AAZAD HINDUSTAAN

by jannatjahan on March 15, 2009, 02:49:55 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1308 times)
jannatjahan
Guest
KAISE EK INSAAN HAIWAN BANTA HAI AUR MADAD KARTE HAI HUM HINDUSTANI BHAI UNKO HAIWANIYAT APNANE ME, EK CHOTI SI KOSIS.

TUTI MACHAN KE NEECHE KUCH BIKHRE SAAMAN THE
WO NA JANTE THE TABHI GARIBI WO TABHI NAADAN THE

EK ADAD BICHOUNA, KUCH BARTAN , DHER SARI PARESAANIYAAN
BHUKH, LACHARI, NANGEPAN ME DAHAK RAHI THI UN MASUMO KI DUNIYA

EK WAQT KI ROTI UNKO NASIB NA THI JAHAN
ROJ NAYE PAKWANO KI DAAWAT UDATE THE HUM WAHAN

JAB KAPDE CHHOTE HUE AUR UNKI JISM BADHI
BAAP KI BEBAS AANKHEN, MAA KI PHATI SAREE UNKE AANKH GADI

NA SAMJHA JAB HUMNE UNKE JEEVAN KI MARM KO
KHADE HUE KHILAAF HAMARE WO BHUL KAR SARI BHRAM KO

WO BHI HAMARE BHAI THE JAB HUMNE UNHE NAHI SAMJHA
CHHOD GAYE WO SATH HAMARA NA THI JEENE KI KHAS WAJAH

HAR MOD PAR THOKAR MARA MAJAK BANAYA GARIBI KA
BADAL KAR CHOLA INSANIYAT KA TAB RUP DHARA AATANKI KI

AAJ SAR PAR WO HAMARE KHADE BANDUKE TAAN KE
JINHE DABAYA ZINDAGI BHAR HUMNE LAUT AAYE WO SHAAN SE

SOCHATI HUN KUSUR KISKA YA UNKA YA HAMARA HAI
APNE AAP ME JINE WALA JAHAN AAJ UNKE AAGE BECHARA HAI

ABHI SE BHI SOCH HAMARI JO THODI BHI BADAL JATI
RANJEESON KI CHINGAARI KABHI PYAR KA JAHAN NA JALA PATI

AAO SATH DEN UNKA HUM JO BEBAS , LACHHAR HAIN
APNE PYAR SE SHANT KAREIN UNKE SINE ME JO DEHAKTI ANGAAR HAI

JARURAT HAI AAJ THODA SA KADAM BADHANE KI
PADH RAHE JO PATH AATANK KA INSANIYAT KA PATH PADHANE KI

PEHLE BADLE KHUD KO HUM BAN JAYE SACHE INSAAN
TABHI HATEGA RAAJ AATANK KA SACH ME AAJAD HOGA HINDUSTAAN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aazad ha tu by aankhain in Miscellaneous Shayri
Dard Hindustaan Ka,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
AAZAAD HINDUSTAAN mb by marhoom bahayaat in Shairy-E-Watan
aazad bharat by chaarmee in Shairy-E-Watan
Aazad Bharat, Aazad Naari !! by RUHAANII in Shairy-E-Watan
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 15, 2009, 06:35:00 PM »
Subhan_allah bilkul nayee baat ki JJ tumne seedhe jadh tak pohchi ho tum is masle ke. Kitna sach kaha hain tumne ke garibi bohat had tak zimmedar hoti hain insaan ko bure raste pe dhakalne ke liye. Aur hame milkar pehle is garibi ka gala ghotna hain. Bohat Bohat khoobsurat peshkash............
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 15, 2009, 06:53:48 PM »
Jannat Ji,

Aapki ye tehreer qaabil-e-taareef hai....Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #3 on: March 17, 2009, 12:22:18 PM »
Subhan_allah bilkul nayee baat ki JJ tumne seedhe jadh tak pohchi ho tum is masle ke. Kitna sach kaha hain tumne ke garibi bohat had tak zimmedar hoti hain insaan ko bure raste pe dhakalne ke liye. Aur hame milkar pehle is garibi ka gala ghotna hain. Bohat Bohat khoobsurat peshkash............
shukriya Ghayel ji, bas aap mere sath rahein , main kosis karti rahungi.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #4 on: March 17, 2009, 12:28:00 PM »
Jannat Ji,

Aapki ye tehreer qaabil-e-taareef hai....Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
thanks celmira dear
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:15:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer