...hoon main...

by dead heart on December 23, 2008, 09:07:30 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1963 times)
dead heart
Guest
mere rabb se mere watan ke liye dua mangta hoon main,
chot khake bhi unke(shaheedon) ke saman main khada hojata hoon main...

mere desh ko jeene ke liye paisa nahin chahiya,
pyar chahta hai mera watan isiliye lakeerein mitana chahta hoon main...

ab toh odd lia hai mere desh ne ek kafan bad iss pe daag maat lagana,
ab toh mere desh ke liye aman ka naqaab chahta hoon main...

khoon ke chite taza hai mere desh ki parchai pe,
mere desh ke godd main pal rahe dilon ka haq chahta hoon main...

thak gaya hoon akele ladke unn gunhegharon se,
ab toh yeh saab chodke khuda ke noor main doob jana chahta hoon main,

darr lagta hai ke main chalagaya toh mere desh ka kya hoga,
ae doston mere meeti ko bachane ke liye do bazuon ka saath chahta hoon main...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main nashay main hoon by Syed Imran in Ghazals
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Main woh hi hoon............! by lovebites in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Main Hoon Na... by punam in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
..hoon main... by dead heart in Ghazals
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2008, 04:07:05 AM »
mere rabb se mere watan ke liye dua mangta hoon main,
chot khake bhi unke(shaheedon) ke saman main khada hojata hoon main...

mere desh ko jeene ke liye paisa nahin chahiya,
pyar chahta hai mera watan isiliye lakeerein mitana chahta hoon main...

ab toh odd lia hai mere desh ne ek kafan bad iss pe daag maat lagana,
ab toh mere desh ke liye aman ka naqaab chahta hoon main...

khoon ke chite taza hai mere desh ki parchai pe,
mere desh ke godd main pal rahe dilon ka haq chahta hoon main...

thak gaya hoon akele ladke unn gunhegharon se,
ab toh yeh saab chodke khuda ke noor main doob jana chahta hoon main,

darr lagta hai ke main chalagaya toh mere desh ka kya hoga,
ae doston mere meeti ko bachane ke liye do bazuon ka saath chahta hoon main...

bahoot khoob likha hai aapne yoo hee likhte rahe...

netra....
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: December 24, 2008, 09:01:43 AM »
Good work DH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2008, 09:10:51 AM »
mere rabb se mere watan ke liye dua mangta hoon main,
chot khake bhi unke(shaheedon) ke saman main khada hojata hoon main...

mere desh ko jeene ke liye paisa nahin chahiya,
pyar chahta hai mera watan isiliye lakeerein mitana chahta hoon main...

ab toh odd lia hai mere desh ne ek kafan bad iss pe daag maat lagana,
ab toh mere desh ke liye aman ka naqaab chahta hoon main...

khoon ke chite taza hai mere desh ki parchai pe,
mere desh ke godd main pal rahe dilon ka haq chahta hoon main...

thak gaya hoon akele ladke unn gunhegharon se,
ab toh yeh saab chodke khuda ke noor main doob jana chahta hoon main,

darr lagta hai ke main chalagaya toh mere desh ka kya hoga,
ae doston mere meeti ko bachane ke liye do bazuon ka saath chahta hoon main...
Nice work Deadheart Ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2008, 09:46:06 AM »
Nice Work Mr.Dead Heart


Vatan ne kabhi kaha ke fizao pe mera naam likhna....?
Tukado me baat kar mujhe, batna khuda ko aur maut ka paigam likhna...

Do bhaiyo ki mao ko batane wale ye duniya ke dushman kya jane mere dil ki halat...
Tum jano to apne hatho se mera mazhab sirf "Insaan" likhna...

Samjh sako kabhi aajadi ka haq kya hota hai aye duniya walo,

To bas itna karna,ke tarikh bhi jis baat pe guma karne lage,
Mere dosto duniya ka aaisa Khusnuma anjaan likhna...

Vatan ne kabhi kaha,Ke Fizao pe mera naam likhna...?



~Pank~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2008, 09:59:59 AM »
DH and Pank

Thanks for sharing such wonderful thoughts Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2008, 07:41:59 PM »
logon ne duniya ko lakeeron main bat kar khuda ke jahan ko tabah kardia,
na-insafi ki aisi ke khoon ko khoon se hi juda kardia...

mitgaye log yeh samjate samjate ke duniya ek hai,
inn lakeeron ne hi toh nafrat ka jazba paida kia...



thnx everyone and well written Pank jee
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #7 on: December 25, 2008, 06:05:24 PM »
Thanx Mr. DH
Nice one again,



Khuda ne har hath ke liye ek kaam likha hai,
Ham insano ne har insan pe majab ka naam likha hai...

Ho jati agar khoon ke rango ki pehchan majhabo se,
To fir kyun kisi ne Geeta to kisi ne Kuraan likha hai...

~Pank~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: December 25, 2008, 06:08:45 PM »
good one and thanx Pank jee
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2008, 06:17:39 PM »
good one and thanx Pank jee
Always Welcome DH jee Usual Smile
Logged
Deepati
Guest
«Reply #10 on: December 25, 2008, 06:50:06 PM »
Wah Wah Dead Heart Ji aur Pank Ji  Applause Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2008, 06:54:17 PM »
Wah Wah Dead Heart Ji aur Pank Ji  Applause Applause
Shukriya Deepati jee
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: December 25, 2008, 06:55:36 PM »
thnx
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 26, 2008, 07:23:02 PM »
Hmm  Nice One Sabne Achcha Likha Hai,.
Good Going,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2008, 07:58:32 PM »
 Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob DH and Pank ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:02:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer