IS DESH KO KISE KI NAZAR NA LAGE......cara.

by cara on December 24, 2008, 09:40:04 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3136 times)
cara
Guest
IS DESH PAR MEHARBHAN HAI KUDRAT,IS DESH KI DARTI PURI KARTI HAR JARURAT.,
IS DESH KI PYAAS BHUJATI BAHETI NADEEYAN,IS DESH KI RAKSHA KARTE UNCHE PARBHAT.
IS DESH ME ALLAH KA KARM HAI, AUR YESU KA HAI PYAAR,
IS DESH ME GURU NANAK KI HAI VAANI,AUR GITA KA HAI GYAAN.
YEH DESH KITNA HAI MAHAAN!.....IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

VIBIN PRANTE,  VIBIN BASHAYE, VIBIN MAZAB KE LOG HAI YAHAN.
IK DUJE KE DUKH-SUKH ME HOKAR SHAMIL,
EKTA KA MISAL DETE HAI YAHAN.
HAR TEHUARO ME LAGTE HAI MELE...
BESAKHI MEIN HOTE HAIN BANGDE,ID ME MILTE HAIN GALE,
DIWALI MEIN DILON KO KARTE HAI ROSHAN,CHRISTMAS MEIN BAANTE HAI PYAAR.
KINA SUNDER DESH HAI APNA!......IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

SHAKTISHALI DESH HAI APNA,HAR DESHWASIO KA HAI SAPNA,
IS DESH KE LIYE JEENA IS DESH KE LIYE MERNA.
UTTAR DAKSHIN PURAB PASCHIM,HINDU MUSLIM SIKH ISAYI.
CHARO DISHA KE RAKHWAALE,JIS DESH MEIN HO CHAR BHAI.
HAI KIS KI SHAMAT YAI, JO IS DESH KO AANKH DIKHAYI.
IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab to woh bhi Ishq Ke maare Nazar Aane lage.....! by sharmaarunkumar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
MURJAA GAYA HUN MEIN.....BUDAAPA-e-HAQEEKAT----cara by cara in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Lage kisi ke nazar by sushilbansal in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere desh ki mitti ke rang badlne lage hain.....soudagar by soudagar in Shairy-E-Watan
BHAI NAZAR AANE LAGE by babasatyajaunpuri in Shairy-E-Watan
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2008, 09:47:34 AM »
Cara

Excellent ! Thumbs UP

Aisa DESH hai mera ... haan ..aisa DESH hai mera Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: December 24, 2008, 01:23:32 PM »
IS DESH PAR MEHARBHAN HAI KUDRAT,IS DESH KI DARTI PURI KARTI HAR JARURAT.,
IS DESH KI PYAAS BHUJATI BAHETI NADEEYAN,IS DESH KI RAKSHA KARTE UNCHE PARBHAT.
IS DESH ME ALLAH KA KARM HAI, AUR YESU KA HAI PYAAR,
IS DESH ME GURU NANAK KI HAI VAANI,AUR GITA KA HAI GYAAN.
YEH DESH KITNA HAI MAHAAN!.....IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

VIBIN PRANTE,  VIBIN BASHAYE, VIBIN MAZAB KE LOG HAI YAHAN.
IK DUJE KE DUKH-SUKH ME HOKAR SHAMIL,
EKTA KA MISAL DETE HAI YAHAN.
HAR TEHUARO ME LAGTE HAI MELE...
BESAKHI MEIN HOTE HAIN BANGDE,ID ME MILTE HAIN GALE,
DIWALI MEIN DILON KO KARTE HAI ROSHAN,CHRISTMAS MEIN BAANTE HAI PYAAR.
KINA SUNDER DESH HAI APNA!......IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

SHAKTISHALI DESH HAI APNA,HAR DESHWASIO KA HAI SAPNA,
IS DESH KE LIYE JEENA IS DESH KE LIYE MERNA.
UTTAR DAKSHIN PURAB PASCHIM,HINDU MUSLIM SIKH ISAYI.
CHARO DISHA KE RAKHWAALE,JIS DESH MEIN HO CHAR BHAI.
HAI KIS KI SHAMAT YAI, JO IS DESH KO AANKH DIKHAYI.
IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

Bahut umdah likhaa hai Cara ji! Doosaroun ki nazar sey hi naheen, ab hamain apnee is paak sarzameen ko, kuchh apney hi Jaichandoun ki gaddaaree sey bhi mahfooz rakhnaa laazimee ho gayaa hai! Ab, hamain lagaataar shab-o-roz har lamhey khabardaar-o-hoshiyaar rahney ki sakht zaroorat bhi hai; kyoun ki:


Yeh waqt aisaa hai, ki, dushman-e-watan khush hain!
Kaam kartey hain dushmanoun kaa kuchh apney rahbar:
Kheyltey khul key mutthhiyoun mein dushmanoun kee jo;
Faayadey unkey, unki partiyoun key hain awwal,
Maadar-e-watan ki salaamati-izzat doyam!
Khud salaamat raheyn, bas itnaa kaam hai un kaa;
Aur, is fitrat-e-kamaal key maahir hain woh!!
 
Zar parastee hai deen, watan parastee kufraan!
Chheydtey hain usee thaali ko, jis mein khaatey hain!!

Ham ko, aam-o-awaam ko, watan parastoun ko;
In key naapaak iraadoun sey nipatnaa hogaa;
Warnah yeh, ham ko gulaamee ki beyrhiyaan pahinaa,
Bas kisee aur mulk mein, kareyngey aiyaashee;
Tamaam mulkoun mein haasil hai dhheyroun zar in ko;
Tamaam mulkoun mein qaayam hain aashiyaan in key!!

                                      - abd bundeli
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2008, 01:33:34 PM »
Bahut accha aur sahi likha hai aapne cara jii..  Applause Applause

Haan aisa desh hai mera .... haan aisa desh hai mera...  icon_salut

Good Work Cara jii
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2008, 01:50:10 PM »
bhut  bhut sukhriya -rajbirji.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2008, 01:54:59 PM »
Abdbundeli jii aap ne bi bahut accha likha hai..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2008, 01:57:01 PM »
IS DESH PAR MEHARBHAN HAI KUDRAT,IS DESH KI DARTI PURI KARTI HAR JARURAT.,
IS DESH KI PYAAS BHUJATI BAHETI NADEEYAN,IS DESH KI RAKSHA KARTE UNCHE PARBHAT.
IS DESH ME ALLAH KA KARM HAI, AUR YESU KA HAI PYAAR,
IS DESH ME GURU NANAK KI HAI VAANI,AUR GITA KA HAI GYAAN.
YEH DESH KITNA HAI MAHAAN!.....IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

VIBIN PRANTE,  VIBIN BASHAYE, VIBIN MAZAB KE LOG HAI YAHAN.
IK DUJE KE DUKH-SUKH ME HOKAR SHAMIL,
EKTA KA MISAL DETE HAI YAHAN.
HAR TEHUARO ME LAGTE HAI MELE...
BESAKHI MEIN HOTE HAIN BANGDE,ID ME MILTE HAIN GALE,
DIWALI MEIN DILON KO KARTE HAI ROSHAN,CHRISTMAS MEIN BAANTE HAI PYAAR.
KINA SUNDER DESH HAI APNA!......IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.

SHAKTISHALI DESH HAI APNA,HAR DESHWASIO KA HAI SAPNA,
IS DESH KE LIYE JEENA IS DESH KE LIYE MERNA.
UTTAR DAKSHIN PURAB PASCHIM,HINDU MUSLIM SIKH ISAYI.
CHARO DISHA KE RAKHWAALE,JIS DESH MEIN HO CHAR BHAI.
HAI KIS KI SHAMAT YAI, JO IS DESH KO AANKH DIKHAYI.
IS DESH KO KISI KI NAZAR NA LAGE.



Too Good, Excellent work... Cara Ji.. Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: December 24, 2008, 01:59:33 PM »

Bahut umdah likhaa hai Cara ji! Doosaroun ki nazar sey hi naheen, ab hamain apnee is paak sarzameen ko, kuchh apney hi Jaichandoun ki gaddaaree sey bhi mahfooz rakhnaa laazimee ho gayaa hai! Ab, hamain lagaataar shab-o-roz har lamhey khabardaar-o-hoshiyaar rahney ki sakht zaroorat bhi hai; kyoun ki:


Yeh waqt aisaa hai, ki, dushman-e-watan khush hain!
Kaam kartey hain dushmanoun kaa kuchh apney rahbar:
Kheyltey khul key mutthhiyoun mein dushmanoun kee jo;
Faayadey unkey, unki partiyoun key hain awwal,
Maadar-e-watan ki salaamati-izzat doyam!
Khud salaamat raheyn, bas itnaa kaam hai un kaa;
Aur, is fitrat-e-kamaal key maahir hain woh!!
 
Zar parastee hai deen, watan parastee kufraan!
Chheydtey hain usee thaali ko, jis mein khaatey hain!!

Ham ko, aam-o-awaam ko, watan parastoun ko;
In key naapaak iraadoun sey nipatnaa hogaa;
Warnah yeh, ham ko gulaamee ki beyrhiyaan pahinaa,
Bas kisee aur mulk mein, kareyngey aiyaashee;
Tamaam mulkoun mein haasil hai dhheyroun zar in ko;
Tamaam mulkoun mein qaayam hain aashiyaan in key!!

                                      - abd bundeli


Very True...
Its Perfect, like always.. Abd Ji.. Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: December 24, 2008, 02:28:26 PM »
Abdbundeli jii aap ne bi bahut accha likha hai..
Sonia01 ji! Bahut-bahut-bahut dhanyawaad aap ko!
                           - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: December 24, 2008, 02:37:20 PM »
Very True...
Its Perfect, like always.. Abd Ji.. Thumbs UP
Mahiya ji!
It's all your kindness that I'm being blessed with such inspiring comments every now and then! Thanks a lot! Ab hamaarey bahut saarey neytaaoun ko duaa ki kam, dawaa ki ziyaadah zaroorat hai, taaki ham sabhee wa hamaaraa yeh 'param paawan Rashhtra' mahfooz-o-salaamat rahey!!
                                    - abd bundeli
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2008, 04:17:16 PM »
Welcome abdbundeli ji...
Aap dono ka kalam padkar mujhe kahi pada ek kavita yad aaya.
yahan share kar rahi hu. Hope you all vl like it.

Kyun Ladaata Hai Hume Tu Bomb Aur Baroodon Se,..
Kya Tujhe Maloom Nahi Hume Pyaar Hai Phoolon Se,..

Tune Daala Tha Bomb Haridwaar Par Aur Dala Jamia Masjid Mein,..
Aur Machaya aaj Matam Tune Bombay Ki Galion Mein,..

Kya Teri Chaal Hai Zara Hume Bhi Bata,..
Tu Kaun Se Dharam Ka Maan ne Wala hai Hume Bhi Bata,..

Kyun Ki Koi Dharam Nahi Seekhata Aapas Mein Lardna,..
Phir Kyun Karta Hai Tu Aise Kaam Jis Se Parta Hai Sab Ko Mitna,..

Hum To Aman Aur Pyaar Ki Maan Ne Waale Hain,..
Phir Kyun Tumne Bomb Hamaare Desh Mein Daale Hain,..

Teri In Harr Katon Se Shaitaan Bhi Sharmaata Hai,..
Kyun Ki Wo To Sirf Insaano Ko Darrata Hai,..

Kyun Lete Ho Jaan Tum Masoomon Ki,..
Wo To Misaal Dete Hai Mehakte Phoolon Ki,..

Hum Nahi Darrte In Bomb Aur Baroodon Se,..
Kyun Ki Hum Pyaar Karte Hai Phoolon Se,.

Bas Itna Kehte Hain Ye Jo Teri Harkatein Hain,..
Is Se Baaz Aaaja,..

Tu To Khelta Hai Bomb Aur Baroodon Se,..
Hum To Khela Karte Hain Toofaano Se,..

Aur Jaanta Hai Tu Toofaano Ka Waar,..
Jis par Girte Hain Ye Wo Hojaata Hai Bekaar,..

Phir Kyun Tum Log Samajhte Nahi Yaar,..
Lardwaate Hain aise Desh Mein,..
Jo Dushmano Se Bhi Karte Hain Pyaar,..
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2008, 03:42:15 AM »
bahut bahut sukhriya aap sab ka....
rajbirji, soniaji,mahiyaji abdji.

abdji aap ne bilkul sahi kaha hai ,hamare desh mein bahar se hi nahin apne  gadaaro se bhi khatra hai,aur ham sab ko in dono se hoshiyar rehena hoga,
aur ye jo neta log hai,yeh toh desh ke lootere hain,
yeh toh vote lethe hain hai desh chalane ke liye,
aur kursi milte hi bahet jate ,hum sab ko aapas mein ladane ke liye.
pahin toh hai kapda safed,
aur kaam karte hain kale.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: December 25, 2008, 05:54:14 AM »
Welcome abdbundeli ji...
Aap dono ka kalam padkar mujhe kahi pada ek kavita yad aaya.
yahan share kar rahi hu. Hope you all vl like it.

Kyun Ladaata Hai Hume Tu Bomb Aur Baroodon Se,..
Kya Tujhe Maloom Nahi Hume Pyaar Hai Phoolon Se,..

Tune Daala Tha Bomb Haridwaar Par Aur Dala Jamia Masjid Mein,..
Aur Machaya aaj Matam Tune Bombay Ki Galion Mein,..

Kya Teri Chaal Hai Zara Hume Bhi Bata,..
Tu Kaun Se Dharam Ka Maan ne Wala hai Hume Bhi Bata,..

Kyun Ki Koi Dharam Nahi Seekhata Aapas Mein Lardna,..
Phir Kyun Karta Hai Tu Aise Kaam Jis Se Parta Hai Sab Ko Mitna,..

Hum To Aman Aur Pyaar Ki Maan Ne Waale Hain,..
Phir Kyun Tumne Bomb Hamaare Desh Mein Daale Hain,..

Teri In Harr Katon Se Shaitaan Bhi Sharmaata Hai,..
Kyun Ki Wo To Sirf Insaano Ko Darrata Hai,..

Kyun Lete Ho Jaan Tum Masoomon Ki,..
Wo To Misaal Dete Hai Mehakte Phoolon Ki,..

Hum Nahi Darrte In Bomb Aur Baroodon Se,..
Kyun Ki Hum Pyaar Karte Hai Phoolon Se,.

Bas Itna Kehte Hain Ye Jo Teri Harkatein Hain,..
Is Se Baaz Aaaja,..

Tu To Khelta Hai Bomb Aur Baroodon Se,..
Hum To Khela Karte Hain Toofaano Se,..

Aur Jaanta Hai Tu Toofaano Ka Waar,..
Jis par Girte Hain Ye Wo Hojaata Hai Bekaar,..

Phir Kyun Tum Log Samajhte Nahi Yaar,..
Lardwaate Hain aise Desh Mein,..
Jo Dushmano Se Bhi Karte Hain Pyaar,..
Sonia01 ji!
Pyaar insaan sey insaan ko honaa waajib!
Pyaar haiwaan sey insaan ko honaa waajib!
Pyaar insaan sey haiwaan ko honaa waajib!
Pyaar shaitaan sey honaa, magar, hai naawaajib!!
                            - abd bundeli
Logged
Sammual
Guest
«Reply #13 on: December 26, 2008, 07:43:28 AM »
Bahut Khoob Cara Ji And Abd Ji. Applause Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2008, 08:17:15 AM »
shukriya ..sammualji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:34:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer