Aaj Ka Mera Desh

by Roja on April 08, 2007, 10:02:15 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 17
Print
Author  (Read 16798 times)
Roja
Guest
«Reply #75 on: May 14, 2008, 05:08:36 AM »
Clapping Smiley Exceptional

Bahut bahut shukhriya Syed ji..Yu hi aate rehna
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERA DESH....MERA JAHAN..!!!!!!!! by badnaam_shayar in Shairy-E-Watan
Mera Desh by Shayaries_King in Share:Patriotic Poetry
------ /// Desh Mera Mahaan /// ----- by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri
Mera Desh India by songwriter_123 in Share:Patriotic Poetry
syednaami
Guest
«Reply #76 on: May 14, 2008, 11:53:37 AM »
I don't think so.
Logged
Roja
Guest
«Reply #77 on: May 14, 2008, 11:58:43 AM »
I don't think so.

Ok As You Wish
Logged
syednaami
Guest
«Reply #78 on: May 14, 2008, 01:12:18 PM »
Nice wish!  Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #79 on: May 14, 2008, 01:20:29 PM »
Nice wish!  Applause

Kisii yoddha se nikal gaye baadal baras baras ke khoob
Rang dharti ka badal gaye baadal baras baras ke khoob

Charon taraf nazaron ki ud rahi hai titliyan
Jalwa dikhane meghon ko kadak rahi hai bijliyan

Suhane ruth main tal gaye baadal baras baras ke khoob
Dariyawon ka surur hai nadiyon ke ufaan per
Mausam ke geet baj rahe lehron ki juban per

Sagar main aakar fhal gaye baadal baras baras ke khoob
Fasal bahara kheton mein nache hai mor pyar ke
Haseen vadiyon main rang khile hai hersingar ke
"Roja" ke sang tehal gaye baadal baras baras ke khoob..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #80 on: May 14, 2008, 01:49:13 PM »

wow too good Roja... Applause

Desh Ki Chahat Main Ho Gaye Hoon Be-Qaabuu
Har Taraf Hai Ujaala Par Na Diye Jale Ho Gaye Be-Qaabuu
Aasmaan Ney Aapni Aanchal Par Uta liye Hai Mujhe Ho Gaye Be-Qaabuu
Har Taraf Shor Machi Hai Aur Dil Main Ek Shant Sa Aab-o-havaa Ho Gaye Be-Qaabuu
Ik Awaaz Si Maa haul Cha Gaye Hai Iss Desh Par Ho Gaye Be-Qaabuu
Logged
Roja
Guest
«Reply #81 on: May 14, 2008, 01:51:45 PM »
wow too good Roja... Applause

Desh Ki Chahat Main Ho Gaye Hoon Be-Qaabuu
Har Taraf Hai Ujaala Par Na Diye Jale Ho Gaye Be-Qaabuu
Aasmaan Ney Aapni Aanchal Par Uta liye Hai Mujhe Ho Gaye Be-Qaabuu
Har Taraf Shor Machi Hai Aur Dil Main Ek Shant Sa Aab-o-havaa Ho Gaye Be-Qaabuu
Ik Awaaz Si Maa haul Cha Gaye Hai Iss Desh Par Ho Gaye Be-Qaabuu

Simply Good Honey dear. Bahut accha likha hai tumne.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #82 on: May 14, 2008, 02:01:06 PM »
Thanks Roja dear..Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #83 on: May 15, 2008, 03:04:14 AM »
Kisii yoddha se nikal gaye baadal baras baras ke khoob
Rang dharti ka badal gaye baadal baras baras ke khoob
.........
Sagar main aakar fhal gaye baadal baras baras ke khoob
Fasal bahara kheton mein nache hai mor pyar ke
Haseen vadiyon main rang khile hai hersingar ke
"Roja" ke sang tehal gaye baadal baras baras ke khoob..

(Is 'Nice Wish' A title of above poem?)

Ufaq se koi awaaz aayi, -
Tere desh men badi tabdeeli aayi, -
Jahan aata chawal naapaid hua, -
aur bhook ne li hai angdai, -

Ghareeb khata tha aadhi roti, -
Ab Woh bhi usse chinwai, -
Manhgai hans hans kar dole, -
Aate ki qeemat aasman se takrai, -

Koi game khaile hai adliya ki, -
To koi hukumat ke jod tod ki, -
Awaam ko yeh sab nahin chahiye, -
Do waqt ki roTi ko woh hai roti, -

Sab ne aankhen hain band ki, -
Kaanon men  hamare rooi hai padi, -
Dekh kar bhi andhe kahlayen, -
Hum awaam ki hai yeh behissi. -

(Syed Naami)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #84 on: May 18, 2008, 11:27:19 AM »
Subhan Allah,.
Roja Ji,.
Kamal ka Likha Hai Apne,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #85 on: May 18, 2008, 11:32:41 AM »
Aaj Ka Desh Mera, Phasa Hai Uljhanon Mein,.
Khoya Hai Chain Se, Mashgool Hai Dhamakon Mein,.

Haal Hi Me Hua Jo Dhamaka Jaipur Me, Hazaron Marre,.
Aur Hum Khush Hai Dekho Yahaan Apna Gharon Mein,.

Kaise Hai Ye Log Jo Bekaar Mein Waar Karte Hain,.
Inki Shaitaniyat Se Dekho, Kitne Lachaar Marte Hain,.

_____________________________________-Jaansheen-

Logged
syednaami
Guest
«Reply #86 on: May 18, 2008, 01:05:05 PM »
Aaj Ka Desh Mera, Phasa Hai Uljhanon Mein,.
Khoya Hai Chain Se, Mashgool Hai Dhamakon Mein,.

Haal Hi Me Hua Jo Dhamaka Jaipur Me, Hazaron Marre,.
Aur Hum Khush Hai Dekho Yahaan Apna Gharon Mein,.

Kaise Hai Ye Log Jo Bekaar Mein Waar Karte Hain,.
Inki Shaitaniyat Se Dekho, Kitne Lachaar Marte Hain,.

_____________________________________-Jaansheen-

Jee buhat hi ghamzada karne waali khabar thi, aur saheeh farmaaya hum logon ko ahsaas tak na hua us kaandh ki kya beeti hogi jin ke gharon men maatam ka samaan hoga, sab ko bas apne nafs ki fikar lagi rahti hai. Buhat ranjeeda the hum uss din. In darindon ko aur Zaalimon ko Allah Taala khaakastar kare aur jahanum raseed kare iss duniya men....
Logged
Roja
Guest
«Reply #87 on: May 22, 2008, 04:12:39 PM »
Haat samaiy ke kanjar dekh,
Faile jantar-mantar dekh

Sacchayi ka haal na pooch,
Bikhre asthi-panjar dekh

Guna-bhag mein vyasth rahe,
Pyase pade samandar dekh

Khad, swarth ki adhik padi,
Huyi bhawna banjar dekh

Kab tak sangarenge Ram,
Gali-gali das-kandhar dekh

Mere hasne per math jaa,
Ghav anginat andhar dekh
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: May 22, 2008, 04:23:22 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob Roja!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #89 on: May 29, 2008, 11:15:04 AM »
Sahi Kaha Hai Aapne Bhi,.
Syed naami,.
Ji,.
Waise Nice One Roja Sis,.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 17
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:27:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer