NETRAPAL
Guest
|
21s ve sadee ka ye bharat kaisa dikh raha hai ye bharat kahee ped pe baithe log bahatee hooye lasho me dikh raha hai bharat
kahee dharam ke naam par bichtee hai lashe mandiro me bhagdad me piste masoom jawaano kee lasho me dikh raha hai bharat
bete kee lash pe rotee maa kahee bilkhte hai masoom maao kee lasho par baap kee udaas ankho me dikh raha hai bharat
ise badkismatee kahe ya beparvahee kahe kahi ujadte hooe naujwaan bhavishy kahi lasho kee kimat chukate rahnumao kee kartavya parayan bhare ashvaasano me dikh raha hai bharat.....
NETRAPAL SINGH CHOUDHARY
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Shikha12
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 03, 2008, 02:44:44 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 04, 2008, 03:35:36 AM » |
|
very very thanks mahiya ji....... netra......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 06, 2008, 03:30:17 AM » |
|
Kamaal ka likha hai Netra ji.. yuhi likhte rahiye..
thanks honerose for reply netra...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 06, 2008, 03:39:47 AM » |
|
watan n jane kyoo jaltaa hai chitaao se roj hotee hai roshnee lgate hai attaah padh kar akhbaar unhee kaa bhavishy kyoo jaltaa hai
chunavo kee rajneetee me chipte hai julm gunahgaar bhee aate hai saamne fir bhee n jane kyo ye majhab jaltaa hai
lagaa kar khoon lathee me bhegunaho ka ghoomte hai sar uthaa kar dahshat gard kon rokegaa kyaa maloom kisee ko hairaan hotee hai, apne hee hatho jab ghar apno kaa jalaa hai ye watan n jaane kyoo jaltaa hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 06, 2008, 07:07:54 AM » |
|
21s ve sadee ka ye bharat kaisa dikh raha hai ye bharat kahee ped pe baithe log bahatee hooye lasho me dikh raha hai bharat
kahee dharam ke naam par bichtee hai lashe mandiro me bhagdad me piste masoom jawaano kee lasho me dikh raha hai bharat
bete kee lash pe rotee maa kahee bilkhte hai masoom maao kee lasho par baap kee udaas ankho me dikh raha hai bharat
ise badkismatee kahe ya beparvahee kahe kahi ujadte hooe naujwaan bhavishy kahi lasho kee kimat chukate rahnumao kee kartavya parayan bhare ashvaasano me dikh raha hai bharat.....
NETRAPAL SINGH CHOUDHARY
watan n jane kyoo jaltaa hai chitaao se roj hotee hai roshnee lgate hai attaah padh kar akhbaar unhee kaa bhavishy kyoo jaltaa hai
chunavo kee rajneetee me chipte hai julm gunahgaar bhee aate hai saamne fir bhee n jane kyo ye majhab jaltaa hai
lagaa kar khoon lathee me bhegunaho ka ghoomte hai sar uthaa kar dahshat gard kon rokegaa kyaa maloom kisee ko hairaan hotee hai, apne hee hatho jab ghar apno kaa jalaa hai ye watan n jaane kyoo jaltaa hai.
Netra Ji,
Aapki har peshkash ek sawal hai sab ke liye....Bohot hi sateek kavitayen hoti hain aapki maujooda haalat pe........Jo likha hai wo itna dukh bhara hai ki "Waah" keh kar bhi sharmindgi hoti hai..magar taareef ke qaabil hain aapki kalam se nikle ye khyaal
|
|
|
Logged
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 06, 2008, 09:09:57 AM » |
|
Netra Ji,
Aapki har peshkash ek sawal hai sab ke liye....Bohot hi sateek kavitayen hoti hain aapki maujooda haalat pe........Jo likha hai wo itna dukh bhara hai ki "Waah" keh kar bhi sharmindgi hoti hai..magar taareef ke qaabil hain aapki kalam se nikle ye khyaal thanks aapne padha or mahsoos kiya, or isme chipe dard ko samjha warna kise fursat hai dekhne kee mudkar har aks muskarataa hai har sailaab me wo to pagal hai ham tum aye dost marte hai dusro ke ansuo ke ponch kar.. netra....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 06, 2008, 09:52:28 AM » |
|
Sach kaha Netra Ji.....doosron ke dukh ko apna dukh samajhne ka ehsaas to hum kahin khote hi jaa rahe hain...Aajkal to aise ho gaye hain hum: Ashk behte hain apni aankhon se, Doosre ki aankh main to hai paani Khoon rista bas apne hi zakhm se, Doosre ka baha, wo to hai paani !!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 07, 2008, 03:27:54 AM » |
|
subah ka swere paigaam lyaa hai ghar mera mere apno ne jalyaa hai gumrah ho gaye hai mere apne aaj unhee ne hamse kyoo mooh chipiyaa hai gam karte hai marne ka gairo ke be kasoor khud ko bhee bataaya hai
aree ham to samadar hai har dard smete baithe hai man maila ho gaya hai hamaraa bhee jab wo dariyaa hansaa ham par jiskaa wajood ham me hee samayaa hai
Netra Pal Singh Choudhary
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 07, 2008, 09:09:00 AM » |
|
Sach kaha Netra Ji.....doosron ke dukh ko apna dukh samajhne ka ehsaas to hum kahin khote hi jaa rahe hain...Aajkal to aise ho gaye hain hum: Ashk behte hain apni aankhon se, Doosre ki aankh main to hai paani Khoon rista bas apne hi zakhm se, Doosre ka baha, wo to hai paani !!!
bhoot khoob aapne likha hai rote hai jakhmo se apne gairo ke jkhmo pe ham rote hai aalam dekho behaayee ka unke jo har jakhm de kar bhee hanste hai.. netra.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
NETRAPAL
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 07, 2008, 09:13:47 AM » |
|
Netra ji aaj ke halat par aapne tasveer banake likha hai
Bohat Bohat khoob...
Very nice lines Celmira sis.. Log aapne ghar ko mitthe hai KyuN woh bhool jaate ke woh aapne hai Ghar jala dete hai kyuN armano ka khool behate hai Lakhon logon ke dil mein aaj bhi woh kauf kyuN hai.. bahoot khoob paagal ha ye duniyaa ham bhee paagal yahaa nahi miltaa jise dhundhte hai bhagwaa, miltaa hai khudhaa bhee apnaa nahi miltaa dhundhne se bhee koi waha ya yahaa netra..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
honeyrose
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 08, 2008, 07:25:08 PM » |
|
bahoot khoob
paagal ha ye duniyaa ham bhee paagal yahaa nahi miltaa jise dhundhte hai bhagwaa, miltaa hai khudhaa bhee apnaa nahi miltaa dhundhne se bhee koi waha ya yahaa
netra..
Bohat khoob likha hai Netrapal ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 08, 2008, 07:33:39 PM » |
|
Shukriya Honey, Netra.....Aap dono ne bohot achcha likha hai Aajkal ka maahol..waardaatain, bas yahi khyaal aata hai: Har aankh main nafrat si hai Dil main mere wahshat si hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|