Dhamaaka,. Dehshat Ka,.

by Jaanasheen on July 27, 2008, 02:18:14 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1598 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Salaam,.
Doston,.
Bahoot Hi Afsos Ki Baat Hai ke Hamaatre Desh Mein Dhamaakon Ki Barsaat Hui Hai,.
Duaa Hai Rabse Ki Aaage Na Ho,.
Waise Bangalore Mein Main Rehta Hoon,..
Aur Hamare Ghar Se 3-4-7 Km Ke Faaslon Par Dhamaake Hue,.
Mujhe To Rab Ne Bachaa Liya, Magar bahoot Log Ghayal Hue,.

Bas Is Nazaare Ko Madd-e-Nazar Rakhte Hue,.
Kuch Koshish Ki Hai,.
Shayad Sab Ko Pasand Aaaye,.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Islaam Aman Ka Paighaam, Islaam Dehshat Nahi Sikhaata,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Dehshat'gardi ka khatma kayoon'kar ho?! by Dr Maqsood Hasni in General Stories
dehshat... by chandniverma86@yahoo.com in Share: Poetry of Pain
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 27, 2008, 02:25:17 PM »

Ya Rab Tere Jahaan Mein Ye Dehshat Kyun Hai,.
Logon Ke Dilon Mein Aakhir Itni Nafrat Kyun Hai,.

Lage Hain Kyun Yahaan Log Khud Ki Hasti Mitaane Ko,.
Tule Hain Kyun Log Yahaan Ghar Ghar Mein Aag Lagaane Ko,.

Bangalore Mein Hua Dhamaaka, Aur Jalaa Ahmedabaad,.
Kyun Kar Rahe Hain Log Yahaan Dusron Ki Zindagi Barbaad,.

Ya Rab Kuch Faisla Kar, Ke Hume Ye Dehshat Gawaara Nahi,.
Maangte Hain Tujhi Se Panaah, Koi Dusra Hume Sahaara Nahi,.

Bujhaa De Aag Nafraton Ki, Sab Ke Dilon Mein Pyaar Bharde,.
Ujdi Hai Dhamakon Se Jo Zameen Hindustaan Ki, Unhe Tu Bahaar Karde,.

Sab Duaa Karte Hain Aman Ki Milkar "Azeem" Ke Saath,.
Hindu, Musalmaan, Sikh, Sab Uthaaye Hue Hain Haath,.

_________________________________-Azeem-
[Jaanasheen]

Logged
jianrangrej
Guest
«Reply #2 on: July 28, 2008, 03:04:36 PM »
yes my friend..you too true in your words...
i m from surat but now settled in dubai but my family still there, and you know how much explosive were captured before took any mishappen...allah ne kahir kiya...


yeh woh aag hai jo humaari dehliz tak aa gayi hai...


kuchh hasrat-e-nawaazi me hum khuda ho beithe
girebaa'n khoon se range hai par humnavaa ho beithe

mitaane lage hai yun hastiyaa'n hum apne saath maasoomo ki
ki kheirkhwaaii ke nashe me hum qaatil-e-jaan ho beithe

khudaa thaa insaaf ke liye ke unhe apni zulm ka badlaa deta
phir kyoun humne thaami hai shamshir aur gaazi ho beithe

maana ki zulm hua thaa quam par apni lekin
zulmgaaro ko chhor kar maasoom'o ke qaatil ban beithe

naa jalaao kisi ki jaan yaa basti yeh bikhar jaati hai palbhar me
basaate basaate ek umr guzar jaati hai aur hum kaii aashiyaane jala beithe..

raham hai khudaa ka hum insaan hai , kuchh insaaniyat baaki rahe
kehte to hai hum apne aapko insaa'n par haiwaan se badtar ho beithe.

Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: July 28, 2008, 03:08:59 PM »
Dono bahut accha likha hai ... Jaanasheen ji and Jianrangrej ji  Applause
bahut accha aur sahi likha hai. dil ko chu gaya her ek kalam.. good work
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 28, 2008, 03:33:49 PM »
Bahut Khoob Azeem Bro..Har ek alfaaz sach aur dard bayaan kar raha tha...bahut bahut khoob  Applause Applause Applause

Bahut Khoob Jianrangrej saab  Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: July 28, 2008, 04:46:26 PM »
wah kay abaat hai lil bro... Too Good!!
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: July 28, 2008, 05:12:43 PM »
Bahut khoob Azeem bhaiya and Jianrangrej ji ....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 03, 2008, 10:35:01 AM »
yes my friend..you too true in your words...
i m from surat but now settled in dubai but my family still there, and you know how much explosive were captured before took any mishappen...allah ne kahir kiya...


yeh woh aag hai jo humaari dehliz tak aa gayi hai...


kuchh hasrat-e-nawaazi me hum khuda ho beithe
girebaa'n khoon se range hai par humnavaa ho beithe

mitaane lage hai yun hastiyaa'n hum apne saath maasoomo ki
ki kheirkhwaaii ke nashe me hum qaatil-e-jaan ho beithe

khudaa thaa insaaf ke liye ke unhe apni zulm ka badlaa deta
phir kyoun humne thaami hai shamshir aur gaazi ho beithe

maana ki zulm hua thaa quam par apni lekin
zulmgaaro ko chhor kar maasoom'o ke qaatil ban beithe

naa jalaao kisi ki jaan yaa basti yeh bikhar jaati hai palbhar me
basaate basaate ek umr guzar jaati hai aur hum kaii aashiyaane jala beithe..

raham hai khudaa ka hum insaan hai , kuchh insaaniyat baaki rahe
kehte to hai hum apne aapko insaa'n par haiwaan se badtar ho beithe.



Bhai Jiaanji sahi Kahaa Aapne,.
ke Ye Rab-u-Aaalameen Ki Hum Par Badi Rehmat Hai Ke Hawaa Se Toofaan Khamosh Hogaya,.
Hum Sab Milkar Duaa Karein KI Hamaare Desh Mein Aman Rahe,.
Aur Hamaare Desh Ka Na Koi Dushman Rahe,.

And Thank U Roja Sis,.
Khwaish Ji.
Pooja Sis,.
Punam Sis,.
Aap Bhi Apne Dil Baat Zaheer Kariye Na,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:08:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer