har mulk se dosti rahi jise pradhaan
aman chain iske daman me rahta tamaam
jisne kabhi nahi kia kisi ka apmaan
hamesha dua aur sabhi ka sammaan
aisa bharat desh mahaan
azaadi sabko pyaari hoti hai
har mazhab me insaniyat ki shumaari hoti hai
hum sabki azaadi ki dua karte hain
ye sandesh mere desh ne mujhe diya
hum sabhi mazhab ko apna samajhte hain
ye mazhab mujhe apne desh se mila
sabke desh ne sabko pyaar karna hi sikhaya
nafraton ko to hum insaaano ne failaya
safalata ke shaamiyaanon ki muskaan
dard me bhi jahan muskurata insaan
aisa mera desh mahaan
ye mera bharat mahaaan.
mera bharat mahaan
ye rishiyun ki gaatha,vafaon ki sabse suhaani ghata
dard sahke bhi khushiyan dena,iska bus isi se naata
jahan nadiyun ka paani bhi ishwar ki santaan
mera bharat mahaan
yahan sabr ka har su chaman,ujde phool bhi khile gulshan
yahan rishton me nahi vaham,ye vatano ka bhi vatan
kabhi na khatm hone vaale saaf dilon ki daastaan
mera bharat mahaan
behad ameer hai ye,gareebon ka zameer hai ye
ek fakeer hai ye,jo khwaabon me na aa sake vo tasveer hai ye
hindu muslim sikh isaai sabka haq hai jispe samaan
mera bharat mahaan
ye maryadaaon ka bhushan,yahan shyaam har daal pe nutan
ye mere raam ka aabhushan,har preetam'e'ishq ka ye preetam
iski dharti me har taraf tohfon ki khaan
mera bharat mahaan
ye laxmibaai ki shahadat,ye bapu gandhi ki amanat
isse bhagat singh ki sohbat.ye subhaschandra ki bagawat
har shaheed ka jahan har dilon me maqaan
ye mother teresa ka apnapan,ye abdul qalaam ki shabnam
ye vivekanand ka brahm,humdardi yahan sabhi ko aadatan
jo ise na chahe ye uspe bhi meherbaan
mera bharat mahaan
mera bharat mahaan