AANKHON SE PATTI KHOLO - SARVESH RASTOGI

by SARVESH RASTOGI on May 24, 2009, 05:45:05 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3146 times)
SARVESH RASTOGI
Guest
SAMPRADAYA KE THEKEDARO AANKHON SE PATTI KHOLO
BHAI HOKAR BHAI KI GARDAN PER KHANDA MAT TOLO

JANG-E-AAZADI ME SABNE MIL KAR KADAM BADHAYA THA
KYA PUNJABI KYA BANGALI SABNE KHOON BAHAYA THA
HINDU MUSLIM SIKKH ISAYEE SABNE VACHAN NIBHAYA THA
AAZADI KE MAHAYAGYA ME KAUN AKELA THA BOLO

AAZADI PAAKAR PHIR SABNE MIL KAR NAV-NIRMAN KIYA
ANBAN ME BHI SANG RAHE SABKO SAMUCHIT SAMMAN DIYA
PADI ZAROORAT SARHAD PER TO SABNE SEENA TAAN DIYA
EK SOOTRA ME BANDHI HUYEE PHOOLON KI MALA MAT KHOLO

BAAR BAAR ALGAOWAD KE MUDDE KYON UCHHALTE HO
DHARM JAATI BHASHA KE DAM PE KYON NUKSAN CHAHTE HO
KYON PAAWAN MITTI ME SAMPRADAYIK ZAHAR DALTE HO
GANGA JAMNA KI DHARA ME ZAHAR NA KOI TUM GHOLO

AAZADI AKSHUNDYA RAHE NISCHIT HUMKO KARNA HOGA
BHARAT BHOOMI SWATANTRA RAHE ISLIYE SWARTH TAJNA HOGA
DHARM JAATI SAB SANG RAHEN BALIDAN AHAM KARNA HOGA
CHANDI KE KUCHH SIKKON SE APNI AKHANDATA MAT TOLO

JIS MITTI ME JANME HAIN HUM US MITTI SE PYAR KAREN
SHANN NA GHATNE PAYE TIRANGE KI AISA  VYAVHAR KAREN
AAO SAB MIL KAR BAPU KE SAPNO KO SAKAAR KAREN
EK BAR PHIR SAB MIL KAR BHARAT MATA KI JAI BOLO

SARVESH RASTOGI
PHONE 9810391523
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
IS WATAN KE LIYE - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shairy-E-Watan
KUCHH SHER (PT-1) - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
KUCHH SHER (PT-2) - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bhakton ke Bhagwan - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayari-e-Parastish
Aa jao ki ab in aankhon main barsaat utarti jati hai - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: May 24, 2009, 06:35:33 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause

Fantastic.. bahoot hi Shandaar kavita pesh ki hai aapne Sarvesh Ji...Bhoot hi sach kaha hai aapne... Superb!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 24, 2009, 08:32:10 PM »
Bahut bahut bahut khoobsurat likha hia Sarvesh Ji aapne.

Aaj sabko pata hia ke ye Aazaadi kitni mushkil se mili hai. Par kisi ko ehsaas nahi hai ke dharm ke naam pe ladne se un shaheedon ka dil kitna rota hoga.

Ye Baat logonke samajh mein aa jaaye to zindagi ka rukh kuch aur ho, zindagi ki khoobsurti kuch aur ho.

Very well written Sarvesh Ji..

A salutable poem by you.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: May 24, 2009, 09:00:06 PM »
beautiful creation sarvesh ji,very ice,keep it up. Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2009, 03:13:37 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

Fantastic.. bahoot hi Shandaar kavita pesh ki hai aapne Sarvesh Ji...Bhoot hi sach kaha hai aapne... Superb!

Bahut bahut shukriya Sophi Ji
Aapki talian mera inam hain
SARVESH RASTOGI
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2009, 03:23:53 PM »
Shukriya Angel Ji
Aapne meri baat ko apne dhang se aur aage badhaya, Dhanyawad.  Sach me desh aur samaj ki halat kuchh aisi hi ho gai hai.  Isi ke liye maine likha tha ki -

JIS DHARTI PER PRABHU TUMNE JEE BHAR KAR PREM LUTAYA THA
KHEL KHEL ME HI JEE BHAR KAR MAKHAN DOODH BAHAYA THA
US DHARTI PER HI PRABHU JI AB NADI RUDHIR KI BAHTI HAI
JAATI DHARM BHASHA PER AKSAR HINSA HOTI RAHTI HAI
MANTRA-MUGDH KAR DE JO JAG KO MURLI KI WHO TAAN SUNAO
TARAS RAHA HAI MAN MAYUR KARUNA KE GHAN GHIR KAR AAO

Kindly keep on encouraging.

SARVESH RASTOGI
Logged
naamgum
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2009, 08:28:04 AM »

ati uttam rastogi jee
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #7 on: May 26, 2009, 12:25:41 PM »
Shukriya Madhuwesh Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #8 on: May 28, 2009, 02:33:56 AM »
Bahut Shukriya Naamgum Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: May 28, 2009, 01:54:17 PM »
Quote
JANG-E-AAZADI ME SABNE MIL KAR KADAM BADHAYA THA
KYA PUNJABI KYA BANGALI SABNE KHOON BAHAYA THA
HINDU MUSLIM SIKKH ISAYEE SABNE VACHAN NIBHAYA THA
AAZADI KE MAHAYAGYA ME KAUN AKELA THA BOLO

Quote
BAAR BAAR ALGAOWAD KE MUDDE KYON UCHHALTE HO
DHARM JAATI BHASHA KE DAM PE KYON NUKSAN CHAHTE HO
KYON PAAWAN MITTI ME SAMPRADAYIK ZAHAR DALTE HO
GANGA JAMNA KI DHARA ME ZAHAR NA KOI TUM GHOLO

Bahut accha likha hai..Sach kahu toh Azadi jab milal hame
tab ka leaders k soch aur ab ka soch mein bahut badlav hai.
Aaj religion pe maara peeti ho raha hai, Bhashawon mein khoon karaba ho raha hai... I really feel sad.


Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #10 on: May 28, 2009, 05:22:46 PM »

behad achha likha hai aapne

bahut umda Sarvesh ji

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut Shukriya Kaash Ji
Aapki taliyan meri kamai hain
SARVESH RASTOGI
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: May 28, 2009, 06:54:16 PM »
Very well written, very well presented....a very impressive creation.....Very nice thoughts.....Bohot Khoob Sarvesh Ji
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #12 on: May 28, 2009, 09:00:04 PM »
SARVESH RASTOGI BOHOT HI UMDA KALAAM HE, WAAH....
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #13 on: May 29, 2009, 04:52:02 PM »
SHUKRIYA ROJA JI
I AM VERY MUCH IMPRESSED WITH YOUR THOUGHTS
THANKS A LOT FOR THE COMPLIMENTS
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: May 31, 2009, 02:53:21 AM »
SHUKRIYA ROJA JI
I AM VERY MUCH IMPRESSED WITH YOUR THOUGHTS
THANKS A LOT FOR THE COMPLIMENTS
SARVESH RASTOGI

Most Welcome Sarvesh Rastogi ji.. Usual Smile
(Me too impressed, with yr creations)

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:46:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer