"Anna Hazaare kI Soch " Ek Nayi Lehar "Khwaish"

by khwaish on August 18, 2011, 10:33:04 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 5851 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Mr. Hazare lives on his pension from army services in a Very Small Room in the temple Of his village
 and says his campaigns are financed by voluntary donations by his supporters.
He is always seen in white clothes with a traditional Indian cap.

“The dream of India as a strong nation will not be realised
 without self-reliant, self-sufficient people,
this can be achieved only through social commitment & involvement of the common Man,”

And Here I Am Just Fighting for the Rights Of A Common Man -"Anna Hazaare"


Kuch Din pehle Ki baat hai jab Main Mere Doston ke beech iss Topic par baat kar raha Tha To uss Waqt Main Zyaada News channel ko follow na karte hue yeh keh gaya ke yeh Sab Publicity Stunt hai aur Kuch Nahi Par jab Mere dost ne mujhe Kaha ke Ek Baar Anna Hazaare ki Zindagi par Roshni daalo TO Tum Apni yeh Soch Badal Doge..Pichle 2 din se Maine jitna mere paas waqt tha,"Anna Hazare Ki Jeevni par Gaur kar raha tha aur mujhe yeh Mehsoos hua ke yeh Koi Publicity Stunt Nahi Par eK Sachi Bhaavna hai "Anna Hazaare Ji" ki,Jo Insaan mandir Ki Seedhiyo Par baithkar Apni Zindagi Beetata Hai Unhe Kya Zaroorat Hai kisi Publicity ki...Woh Iss Desh Ko Sahi maayno mein Azaadi Dilaana Chaahte Hai..Main Maanta hoon unki Maang Bahuttttt Mushkil Hai,Aur Shayad Kuch hadd Tak Na-mumkin bhi,par unki Himmat,Unki Soch Ko Daad dete Hue Kuch Likh Gaya Hoon....

Sadiyon Se jo Awaaz Dabi padhi Thi
Woh Aaj Phir Chilaati hai
Jaago Sone walo Ab Sahi waqt Hai
Har Disha se Awaaz Aati hai

Andher Nagari Chopat Raja Ka Khel Bahut Hua
Ab Praja Khud apna Raaj Chalati Hai
Desh To Azaad Hai par Desh-waasi Nahi!!!
Har Jagah Azaadi Ki Ab Maang Guungunati Hai

"Anna Hazaare" Ke Roop mein Ab har Ek Ko
"Veer Bhagat Singh" Ki chavi Nazar Aati hai,
Apni Jaan hatheli par Lekar Jo Chalte Hai
Duniya Bhi unke Aage Apna sar Jhukaati Hai

Hausle Buland ho To Manzil Door Nahi!!!
Himmat Insaan Ki Patharo Se Bhi Takraati hai
"lokpal Bill paas Ho sansad mein"
Aise naye Khwaab Aankhon mein Yeh Jagaati Hai

Yeh khwaab Jald hi haqeeqat ka Rang lenge
Humein yeh Nayi Lehar Aisa Vishwaas Dilaati hai
Mushkil Bahut Hai Raah yeh Jaante Hai Sab!!
Par Mushkile Hi insaan ke Sabr Ko Aazmati hai

Singhsaasan par Shaan Se baithkar Khaane walo
Ab Singhaasahan Khaali Karo ke Janta Ab Aati Hai
"Khwaish" Bharat Desh ki ek nayi tasveer nazar aati hai
Sone Ki Chidiya Vaapas Aane ke liye Ab Apne Pankh failaati hai

                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: August 18, 2011, 11:27:01 AM »
Dear Khwahish ji
I appreciate u for writing on Anna ji over this forum. this  shows that we are keeping our eyes open on issues related with national interest and not busy with our shayries only.
I request all the viewers/ members of this forum to support Anna ji "Modern gandhi" for his noble cause.
thanks once again.
Bacche bacche ka ab kahna
Mujhko ko to ab ANNA banna.
Anna Jindabad. Hum sab tumhare sath
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #2 on: August 18, 2011, 11:38:42 AM »
Khawish Ji Main Bhi MKV Ki Baat Se Sehmat Hoo'n Ki Hum Sabko Jaise Ho Sake ANNA Ji Ke IS Andolan Me Saath Dena Cahaye.

Aap NE Bahut HI Sunder Likha Hai
Is Topic PAr Likhne Ke Liye Aap Ka TEh Dil Se Shukriya

Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 18, 2011, 01:03:41 PM »
Dear Khwahish ji
I appreciate u for writing on Anna ji over this forum. this  shows that we are keeping our eyes open on issues related with national interest and not busy with our shayries only.
I request all the viewers/ members of this forum to support Anna ji "Modern gandhi" for his noble cause.
thanks once again.
Bacche bacche ka ab kahna
Mujhko ko to ab ANNA banna.
Anna Jindabad. Hum sab tumhare sath


Thankyou Soooooo Much For Appreciating My piece Of Work..

And Yes It's Absolutely True That We Need People Like "Anna Hazaare" Who has The Courage And Knowledge To Fight Against Corrupted Politicans Or I Must Say The Complete Corrupted Political System..The Best Part is That Anna Hazaare Is Not From Any political Party Nor In The Race Of Any P.m Or C.M..I Believe He can Carry On The Legacy Of Some Great Freedom Fighters We Had In The Likes's Of veer Bhagat singh, Sukhdev,Rajguru, Subash Chandra Bose,Chandrashekar Azaad And many More..
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #4 on: August 18, 2011, 04:24:58 PM »
sahi kaha khwaish ji.....
Anna hazare is a living legend.....
We all shd support him...
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #5 on: August 18, 2011, 04:46:22 PM »
Khwaish ji

Bahut khoobsurat rachna hai. Kya kahne...
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: August 18, 2011, 04:52:28 PM »
hmm
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 18, 2011, 06:10:34 PM »
Khawish Ji Main Bhi MKV Ki Baat Se Sehmat Hoo'n Ki Hum Sabko Jaise Ho Sake ANNA Ji Ke IS Andolan Me Saath Dena Cahaye.

Aap NE Bahut HI Sunder Likha Hai
Is Topic PAr Likhne Ke Liye Aap Ka TEh Dil Se Shukriya

Applause Applause Applause

Shukriya Ada To Mujhe Karna Chahiye Sanjeevji, Jo Aapne apna keemti waqt..Haan Mujhe bhi yeh mehsoos hua ke iss Topic par kuch likhna chahiye..meri Koshish ko aapne saraha..bahut bahut shukriya..

Aur ji Bilkul Hum Sab ko Iss Jaagruti lehar mein Hissa Lena Chahiye icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 18, 2011, 06:23:51 PM »
sahi kaha khwaish ji.....
Anna hazare is a living legend.....
We all shd support him...

Hmmm..That's True...He Is An Living Legend..

Thankyou Soooooo Much Priya icon_flower
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: August 18, 2011, 06:43:32 PM »
Khawahish jee Aadaab!

Aapne apne vichaar rakhe Annaa jee ke liye behad achche lage..
Annaa jee waise shayad pahele utni janimani shaksiyat nahi thi
par humare Maharashtra meiN woH kafi jane mane hai:)

And haan woH waqai aik sachche freedom fighter hai.. and unhone
hume yeH mouka diya hai ke aazaadi ki aakhri jung ladne ka so
hum bhi sab se request karte hai sab is fight meiN badh chadh
kar hissa leN Usual Smile

It's a last chance to us... shayad bad meiN koi Annaa humari
madat ke liye aaye Usual Smile

Annaa jee hum aapke saath hai tan man dhan se ... Usual Smile

khawahish jee aapne achcha likha hai daad Usual Smile

Likhate rahiye... Khush o aabaad rahiye.
khuda Hafez Usual Smile
           

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 18, 2011, 06:47:21 PM »
Khwaish ji

Bahut khoobsurat rachna hai. Kya kahne...

Usha Rajeshji Aapne apna waqt Diya aapka teh dil se shukriya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 18, 2011, 06:48:17 PM »
hmm

S.f Ji Yeh "Hmmm" Kyon Bhai..

Iss baat Par Roshni Zaroor Daaliyega.. icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 18, 2011, 06:55:32 PM »
Khawahish jee Aadaab!

Aapne apne vichaar rakhe Annaa jee ke liye behad achche lage..
Annaa jee waise shayad pahele utni janimani shaksiyat nahi thi
par humare Maharashtra meiN woH kafi jane mane hai:)

And haan woH waqai aik sachche freedom fighter hai.. and unhone
hume yeH mouka diya hai ke aazaadi ki aakhri jung ladne ka so
hum bhi sab se request karte hai sab is fight meiN badh chadh
kar hissa leN Usual Smile

It's a last chance to us... shayad bad meiN koi Annaa humari
madat ke liye aaye Usual Smile

Annaa jee hum aapke saath hai tan man dhan se ... Usual Smile

khawahish jee aapne achcha likha hai daad Usual Smile

Likhate rahiye... Khush o aabaad rahiye.
khuda Hafez Usual Smile
           



parwaaz Ji Sabse Aapka Tehhhh Dillll Se Shukriya Jo Aapne Apna Waqt diya...

Parwaaz ji, Aapne Sahi kaha, Iss Vaakya se pehle Maine bhi kabhi inka naam Nahi Suuna Tha..Yakeenan yeh Saheb "Simple Living, High Thinking" wale guun Rakhte hai..Main hairaan jab reh gaya jab mujhe yeh baat pata chali ke yeh Saheb Mandir mein Ek kiraye ke Kamre mein rehte hai..Iss Desh ko Aise hi Mahaan Logon ki zaroorat Hai.. icon_flower icon_flower
Logged
sarfira
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2011, 06:58:14 PM »
ye hmm islie ki--
mera manna hai ki mai agar 100% bedaag hun tabhi Anna ji ka samarthan kar paunga--lekin hum sab--har ek insaan jo is desh ka nagrik ( except Annaji ) hai--kahin na kahin apne level par corrupt hai-- at least mai to hu hi--aise me mai kahan support kr paunga.

ab iska natija jo bhi nikle--
mai Anna ji ki kosis ki sarahna krta hun bas.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: August 18, 2011, 07:03:09 PM »
ye hmm islie ki--
mera manna hai ki mai agar 100% bedaag hun tabhi Anna ji ka samarthan kar paunga--lekin hum sab--har ek insaan jo is desh ka nagrik ( except Annaji ) hai--kahin na kahin apne level par corrupt hai-- at least mai to hu hi--aise me mai kahan support kr paunga.

ab iska natija jo bhi nikle--
mai Anna ji ki kosis ki sarahna krta hun bas.

S.f Ji Main Aapki yeh baat ki izzat karta hoon aur yeh bhi maanta hoon ke hum sab Kisi na kisi level mein, Kahin na kahin Rozaana zindagi mein Corrupted Ho sakte Hai..humein Se Koi Bhi Be-daag Nahi..Par dost Aaj Jo Anna ji Ki maang hai Woh bahut High Level Ki maang Hai jisse kam se kam 60% of corruption par rok laaya jaa sakta hai..Aur Agar woh Rokh aa jaaye to hum mein se kahin Corrupted Log bhi seedhe ho Jaayenge.. Aage ki Raah bahutttttttttttt Mushkil hai, par dekhte hai kya hota hai???
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:52:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer