Aaj Ka Mera Desh

by Roja on April 08, 2007, 10:02:15 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 17
Print
Author  (Read 16803 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: July 12, 2007, 09:18:02 PM »
bahoot khoob Roja, very true!!! bahoot acha likha hai apne!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERA DESH....MERA JAHAN..!!!!!!!! by badnaam_shayar in Shairy-E-Watan
Mera Desh by Shayaries_King in Share:Patriotic Poetry
------ /// Desh Mera Mahaan /// ----- by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri
Mera Desh India by songwriter_123 in Share:Patriotic Poetry
Roja
Guest
«Reply #31 on: July 14, 2007, 06:40:46 PM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Roja, very true!!! bahoot acha likha hai apne!!



Thanks Pooja di... aap b kuch likhte toh maza aajata ... Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #32 on: July 14, 2007, 06:44:24 PM »
Yeh gaya hota wahan ya woh gaya hota
Jal rahi basti main kuch toh reh gaya hota

Ek pattar tha jisse sab aadmi kehte rahe
Aadmi yadi tha, pigal kar beh gaya hota

Dharam ke chehre pe cheete aadmi ke khoon ke
Ishwar hota toh kaise seh gaya hota

Aadmi ho aadmi tum per na sudhroge kabhi
Dekhkar yeh khoon-pashu bhi keh gaya hota

Tum giroge is tarah, maloom jo hota usse
Sharam se dhancha swayam hi teh gaya hota..

Roja
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: July 18, 2007, 12:27:43 PM »
Ethihas ke fasanon main Bharat ka ye ateeth hai
Wafa ki ismain haar hai jafa ki ismain jeet hai

Kurbaniyan shaheedon ki jahan main jinke aaj hai
Sach hai unko Gandhi aur ehru ka hi naz hai
Indira ke baad Rajeev ki mit gayee hai zindagi
Desh ke ekta akhandta ki khokhli awaaz hai
Aatangwad ke taranon main maut ka sangeet hai
Wafa ki ismain haar hai jafa ki ismain jeet hai..

Daasta ke mare they sab angrezon ke kaam main
Aise kat rahe they din machli jaise jaal main
Aazadi ke matwalon pe baras rahi thi goliyan
Inkalab ka nara de rahe they berbadi ke haal main
Yadon ke khoon se rangi, gardishon ki bheet hai
Wafa ki ismain haar hai jafa ki ismain jeet hai..

Bhagat Singh toh bhagi tha goron ki jaan ke liye
Chandrashekar mit gaye aakhir main shaan ke liye
Dushman se loha lene ka aazaad hindi fauz main
Netaji Subhash khab gaye be-maut aan ke liye
Likhe hai kale pani pe Sawarkar ke geet hai
Wafa ki ismain haar hai jafa ki ismain jeet hai..

Ethihas ke fasanon main Bharat ka ye Ateet hai
Wafa ki ismain Haar hai Jafa ki ismain jeet hai..

Roja
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #34 on: July 24, 2007, 11:54:41 PM »
Sansad main ye mara-mari, kitne din ab aur chalegi?
Netajiyo ki ye makkari, kitne din ab aur chalegi?

Tyre gisse, purana engine, zarzar bhandi sadi-gali hai
Ye Delhii ki bas sarkari, kitne din ab aur chalegi?

Aisi huyee vevasta jis.se sara aalam rog-grahasth hai
Yaaron ye bhasi tarkari, kitne din ab aur chalegi?

Lakhon log jahan per dane-dane ko mohtaz bane ho
Wahan utstavon ki taiyari, kitne din ab aur chalegi?

Loot-khasot machi hai "Roja" manavta ka pata nahi hai
Is halat main duniyadhari... kitne din ab aur chalegi???

 :?:  :?:
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #35 on: July 30, 2007, 04:21:04 PM »
Yeh kalam kisii ka dil dukhane ke liye nahi hai... Bas yu hi jo
aankhon se samne hota hai wohi humne yahan likhne ki
koshish ki hai. Mai kisii ko point out nahi kar rahi hu...
Plz mujhe aapka comments ka intezar rahega..

************************************************************
[/color]

Unka Delhi main hua jabse tikana aajkal
Chod baite gaav ki galiyon main aana aajkal

Fayide hi fayide jab chatukari main dikhe
Aa gaya unko bhi juk.kar dhum hilana aajkal

Khoon jab se thaad main unki, garibon ka laga
Chod di hai rotiyan mehnat ki khana aajkal

Aacharan satta main jate hi badal kaisa gaya
Ve rahe bandook ka woh hi nishana aajkal

Koyee bhi laye, garibon ko budget waisa hi hai
Jaise nayee bottal main aaya vish purana aajkal

Sabj bhagon ko sabhi ke dekh janta ne liya
Hai nahi aasaan votwer ko rijana aajkal..

Roja
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #36 on: August 05, 2007, 11:48:57 AM »
योजनाए इतनी मेहरबान हो गाये
ग़रीबों की बस्ती शमशान हो गाये

ग़रीबी हटाओ फ़ॉर्मूला यू हुआ सिद्ध
झोपड़ी को नोचने लगे मेहलो के गिद्ध

माजधूर किसान का आलम देखा फ़क़ीर
हराम के दलाल हो रहे अमीर

7 साल का बक्चा है बेर्तान धोने विवश
शर्म नही है फिर भी मानते बाल दिवस

हरशू है ओफ़फ़सरों का तानाशाही धमाल
फ़रियादी का है जानवरों जैसा हाल

धीरे धीरे तबाह हो रहा है देश
लादेन है धरे अशक़ गाँधी का भेष

********
Yojanaye itni meharban ho gaye
Garibon ki basti shamshaan ho gaye

Garibi hatao formula yu hua siddh
jhopadi ko nochne lage mehlo ke giddh

Majdhur kisan ka aalam dekha fakir
Haram ke dalaal ho rahe ameer

7 saal ka baccha hai bertan dhone vivash
Sharm nahi hai phir bhi mante Bal Divas

Harshu hai offsaron ka tanashahi dhamal
Fariyadi ka hai jaanwaron jaisa haal

Dhire dhire tabah ho raha hai desh
Laden hai dhare ashq Gandhi ka bhesh
[/color][/size]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #37 on: August 05, 2007, 11:52:15 AM »
Roja

=D> =D> =D>

I really admire ur patriotic thoughts !

Shabash !
Logged
Roja
Guest
«Reply #38 on: August 09, 2007, 02:32:24 PM »
Wade, sukoon, kwaab ke manzer naye-naye
Is kagaji hayat ke tevar naye-naye

Tum aaine ko dekh ke aksar naye-naye
Badle herek mod per rahber naye-naye

Khud hi lahuluhan hai ghar ki haqikatein
Mat fekiye fareb ke pattar naye-naye

Is zindagi main ab kahan sharmindagi rahi
Her din talashti rahi bistar naye-naye

Saheb, huzur, kurchiyan in sab ke bawajood
Footpath per mile kayee beghar naye-naye

 
[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #39 on: October 10, 2007, 12:02:13 AM »
Gamlon main kaiktax ko ugane lage hai log
Pholon ko is tarah se chidane lage hai log

Bazarwad main to ye hona tha ek din
Insaniyat ke dham lagane lage hai log

Is bar bhi chunav main bahumat nahi diya,
Aakrosh is tarah se dikhane lage hai log

Fir se wahan pe ek nayii sharth aa gayi
Jab lag raha tha raah pe aane lage hai log

Mazhab hai yaad aur kahi jhathi yaad hai
Ab aadmi hai kya ye bhulane lage hai log

Dekho athithi ke samne jyada na khansna
Ab vriddh baap ko ye batane lage hai log

Khud jinko apne farz nahi yaad hai "Roja"
Auron ko unke farz batane lage hai log..
[/color][/size]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #40 on: October 10, 2007, 07:27:45 AM »
Roja

Marvellous ! =D> =D> =D>

Last 4 lines are just beautiful =D>
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: October 10, 2007, 07:28:12 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob roja!!!! bahoot acha aor sucha likha hai!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #42 on: October 11, 2007, 02:45:04 PM »
Thanks Raj ji and Pooja di  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #43 on: October 14, 2007, 09:16:00 AM »
Insano ke taur-tarike na seekha sikhlane se
Khamba dekh ke baaz na aaya kutta taang utane se

Itna dard nahi hai usko izzat ke loot jane ka
Jitna gam hai banjaran ko kapdon ke fat jane se

Durgatna se dher bhali hai roj tujhe samjaya tha
Phir bhi tu aamon ka chabda lekar guzra thane se

Uska goshth nahi khane ka dawa kaccha hai jiske
Muh main paani ber aata hai bakri ke mimiyane se

Jyada number lane se hi baath kahan bann jati hai
Seat mila karti hai bete... jyada paise lane se...

Roja
[/color][/size]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #44 on: October 14, 2007, 11:30:14 AM »
Roja

Very true =D>

Keep going ! We have to do a lot for the country ! :arrow:b
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 17
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:43:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer