Bezubaano Ki Hum Zubaan Hote.......

by khwaish on January 08, 2009, 04:01:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3193 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Yeh Parinde Bhi Gar Insaan Hote,
Hindu Hote,  Sikh Hote
Isaai Hote, Ya Musalmaan Hote...

Bant Jaate,Yeh Bhi Mazhabo Ke Naam par,
Inke Dilo Mein Bhi Sirf Darmiyaan Hote....

Dekh Kar,Aaj ke Halaat,Zameen Bhi Ro Uthi Hai,
Kehti hai, Kaash Hum Bhi Aasman Hote....

Deshat Si Hai, Har Ek Ke Dil Mein,
Kehte hai,"Agar Ghar Se Nikal Jaate Hum Uss Waqt,
To Hum Bhi Shayad Karvaan Hote...

Bhooke Pet Kabhi Kisi Se Dharm Nahi Nibhta,
Agar Gareebi na hoti To Ghar ka Bacha,
Aatankvadiyon ke Haath nahi bikhta..
"KHWAISH" Koi Dekhe,Dil Ki Aankhon se to,
Inki Rooh mein Bhi Majbooriyon Ke Nishaan Hote....

Mazhabi Ladaai Ka Naam Dekar Begunaaho ka Khoon Karne Walo,
Yeh Kyon Nahi Sochte,Kaash Hum Bhi Insaan Hote....

Har Ek ka Maalik Woh Khuda Hai,
Agar Insaan Ka Dil Saaf ho to,
Sunta Hai Woh,Har Ek Ki Fariyaad,
MANDIR MEIN PRAATNA,
GURDUWARA MEIN ARDAAS,
CHURCH MEIN  PRAYER,
MASJID MEIN AZAAN HOTE...

"khwaish" Hum sab aaj Akele se Reh Gaye hai,
Kyonki Hum sab Ko Saath rehna Na aaya...
Agar Aaj hum Sab Milkar Rahe,
To Bezubaano Ki Bhi Hum Zubaan Hote...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil ki zubaan by yasir_sensitive in Shayri for Khumar -e- Ishq
AANKHOON KI ZUBAAN by mahesh_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bol do zubaan se by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
*~Zubaan Se~* by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ishq ki zubaan by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2009, 04:31:50 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil khush ho gaya apki yah kavita parr kar... bahoot bahot kamaal ka likha hai Khwaish ji... Kash yah dehshatgard log is baat ko samjh sake... aor kabhi kisi masoom ka khoon na bahaye....  Hats off to you! Thankyou ! for writing such a beautiful poem and sharing with us!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 04:37:17 PM »
...a salute to you dude...awesome post by your side...really touch my heart..keep writing...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 04:41:20 PM »
wah wah  Applause Applause Applause

Bahut umda kala likha hai aapne khwaish ji... daad hazir hai ji.
kabul farmayiyega.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2009, 04:47:25 PM »
...agar hote parinde bhi insaan,
to unhe bhi dene pade kitne imtihaan hote,
agar hoti thodi si bhi samajh atankhvadiyo mein,
to aaj shayad zinda hamare kayi jawaan hote,
humne agar na nibhayi hoti desh prem ki bhavna,
to maatam se gunjte na sabke makaan hote...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2009, 05:28:11 PM »
Dekh kar aaj ke haalat zameen bhi ro uthi hai
Kehti hain kash hum bhi aasman hote

Wah khwaish wah dil ko chu gayee aapki batein but yeh 2 line to bas Ghazab dha rahi hain aapki rachna ka dil hain yeh 2 line.  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 08, 2009, 06:35:49 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil khush ho gaya apki yah kavita parr kar... bahoot bahot kamaal ka likha hai Khwaish ji... Kash yah dehshatgard log is baat ko samjh sake... aor kabhi kisi masoom ka khoon na bahaye....  Hats off to you! Thankyou ! for writing such a beautiful poem and sharing with us!!

Thankyou So Much Pooja..Issi Umeed Ke Saath,Yeh Likh Raha Tha ki Yeh Sab Ke Dil Tak Pahunche..Aapne Itna Saraha..Bahut Bahut Shukriya Aapka Pooja..Agar Aap Bhi Kuch Likhe Is Par, To Bahut Khushi Hogi..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: January 08, 2009, 06:41:02 PM »
...a salute to you dude...awesome post by your side...really touch my heart..keep writing...

Thanx A Lot Bro...It Touched Your Heart!!
That's what This Poetry Wanted..Thanx For Appreciating!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 08, 2009, 06:43:03 PM »
wah wah  Applause Applause Applause

Bahut umda kala likha hai aapne khwaish ji... daad hazir hai ji.
kabul farmayiyega.


Bahut Bahut Shukriya Roja Aapka...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: January 08, 2009, 11:18:21 PM »
Dil ko choo lene waali hai yeh lekh
Khwaish Ji  Bahut umda hai
Logged
cara
Guest
«Reply #10 on: January 09, 2009, 04:15:52 AM »
dil ki baat kahe daali hai aapne,khwaishji...

agar amir insaan ,thoda bhi garib insaan ke liye sochte,
toh shayad yeh garib insaan,yeh raasta na chunte.
miljulkar sab agar rahete saath,
dehshat wali bhimari ki,kabhi nahin hoti baat.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: January 09, 2009, 06:02:25 AM »
...agar hote parinde bhi insaan,
to unhe bhi dene pade kitne imtihaan hote,
agar hoti thodi si bhi samajh atankhvadiyo mein,
to aaj shayad zinda hamare kayi jawaan hote,
humne agar na nibhayi hoti desh prem ki bhavna,
to maatam se gunjte na sabke makaan hote...

Bahut Khoob JHL..bahut acha likha hai aapne. Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 09, 2009, 06:05:14 AM »
Dekh kar aaj ke haalat zameen bhi ro uthi hai
Kehti hain kash hum bhi aasman hote

Wah khwaish wah dil ko chu gayee aapki batein but yeh 2 line to bas Ghazab dha rahi hain aapki rachna ka dil hain yeh 2 line.  Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahut Bahut Shukriya Sajid Saheb..umeed karta hoon ke aage bhi yuhi Huasle-afsaai karte Rahenge..Shukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 09, 2009, 03:37:21 PM »
Dil ko choo lene waali hai yeh lekh
Khwaish Ji  Bahut umda hai

Bahut Bahut Shukriya Rajesh Bhai..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: January 09, 2009, 03:52:07 PM »
Yeh Parinde Bhi Gar Insaan Hote,
Hindu Hote,  Sikh Hote
Isaai Hote, Ya Musalmaan Hote...

Bant Jaate,Yeh Bhi Mazhabo Ke Naam par,
Inke Dilo Mein Bhi Sirf Darmiyaan Hote....

Dekh Kar,Aaj ke Halaat,Zameen Bhi Ro Uthi Hai,
Kehti hai, Kaash Hum Bhi Aasman Hote....

Deshat Si Hai, Har Ek Ke Dil Mein,
Kehte hai,"Agar Ghar Se Nikal Jaate Hum Uss Waqt,
To Hum Bhi Shayad Karvaan Hote...

Bhooke Pet Kabhi Kisi Se Dharm Nahi Nibhta,
Agar Gareebi na hoti To Ghar ka Bacha,
Aatankvadiyon ke Haath nahi bikhta..
"KHWAISH" Koi Dekhe,Dil Ki Aankhon se to,
Inki Rooh mein Bhi Majbooriyon Ke Nishaan Hote....

Mazhabi Ladaai Ka Naam Dekar Begunaaho ka Khoon Karne Walo,
Yeh Kyon Nahi Sochte,Kaash Hum Bhi Insaan Hote....

Har Ek ka Maalik Woh Khuda Hai,
Agar Insaan Ka Dil Saaf ho to,
Sunta Hai Woh,Har Ek Ki Fariyaad,
MANDIR MEIN PRAATNA,
GURDUWARA MEIN ARDAAS,
CHURCH MEIN  PRAYER,
MASJID MEIN AZAAN HOTE...

"khwaish" Hum sab aaj Akele se Reh Gaye hai,
Kyonki Hum sab Ko Saath rehna Na aaya...
Agar Aaj hum Sab Milkar Rahe,
To Bezubaano Ki Bhi Hum Zubaan Hote...


Waah Waah,.
Bohat Hi Badhiya Hai,.
Khwaish Bhaiya,.
Nice One,.;

Subhan Allah,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:39:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer