindosta ko diya Jisne  Pahela Tohafa Rocket-Missaeil Ka,
Ya’ne Waqt ka Science da Mohakkiq Mahir  Kahun Tuze…

Tu Tanha Fathul Mujahedin-Fateh Ali, Mardan-e-Hind
Ya’ne “Raza” Mastan-o-aualia ki Dua-o-Karamat Kahun Tuze…

             --Salaam to great Tipu Fateh ali ibne Hyder ali
 
                                            Muhammed "raza"
   Dosto Tehzib va shriyat pehli baat hai agar meri is Nazm me Koi aisa Jumla Likha ho Jo Khilafe sharah ho to muje Khabar karo profile id se.baray-e-karam. 


Muhammed "raza" Jee behtareen kalam likha hai aapne  Applause  Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #47 on: June 12, 2008, 05:38:18 AM »
Azeem bhaya aur Raza Saahib dono ne kamaal ki paishkash di hai...
Wah SubhanAllah...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #48 on: June 15, 2008, 12:48:47 PM »
Shukriya Syed Naami Bhai,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #49 on: June 16, 2008, 09:50:45 AM »
        Paygam-e-sher-e-Mughal

Tipu Ka Paygaam Shahi - Hukumat Ke Naam,
Saha Na Jayegaa Zulm-o-Sitam Aub Ke  Baad,
Karr diyaa Hai  Humne Sar-e-aam Ye Ealaan,
Chhuda  Yenge  Zalimo’n  Ko  Ye Hindostan…

Aaj Tum Nash-e-Taqqat Me Ho Shar-shaar Bahot,
Tum Samazte Ho Ke Hain Barod-o-Talwaar Bahot,
Tum Ne Jo Raah Chunie  He Wo Galat Hai Bilkool,
Tum Ne Jo Soch Rakkha He Wo Galat Hai Bilkool…

Jism Mitt Jata Hai Nahi Mitataa Hain Insaan,
Dhadkane Ruk Jati Hai Nahi Rukte Hai Arman,
Sanse Thum Jati Hai Nahi Tutataa Hai Ealaan,
Honth Jum Jate Hai Nahi Badaltaa Hai Farman..

Tumhara Zor Mere Zamir  Ko Dabaa Sakata Nahi,
Inn Haatho’n  Se Talwaar Chhuda Sakata  Nahi,
Main Sirf Allahu-wa-ahadahu Ko Sajda Karta Hun,
Muze  Kissi Ki  Huqoomat  Zukaa  Sakati  Nahi…

Zulm Se Garr  Baaz Na Aao Ge To Pachhtaao Ge,
Hum To Miten Ge Tum Bhi To Mitaa Diye Jao Ge..

Sheesh-e-Dil-e-Hindostani Jab Bhi Todaa Jayegaa,
Tut Karr  Fir  Wohi  Khanjarr  Me Badal  Jayegaa,
Khun-e-Hindostani  Bahekar  Kya Rang  Layegaa,
Nikharkar Fir  Wohi Subh- e- Aazaadi  Layegaa…

Yeh Shauk-e-Shahaadat-e-Tipu Be-Asar Nahi Jayegaa,
Nara-e-shahadat Ban Ke‘Raza’Hind Me Gunj Ta Rahega ..!!!

         -- Salam Tujko E Great Shaheed Ali ibne Ali Mughal

                                                       Raza

Doston , Is Nazm ka Tisra Hissa “ Jism Mitt jata hai” he,Jo bahot pahele maine janab shahir Ludhyanavi  ke kalam me padha tha. Jisme sirf Insaan-Rooh-Jism Ki Baat kahi thi..Unke us Tawil Nazam se Maine Kayaas Kar K Char Misra  bana diya jo unki Puri Nazam Ka Nichod,saar,conclusion hain jo wo kehna chahte they. Bakiya Nazm meri Kavish se hain.






Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #50 on: June 16, 2008, 12:13:40 PM »
Subhan allah,.
Bahoot Khoob Likha Hai Firse,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #51 on: June 16, 2008, 12:16:30 PM »
Sadaayein Aaati Hain,
aaj Bhi Tipu Ki Gurbat Se.
To Marjaa Apni Izzat Par,.
Na Jee yun Zillaat Se.

_______________-Nm-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #52 on: June 17, 2008, 04:09:21 AM »
Shukriya Janasheen sahaab,Hazrate Tipu k Mauzu per to kalum rawa-dawa'n hai sub apne shayeir hazaraat ki..Aapse Gujarish Hai aap ek naya Topic shuroo kariye Jisme Hindostan k wo mujahid jo azadi k liye kurban ho gaye Jinka aaj namo nisha Kuch zalimo ne history se mita diya hai..Insha-allah mere maqsad unko sare-aam awaam k samne lanaa hai aur Tipu To apni Ibteda hai,Intehaa'n-e-kalaam to khuda janta hai sirf.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #53 on: June 17, 2008, 02:06:38 PM »
Marke Bhi Karz mitti Ka Chukaa Gaye Wo,.
Hamaare Aaj ke Liye Apna kal Mitaa Gaye Wo,.

________________________________-Jaanasheen-.

Ek Salaam Shaheedon ke naam,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #54 on: June 17, 2008, 02:16:42 PM »
Buhat khoob dosto..   icon_salut
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #55 on: June 19, 2008, 04:57:25 AM »
sukriya honeyrose saahiba
Janab jaanasheen sa'b Aape jo naya topic shuru kiya hai par main as per rules reply shayad kar nahi sakta. Aur Jyada muje is bare me ilm nahi k kitne post ya reply to post main PM ka reply de sakta hun..? Bara-e-karam jawaab ka talabgaar hun.

Dushmano'n Pe Ban ke Chamkaa Woh Zulfikar-e-Haidree
Apno Me Raha Jaise chamaktaa Woh Shabnam-o-Reshamee..!
Conti..
                                                       
                            -- Salam Tuzko E Shamshir-e-Hind
                                         
                                                Raza     
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: June 22, 2008, 09:47:02 AM »
Inshallah zaur Hum naya Topic Open Karenge,.
Waise Bahoot Achche Line Bayaan Kiye Hain Aapne,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #57 on: June 23, 2008, 05:06:43 AM »
Thanks,
Bhai Jaanasheen.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #58 on: June 23, 2008, 09:27:42 AM »
Kitni Khushnaseeb Thi Wo Maa, Jisne Tumhe Paida Kiya,.
Jis Shaheed Ki Maut Ne Bhi Desh Ko Bahoot Faida Kiya.,,

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #59 on: June 23, 2008, 10:01:08 AM »
Thik Kaha Bhaai
Tum Ne,
Wo Maa Ki Azmate Kya Hogi Jiski
Guad Main Hidostan Ka Sartaj
Apna Surr Zukaaye Let Ta Ho..
Wo Surr Ki Jis ko Zukane K Liye,
Zalimo Ne Pura Zorr-Taqate Lagaa di,
Parr Kuch Na Karr Sake Wo..

Bhai Main To Khusnaseeb Tipu Ko Samaj Ta Hun..!!!


                                  -- Raza
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 10:12:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer