Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan (Geet)

by ziaulhaq on February 19, 2012, 06:16:32 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1504 times)
ziaulhaq
Guest
                         

Khawaabon Ka Gulsitaan Hai Too Armaanon Ka Chaman
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Parbat Himaalaa Azm Ka Parcham Kahein Jise
Gang-O-Jaman Hain Pyaar Ka Sangam Kahein Jise

Jharnon Se Phoote Hai Naee Ummeed Ki Kiran
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Gautam Raheem Naanak Aur Chishti-O-Kabeer
Paighaam Laaye Pyaar Muhabbat Ka Sab Faqeer

Insaaniyat Se Mahka Ha Yoon Hind Ka Chaman
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Badhne Naa Paaye Hindu Musalmaan Mein Faasle
Sab Aik Hain Jawaan Hain Abhi Apne Hausle

Ailaan Kar Raha Hai Ye Ik Shaair-e-Watan
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Sultaan Teepu Aur Bhagat Singh Ho Ya Subhash
Dee Thee Firangiyon Ko Inhin Ne Shikast-e-Faash

Hindostaan Ka Baaqi Hai Ab Bhi Wo Baankpan
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Ashfaaq-O-Jauhar –O-Abdul Hameed Hon
Pahle Ki Tarah Hum Watan Par Shaheed Hon

Lutne Naa Paaye Rekhta Ye Hind Ka Chaman
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan

Hum Aik Hain Hum Aik Hain Goonje Wahi Sada
Apne Watan Pe Kar Denge Hum Jaan-O-Tan Fida

Apne Saron Se Baandhke Nikle Hain Hum Kafan
Jannat Se Kam Nahin Hai Too Mere Liye Watan



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Falak ye itna bara per mere liye nahin by Ricky in Shayri-E-Dard
IS WATAN KE LIYE - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Shairy-E-Watan
jannat jahan ke liye. by madhuwesh in Shairi - E - Zindagi
marna hai watan k liye ?? by ishu_singh10 in Shairy-E-Watan
Zameen e she'r hai, baHr e sukhan hai buknala. (Apne waTan ke liye) by Ghulam Haider in Shairy-E-Watan
~Aatish~
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2012, 06:29:41 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 notworthy notworthy notworthy icon_salut icon_salut
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2012, 06:44:20 PM »
lajawaaab
behad umda
muddaton baad shayri e watan par ek original post padhne ko mila
behad behad umdaa
aapko hazaron nhi laakhon nhi karodo daad janaab
aapne ek khwaish poori kr di meri--
bht bht sukriya aapka

!
aahl e watan pe qurbaan jaaun
lakh lakh naman hai tujhko ae mere watan
!

sukrira dost
khus rahen sada
likhte rahen
muskurate rahen
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2012, 07:17:36 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 20, 2012, 07:39:46 AM »
bahut bahut mubaarak ho is vatan parastee ke taraane ke liye
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2012, 08:02:02 AM »
Zia Sahaab Aadaab!

Janab ka YO INDIA ki mehfil meiN kharmaqdam hai... Usual Smile

Masha Allah janab, beintehaaN khoob aur
umdaa nazm se bazm ko nawaza hai... Usual Smile

behad khoob janab kia kahne jee waah dil shaad
ho gaya itni khoobsurat aur dilkash nazm ko padhkar... Usual Smile

tah e dil se hazaaroN dili daad o mubbarakbad kabul
kijiye... Usual Smile

likhte rahiye, aate rahiye...
shaad o aabaad rahiye...
khuda hafez... Usual Smile
Logged
betukh_ bakbaki
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2012, 08:10:28 AM »
subhan allah...aur isse adhik kya karu..bahut khoon bahut khoob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 20, 2012, 08:13:40 AM »
Bahut Bahut Khoooob Zia Ji

Behad Khoobsurat Nazm..Khoobsurat Jazbaat!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #8 on: February 20, 2012, 08:18:32 AM »
boht khoob janab kya khub kaha apne watan ke liye
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:35:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer